part 14

492 44 7
                                    

PS: Santu kya bol rhi thi tum?

M's phone rings

KS: ama kon hai jo itna tang kar rha...
HM also gave a curious look..

KS saw, who's call it was

KS: Areh, tumhari ammi ka phone aa rha hai...

M: Ohooo... Hum unko inform karna bhul hi gayee... Gye ab hum... Dijiye dijiye..

KS: areh ruko, (she puts the phone on speaker) ye lo baat karo

M: Haa ammi, boliye, kaisi hai aap, lunch ho gaya? Dawai kha li?

Ammi: areh kaisi hoyenge hum, tumne jo pareshan kar rakha hai

M: Humne kya kiya

Ammi: Phone karne bola tha na aapko, aapne Kiya?

M: vo hum bhul gye the ammi, sorry na, set ho gye yaha ache se hum... Aap tension mat lijiye

Ammi: Areh tension kis baat ki, jab hume pata hai ki Heera hai tumhare saath us sheher mein, par problem toh yahi hai na ki vo phone nahi utha Rahi hai, kabse kar rhe hai hum... Pata nahi kaha fek rakha hai phone... Kaisi tabiyat hai uski?

M: Ammi tabiyat subah toh nasaz thi halki.... Dawai khilai thi humne par....

Ammi: par kya? Kaam pe toh nahi chali gyi vo nalayak?

M: kaam pe toh fir bhi gyi hai vo... Ab kya bole hum...

Ammi: tune roka kyu nahi?

M: humari konsi baat maanti hai Heera dii

Ammi: Kya bol rhi ho, ek tumhari hi toh saari baate maanti hai vo aur tum uski...

M (smiles): ha ha ammi, aap fikar na kare...  Aapko toh pata hai ki vo chutti nahi leti... Par aaj vo wada karke gyi hai ki time se ghar aa jayengi... Aur hum dhyan rakh rhe hai, vo samay se dawai le rhi hai... Aur fir Ghar jaake shaam ko kaada bhi de denge na hum unhe...

Ammi: chalo fir thik hai, dhyan rakhna, uska bhi aur apna bhii... Aur hume khabar karte rehna... Varna hum toh isi soch mein padhe rahenge yaha...

M: ohooo, ammi, aap itna na soche... Sab khariyat hai yaha... Chaliye ab aap bhi lunch kar lijiye... Aur hum bhi kar lete hai...

Ammi: ha ha, kha le tu ache se... Aur ek baat bata, final posting Teri kaha Hui? Mpt, Janpad, Lucknow?

M: Ji ammi

Ammi: chalo acha hai... Rakhte hai, khuda haafiz

M: khuda haafiz ammi, dhyan rakhiyega...
M wipes her hands and cuts the call
...............The call ends...........

KS keeps the phn away
KS: toh tumhari didi ka naam Heera hai?

M: Jii....

PJ: tumhari ammi bahar ghumne gyi hai kya? Saath mein nahi hai abhi? Jo aise baat kar rhi thi?

M: ghumne nahi gyi hai, ammi yaha is sheher mein rehti hi nahi hai...

PJ: toh tum akele ?

M: nahi nahi, Heera di hai na... Hum aur di saath mein rehte hai..

KS: Par aisa kyu?

M: vo isliye kyuki ammi Ghaziabad mein rehti hai, mausi ke paas, mausi ki tabiyat kharab rehti hai aur koi apna bacha nahi, toh ammi unke saath hi rehti hai, unka dhyan rakhti hai... Bas mahine mein kabhi 2-3 din ke liye aa jaati hai, jab mausi ke paas unke ek rishtedaar aate hai....

SS: unke rishtedaar aate hai toh tumhari ammi kyu vaha rehti hai?

M: areh vo toh 2-3 din ke liye hi aate hai na mahine mein... Aur mausi ka ilaj aisa hai ki vahi ho sakta hai, idhar shift bhi nahi kar sakte.... Aur humari padhai aur di ka kaam, sab yahi hai... Aur ammi vaha ek orphanage bhi chalate hai .... Toh vo chodhke bhi nahi aa sakte vo... Toh fir ammi vaha, hum yaha...

KS: ohoo... Ye toh kathin hota hoga...

M: haa....thoda toh hai... Par kehte hai na, jo hota hai, ache ke liye hota hai

KS: Sahi baat ekdum, par suno M, tumko agar kabhi humara zarurat Lage, kisi bhi chiz mein, padhai vagera mein bhi... Toh yaad karna hume...

M (smiles): Ji, zarur, shukriya

By this time, they all are done eating....

HM: Toh ab khana peena ho gaya ho toh vapas kaam pe lage?

Everyone : ji MS

KS: Par aapne toh khaya hi nahi abhi tak?

HM: voo... Hume abhi bhook nahi hai KS

KS: par d... I mean, MS fir ekbaar Kam pe lag jayenge toh aap kaise khayengi... Nahi nahi, aap kha lijiye na pehle...

MS: KS aap tension mat lijiye, hum kha lenge beech mein, aur jab hum khayenge tab aap hongi na sab sambhalne ke liye..

KS: Vo toh hum humesha hai aapke liye

HM smiles and when she was about to get up from her chair...

HM (sneezes): achii

And then HM starts coughing...

Everyone: areh MS, kya hua aapko...
KS rubs HM's back and M gives her water...
HM stops coughing...

KS: Areh MS, aapko toh fever hai... Santu, thermometer lekar aao store room ke medicine box se...

SS: Ji madam

KS (to HM): MS aap aaj duty pe aayi hi kyu jab aapko itna fever tha.... Chaliye aap gym room mein...

HM: KS hum thik hai...

KS (in anger): Chup kariye aap... Aapne khana bhi nahi khaya... Koi aise karta hai bacho vala harkat... Chaliye ab
KS catches HM from one side...
M (goes to catch her from the other side): Aaiye hum help kar dete hai...

KS (shouts): Ama nahi, dur raho tum...

M: Par kyu?😲

KS: Kaha na humne ekbaar...

M: areh Parr....

KS: Chup, CC tum aao idhar...

CC and KS take HM in the gym room and make her lie on the bed... PJ and M follows... Meanwhile SS gets the thermometer...
KS checks...

KS: Hey bhagwan...

Aaj ke liye bas itna hi...
Kyu KS ne M ko dur rehne bola?
Sochte rahiye...
Please like, comment your views and share.
Your views are very important for me.
Thank you and please ignore grammatical errors if any.

Acha toh abhi hum thode free hai aur story ready padhi hai bolke jyada jyada parts aa rahe hai, ek din mein jyada uploads ho rahe hai, par thode din mein speed Kam ho jayegi... 2-3 din mein ek part aayega... Jaise sabhi ka aata hai... Toh please support banaye rakhiyega 💕

Ji, Hum Hi Hai!जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें