part 15

510 48 7
                                    

KS (shouts): Ama nahi, dur raho tum...

M: Par kyu?😲

KS: Kaha na humne ekbaar...

M: areh Parr....

KS: Chup, CC tum aao idhar...

CC and KS take HM in the gym room and make her lie on the bed... PJ and M follows... Meanwhile SS gets the thermometer...

KS checks...

KS: Hey bhagwan... Ama aap topa hai ka... Aapko 102 bukhar hai fir bhi chali aayi kaam pe...

HM (she sat up on the bed): Aisa nahi hai, hum thik hai KS

KS: Chup, Aap ab aur kuch nahi bolengi... Aur hum jaise jaise bolenge....vaise vaise karengi....

HM (nods): Acha thik hai, par aise gussa toh mat kariye na🥺

KS: Kaam hi aise karti hai aap, kya karenge hum boliye.... vaise dawai hai aapke paas...

HM: umm vo... Dawai toh nahi laaye hum

KS: ohooo... Acha suniye, pehle aap khana kha lijiye... Fir aap dawai leke so jaiyega yaha par.... Ya hum aapko Ghar chodh de?

HM: Nahi nahi, hume ghar mat bhejiye .... Gharpe toh koi nahi hai filhaal... Hum vaha jaake kya karenge.... Hum thaane mein hi thik hai....

KS: fir aapko ek Vada karna hoga humse...

PJ: kaisa Vada?

KS: Yahi ki abhi PJ aap inhe khana khila dijiye... Santu tum thanda baraf vala paani ready Karo, hum dawai lekar aate hai.... CC tum thana sambhalo aur iska bhi dhyan rakhna (refers to M)

Cheetoshpa :Ji Madam

KS: Aur M tum, Bache fever aur cold and cough communicable hota hai, unse tumhe ho gya toh... Choti si toh ho phool jaisi.. isliye tumko dur rehne bol rhe the hum... Ekbaar mein muh ban jata hai nautanki ka😂

M: Hum toh Darr hi gye the...

Everyone laughs at this...
KS hugs M...

Everyone gets on their work... CC, KS, SS leave from gym room

PJ: Hum bhi aate hai aapka tiffin leke MS, tum yaha ho na tab tak M?

M: Ji...

M gives a tension and anger look to HM to which HM makes a puppy face

M: Humko toh baat hi nahi karni aapse

HM: areh... Ab aap bhi gussa ho jayengi toh humara kya hoga....

M: Hone dijiye jo hona hai... Aapko konsi padhi hai kisi ki.... Itna bhi kya hai ki khana nahi khaya, pata tha aapko hum bhi kuch bol nahi payenge sabke saamne....

HM: arey, sorry na meri jaan...

M: No😒 acha rukiye... PJ aa gyi... ab Hum aate hai... Par yaad rakhiyega, naraz hai hum aapse...

PJ enters and sits beside HM and starts feeding her, M leaves...

M: Karu di...

KS: Haa bolo bacha...

M: Vo humare paas bukhar ka, cold and cough ka dawai hai... Humne subah hi kharidi thi apni didi ke liye... Aap vo MS ko de dijiye...

KS: par vo toh tum apna didi ke liye Li thi na..

M: Ha toh madam ek hi baat hai... Hum Ghar jaate hue aur le lenge agar zarurat lagi toh...abhi MS ko iski sabse jyada zarurat hai

KS: Areh par hum le aate hai na, tum kyu taklif kar rhi...

M: isme taklif ka kya hai, aapne hi kaha tha na ab hum bhi is parivaar ka hissa hai... Aur abhi lunch time ke liye sab shops band hongi... Kaha bhatkengi aap... MS ko bhi sabse jyada abhi aapki zarurat hai... Aur is dawai ki....

KS: baat toh humara 100 pratishat sahi hai.... Thik hai... Chalo MS ko dawai de de...

M: nahi nahi, aap jaiye, hum yahi kaam karte hai...

KS: acha okay...

KS goes to the gym room, HM was done eating

KS: Khaya ki nahi inhone kuch PJ?

PJ: Ha, khaya toh hai, par ache se nahi...

KS: kyu bhai dii... Matlab, MS, kyu nahi khaya aapne?

HM: Areh, humne khaya hai... Aur KS muh ekdum kadwa kadwa lag rha hai... Isliye aur khaya nahi jayega humse... Hum sach keh rahe hai...

KS: thik hai, PJ aap le jaiye tiffin aur kaam kijiye, hum MS ke paas hai ab...

PJ: thik hai...

HM: Aap jaiye... KS, hum ekdum thik hai...

KS: vo toh dikh hi Raha hai... Lijiye, dawai kha lijiye...

HM: Itni jaldi kaise le aayi aap? Abhi toh dukan bhi band hogi... Lunch time ke liye

KS: Vo M hai na, pura saviour ki tarah usne hume ye dawai Diya hai... Aur humne use kaha hai ki shaam ko yaad se Ghar jaate hue vo apna didi ke liye le le aur....

HM: Ohh... M ne diya hai?

KS: Jii, ab khaiye ise aap... Aur so jaiye... Santu paani laati hi hogi... Fir hum aapka sarpe Patti kar denge...

HM: Areh uski koi zarurat nahi hai... Aap jaiye M ke paas... Aaj unka first day hai... Aur aaj hi ye sab, aise acha thodi lagta hai, kya sochegi vo....

KS: MS, M bohot samajhdaar hai... Ekdum jaisa uska documents pe likha tha... Vo itna toh samjhegi hi

HM: fir bhi...

KS (interrupts): aap bakaiti mat kijiye aur... Humne keh diya na... Hum yahi rahenge....

SS enters

SS: Madam ye lijiye Patti karne ka saman...

KS: Dhanya Santu, bohot badiya kiya ye toh tumne...

HM: Shukriya Santu

SS: Mention not madam, par HM aap jaldi thik ho jaiye bas... Aapko aise bed pe dekhke acha nahi lag rha...
HM smiles

KS: Ama Santu... Ek aur madat kar dogi kya humara?

SS: Haa madam, boliye na...

KS: Abhi field duty hai na tumhara?

SS: Ji madam, bas niklungi 15mint mein...

KS: bohot badiya, toh fir M ko bhi apne saath le jaao na... Aur dhyan rakhna uska haa...

SS: Okay madam, sure....

KS: thank you Santu, humko bharosa hai tumpe ki tum sambhal logi uske saath...

SS (smiles): ji madam... Jai Hind...

KS and HM: Jai Hind

SS was about to leave when

HM: Areh SS suniye...

SS: Ji... Kahiye MS

HM: aap M ko leke jayengi na... Toh use boliyega ki cap pehen le, agar uske paas na ho... Toh humare cabin se le le... Humare table ke last drower mein hai... Bohot dhoop hogi na...

SS: par MS, M SHO ki cap kaise pehen sakti hai?

HM: SS, hum civil cap ki baat kar rhe hai... Ek hai humare paas... Vo unhe lene bol dijiyega... Aap toh uniform vaali cap pehenke hi jayengi na... Par Unke paas toh hai nahi...

SS: Acha acha, okay MS...

SS leaves....

In gym room, kareena's  conversation

KS: chaliye ab aap let jaiye... Hum Patti kar dete hai...

HM lies down... KS shifts and sits on the bed , HM puts her head on KS's laps...
And KS starts doing the Patti, and continues the conversation


Aaj ke liye bas itna hi...
Kya ho payega ek pyara sa #kareena moment... Ya fir aa jayega koi pareshan karne?
Sochte rahiye...
Please like, comment your views and share.
Your views are very important for me.
Thank you and please ignore grammatical errors if any.

Ji, Hum Hi Hai!जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें