part 27

350 41 12
                                    

Vaise toh aaj, itni jaldi mera next part upload karne ka koi scene nahi tha... Parrr... Msians ka Sunday wala dukh main samajhti hu🥺 usi ko dhyan mein rakhte hue... Pesh hai...

Bohot bakaitii karli maine... Ab aaplog  padhlo jaake😁

Enjoyy Readingggg ❤️

HM: aap chinta mat kariye... Abhi hume aapka ques paper banana hai... Toh humne book ki photos le li thi... Hum abhi vo banayenge... 1 hour se pehle ghar nahi ghusenge...

M: fir thik hai

M goes to pack her bag while HM checks the paperwork

M (in mind): acha hai, ab pehle jaake ghar saaf karna padega... Hum toh jaldi jaldi mein pura messy chodhke aaye hai room ko... Dii ne ghar ki vaisi halat dekhi toh merko hi gharse nikal degi... Fir thoda padh bhi lungi jisse atleast pass ho jau... Uff  (sighs)

HM (shouts from cabin): Mannat.... Mannat idhar aaiye cabin mein...

M (in mind): inhe kya hua

M: aaye...

HM (shouted): I said leave everything and come to my cabin right now!

M rushes to the cabin

HM: kya hai ye?

M: um... Paperwork hai na MS

HM: haa, dikh raha hai hume, kaisa paperwork karke diya hai aapne...

M: ummm.... Kya hua MS?

HM: Kya hua?😡 Ye kaise kaam kiya hai aapne? 1 line yaha pe 2 baar repeat kardi.. ye 2 spellings galat hai... Ye submit kare hum HQ mein?

(M was just listening to the scolding bowing her head down)

HM: khade mat rahiye... Boliye, kaha dhyan tha aapka?

M: um vo...

HM: ek second, kya aap gaana sunte sunte kaam kar rhi thi?

M: haa... vo....sorryy dii... Matlab MS... Akele boring lag rha tha toh...

HM (shouting): aap pagal hai kya?! Ye koi mazak lagta hai aapko?

(HM raises her hand to slap M and M closes her eyes in fear but HM puts her hand down and is frustrated)

HM: aap thaane mein nahi hoti toh lagate aapko kheech ke... Aur batate ache se... Irresponsible!

M: (silent)

HM (shouting): aise karta hai koi kaam? Gaane sunte sunte? Time pass kar rhi thi aap ki kaam? Aapko kisi baat ki seriousness samajh bhi aati hai

KS enters at that time and sees HM scolding M, KS is shocked at this sight seeing HM being so angry... She feels pityful for M and wants to save her. But M is habituated with her sister scolding her so she is listening to it silently until KS broke the silence.

KS: Jai Hind MS, kya hua? Koi baat hai kya?

HM: Jai Hind, jii... Kya hoga... Aaplog ke laad pyaar ne bigaad diya hai isse...

KS: kya matlab?

HM: report banane kaha tha na humne inhe...

KS: ji MS, vo toh humne iske saath rough likh diya tha, M ko sirf copy karna tha...

HM: vahi hum keh rhe hai, copy tak nahi kar paayi ye dhang se, mistakes dekhiye...

KS: um...

HM: Ab firse report banani padegi, kal bhejni hai HQ...

KS: hum bana dete hai, vaise bhi aaj humara night duty hai toh

HM: nahi KS, aapke paas aur bhi kaam hai... M ne galti ki hai toh use sudharni bhi toh padegi...

M: ji MS, I'm sorry, is report ko karne mein kitni der lagegi aapke hisaab se?

HM: sahi se karengi toh 1½ hours...

M: toh hum kal subah 1½ hours jaldi aake kar denge...

HM: ek second, kal kyu? Aaj ka kaam hai na... Toh aaj khatam karke fir Ghar jaiye..

M: Par MS? Aaj?

HM: ji, aaj, abhi!

M: areh par Humne toh aapse kaha tha na Aaj hume jaldi ghar jana hai

HM: toh humne bhi kaha tha ki kaam priority hai, aapka task hi updated nahi hai toh aap ghar kaise jaa sakti hai!

M: Parr... 🥺

(It was quite visible that M was already frustrated, her eyes were teary for her sister scolded her and she was also angry because HM had told her that she will send her home early but now she refused her to go home, in frustration, she jerked her hand in fist, both HM and KS noticed that but decided to let it go)

KS: chalo, hum jaldi help karke khatam karva dete hai... Fir Ghar chali jana

HM: nahi KS, aapke table pe nahi, rough report hai na inke paas, bas fair hi toh karni hai... Humare cabin mein baithke kar legi

(M did not want to remain in HM's cabin as she was angry on her)

M: nahi MS, hum KM ke sath kar lenge...

KS: ha, hum karva denge...

HM: humne mana kiya na, KS aapko chargesheet nahi banani? Aur aapka time bhi toh precious hai, ye baat M ko samajhni chahiye, aapne help karke apna part kar diya hai... Ab M ki baari... Vaise bhi humara kaam ho gya hai almost, toh hum baithe hai yaha...

KS: thik hai MS, jaisa aapko sahi Lage... Jai Hind.

HM: Jai Hind

KS leaves...

HM: aaiye... Baithiye...

HM keeps a chair near her chair and M sits and was about to start writing when HM pushes a glass of water in front of her and removes the coaster (which meant, HM offering water to M). M sees that and pushes it back again (which meant, she refused to take it). HM pushed it again but M pushed it back again...

HM pushed it for the third time

HM: Pi lijiye...

M (akad ke, jaise zidd pe adi ho): hume nahi peena

HM (sternly): I am not asking you😒

M gives a look to HM

HM (angry tone but normal voice): Order de rhe hai, pi lijiye

M (murmers): Khali huqum chalati hai, Hitler kahi ki...

M drinks the water, as water helps in calming her down, while drinking water, a lone tear dropped down from her eyes (as you know, drinking water heals anger and sadness, so that was what happened) so HM keeps her hankie in front. M finishes the glass of water, picks the hankie, this time without any nakhra and wipes her face.

M: I'm fine, vo toh aankh mein kuch chala gya tha... Aap ye mat sochna ro rhi thi main... Main strong hu, roti nahi😐

HM (politely): ofc ofc, hum jaante hai..

M was then completing the report while HM was making M's question paper for the test. M tried to peep and see the questions but HM's glares stopped her and she couldn't see anything.


Aajke liye bas itna hi...
Bohot bada part daala hai... Aap bhi thoda pyaar barsa dena🥺

Public ki bhaari demand pe aaj maine Haseena ka strict avatar dikhaya... Toh kya kehte ho? Pasand aaya? Tab hi aur aisa dikhaungi? And let me tell you, this is just the beginning....

Aage kya hoga..
Sochte rahiye...
Please like, comment your views and share.
Your views are very important for me.
Thank you and please ignore grammatical errors, if any.

Ji, Hum Hi Hai!जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें