part 64

277 55 28
                                    

BONUSSS EPISODE!!
~ Public's Demand

KH: mahi kyu aise kar rhi hai, jiji bhi gusse mei hai, tu bhi... Aap dono baad mei baat karna

HM: haan, abhi baat aur bigadh jayegi... Baad mei karna aap dono baat

KS: par hume abhi baat karni hai

M: aur hume toh baat krni hi nahi hai...

Saying this, M again turned and started leaving but this time KS caught her by her ear and dragged her again to the centre of them living room

M: ouch... Aa...

KS: jyada himmat nahi badh rha tumhara?

KH: jiji chodh de na, use lag rhi hogi

KS: toh lagne do... Aur tum (to M) ye kya laga rakha hai tabse... Kis baat ka itna gussa chadha ke baithi ho sarr pe

M: kyu bataye, hum nahi batayenge

KS twisted her ears again

M: ouh..

KS: bataogi ya nahi?

M: nahi nahi nahi, hum nahi batayenge... Aapko kaan kheechna hai na... Kheechiye... Ek kyu? Dusra bhi khicho... Par hume aapse koi baat nahi karni hai

KS: ama tum topa gayi ho kya bilkul hi, ek aisa zorr daar kantap lagayenge na abhi, toh vo bhi bologi jo aaj tak kisi ko nahi bola hoga

KH: jijii... Jijii aap use chodh de na pls... Hum batate hai vo kyu naraz hai

KS: nahi, kyu? Ye khud nahi bata sakti...

M: kyu bataye hum, nahi batayenge!

HM: Mannat!

KS: ama tumhari (she twisted her ears more)

M: aaii...

KH: jiji pls use chodh de na, bohot lag rhi hai usko, dekhi toh sahi... Hum batate hai na... Ye aapse isliye naraz thi kyuki aap iske bina hi thaana se nikal ke akele Ghar chali aayi... Usko apne saath bike pe nahi laayi

KS left M's ear and M started rubbing it when KS held M's hand

KS: bilkul nahi
(This meant that she should not soothe it)

M put her hand down and rolled her eyes

KS: ama tumhari...

HM: Karii aap toh thoda shaant hoiye

KS took a deep breathe and continued

KS: kya bilkul hi topa gyi ho tum? Itna sa baat pe itna kon bhadhakta hai?

M: hum... Hum bhadhakte hai, koi dikkat hai? Hai bhi toh apne paas rakhiye...

KS and HM were about to intervene but M continued not allowing her to

M: roz roz aap aapi se ladke hume apne saath bike pe leke aati hai... Thaane mei bhi hume aap pura time laad pyaar se rakhti hai, galti hone pe daat ti hai, par pyaar se samjhati bhi hai baad mei... Par aaj... Aaj toh aap hume chodh ke akele aa gyi... Hume itna kharab laga... Areh ek baat chupa li humne... Ho gyi galti humse... Ab kya hum itne kharab ho gye ki aapke saath aane jaane ke kaabil bhi nahi rahe? Toh sorryyy...

Saying this M left from there and rushed into her room as tears had dwelled up in her eyes but she did not allow them to fall, leaving a shocked KS behind her. While HM and KH shared a look

KS spoke to them

KS: ama itna se baat pe itna kon gussa hota hai?

HM: Mahi... Hoti hai na... Aap hi ki copy hai puri... Hum na kehte the... Aap se 2 Guna jyada short tempered hai (stretching on the word 'short tempered)

KS: areh par hum toh gusse mei nikal gye the, itna socha hi nahi humne

KH: gussa, vahi toh problem hai na aap dono ki

KS: tum bhi

HM: kya vo bhi? Itni baar roka humne usko, aur Khushi ne aapko... Par aap dono sunti kaha hai kisi ki...

KH: vahi na, ye nahi ki thoda jazbaat se kaam le

HM: nhi nhi, vo thodi aata hai inhe... Ghar ko yudh ka maidan bana diya hai dono ne

KS: ama aap dono hume kaahe suna rhi hai

HM: dekhiye, ab humara dimaag mat garam kariye... Varna hume gussa aa gya toh dono ki dande se pitai karenge... Toh behtar hoga ki aap dono apne masle jald suljha le... Fir hi hum Khushi se related baat karenge

KS: ama par vo toh gussa hai... Aur aap hume bhi maarengi?

HM: bhuliye mat, best friend hai hum aapke... Aur, senior bhi, aur aapse 2 saal badhe bhi...

KS gulped in fear

KS: nhi... Hum.... Hum toh aise hi bas... Hum jaate hai na M ke paas, usse baat krte hai, usko mana lenge hum...

Saying this KS left from there in a rush

KH turned towards HM while HM tried to maintain a stern look

KH: aapne purposely daata na jiji ko

HM nodded

And KH bursted out laughing... And HM did the same

HM: shushh... Dhire... Vo sun lenge😂🤭🤭

KH: 😂😂🤭🤭 hawa tight aapne jiji ki, manna padega

HM: han toh, dono kabse ladhe jaa rhe hai, dimaag kharab kar diya humara

KH: haha... Par abhi bhi ek problem hai....

HM: kya?

KH: inka sort hone pe jiji meri investigation karegi, aur mai pitne vali hu zorr daar (said with puppy eyes)

HM: kaam hi aisa kiya hai


Aajke liye bas itna hi...

Aage kya hoga? Kya HM bacha payegi KH ko?
Sochte rahiye...

Targets: 🎯💯

Votes:40
Comments: 30

Please like, comment your views and share.
Your views are very important for me.
Thank you and please ignore grammatical errors, if any.

Ji, Hum Hi Hai!जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें