part 7

526 43 2
                                    

#Episode 7:

KS: 12:30 baje ke hisaab se bhi tum late ho aadha ghanta

HM: Hmm, sahi keh rhi hai KS, hum vajeh jaan sakte hai is disrespect ki?

M- Konsi disrespect? Humne toh kisi ko disrespect nahi kiya?

HM: Aap duty pe late aayi, vo bhi pehle din, toh ye toh disrespect hi hua na

M: Nahi MS (everyone was shocked 😳 on hearing this answer)
M (continued): Areh aap sab aise mat dekhiye, humara matlab hai ki MS, hum pure 11:45 pe nikal gaye the apne centre se

SS: kaisa centre?

M: Jo students is government scheme ke part hai unhe bulaya tha paas vale centre mein id card lene ke liye, toh hum vahi gye the, ye dekhiye humara ID maddamsir

HM (sees it and returns): Hmm

CC: par vo toh 15mint dur hi hai bas

M- Haa, tabhi toh keh rahe hai, hum apne dosto se baate karne bhi nahi ruke, na hi unke saath matargashti ki, sachii, hum sidha auto pakadne hi vale the ki Pranay aa gya... Aur tabse yehi sab chal raha hai... Isliye late ho gyi

HM: toh 11:45am se aap Pranay vale mamle mein hai?

M: Ji MS

HM: thik hai, is baar hum kuch keh nahi rahe hai, par agli baar aisa nahi hona chahiye, aapko time se thana aana jana hoga aur neat and tidy hoke

M: Ji MS

KS: uniform kaha hai tumhara?

M: Abhi mila nahi hai madam

KS: toh kab milega?

CC: Sarkar kabhi koi kaam time se karta hai ka madam jo isbaar karega?

SS: Haa, maine bhi kabse walky talky ke liye email bheja hai, abhi tak unhone provide nahi kiya

KS: Ama tumlog...

SS and CC (together): Sorry madam😢

M: vo madam, aaj hi measurement deke aaye hai, agle week jaake laana hai

KS: Acha thik hai, time se le lena

HM: Aur tab tak isi type ka dress thik hai jaisa aapne aaj pehna hai, bas baalo ka dhyan rakhiyega

M: Ji thik hai.

HM: Chaliye, pehle Pranay vali kya problem hai, ise dekhte hai, fir aapse aage guftgu karenge (to M)
M: Ji MS
Everyone went outside in the main hall

HM (to Pranay): Hmm, toh aap batayenge aap kon hai aur aapke kya iraade the ki KS ko bheje andar?

Pranay: MS, hum sab sach sach bata rahe hai, Pranay naam hai mera, main Rinki ke father ke office mein manager hu, unhone hi bheja tha mujhe Rinki ko laane ke liye

HM: toh aapne Rinki ki jagah Mannat se kyu bole sang chalne?

Pranay: Maddam, isne Rinki ka id card pehen rakha tha, toh hume laga ye vahi hai, ab koi kisi aur ka ID thodi pehenta hai

HM: Kya ye sach hai Mannat?



Kya hai ye golmaal? Kon sacha hai?
Mannat ya Pranay?
Sochte rahiye...
Aaj ke liye bas itna hi, please like, comment your views and share.
Your views are very important for me.
Thank you and please ignore grammatical errors if any.

Ji, Hum Hi Hai!जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें