part:-20

721 88 11
                                    

Hiten:- lo shuru ho gayi papa ki pari

Pallavi:- ha hu mai papa ki pari ...hunhh... Ha to kaha thi mai...6 march 1997 ko ek cute si beautiful ladki paida huyi....jiska naam mere baba ne pallavi rakha ..pallavi means new leaf ...a new life

Raghav gets shocked to hear 6 march bcoz on that day pallavi wore white clothes ....it is the same day when she behaves rudely with raghav.....n he was disheartened by her behaviour...

P:- mere baba mere superhero the ...wo mjhe kabhi jara si bhi takleef nahi hone dete the...mjhe roj school k liye ready karna phir school chhorna ...mere liye yummy khana banana ..mjhe roj raat me  story suna k sulana.....mjhe baba sirf naam k liye hi princess nahi kehte the balki princess ki tarah rakhte bhi the... Mere bolne se pehle hi smjh jate the ki mjhe kya chahiye...mjhe bhut sir pe chadha k rakhte the baba..
Kabhi kabhi aai es bat k liye baba ko daat bhi deti ki wo mjhe bigaad rahe h.....pata h hmesa school se aane k bad mai baba ki sweet shop me aa jati thi aur kabhi kabhi to apne dosto ko bhi le ati thi aur phir baba hum sabko sweets diya karte the ...baba na mjhe waha pe sweets banana bhi seekhate the ..

Hiten:- arey bachpan me to ye laddu kha kha k khud laddu ki tarah gol matol ban gayi thi...esko dekh k koi bhi bata sakta tha ki ye halwai ki beti h

P:- tum chup Karo...kitni cute bhi to lagti thi mai...

R:- cute to tum abhi bhi lagta h

P:-gives a cute smile to raghav....pata h mere baba her sal mere birthday pe kolhapur k orphanges me bachho ko khud ka banaya hua khana aur sweets distribute karte the....baba hmesa apni income ka 20% charity kiya karte the ...aur kehte the wo khud ko bhut lucky smjhte the ki bappa ne unhe es kabil banaya ki wo logo k liye kuch kar sake ...waise unko bhut se log ye bhi kehte the ki ye charity k paise business me invest karo aur paise se paisa banao per mere baba kehte the ki apne pariwar ko ek achi jindagi dene k liye jitne paise ki jarurat h utne se jyada apne pas paise  rakh k kya karege wo . ..mere baba hmesa apni Dil ki sunte the isiliye unko koi farak nahi padta tha ki koi kya sochta h unke bare me wo wahi karte the jo unko sahi lagta tha...baba me na jara sa bhi ghamand nahi tha ki wo kolhapur k rich class k logo me se ek h.....baba sabse ek hi tarah se behave kiya karte the...aisa nahi tha ki koi ameer h to usse kuch jyada hi achhe se bat kare aur jo kam paise wala h usse akad k.... Mere baba ekdum down to earth the. ...aur mjhe bhi unhone aisa hi banane ki kosis ki ... waise meri aai bhi bhut hi achhi thi....wo bhi paiso se jyada rishto ko mayne dena seekhati thi mjhe... Aai kehti thi ki jeene k liye to hum kaise bhi kar k paise kama hi lege...lekin agar ek bar koi rishta humne gawa diya to phir se usko dubara se kamana bhut muskil hota h ....

R:- thinks tumhara aai ekdum correct bola tha....maine paisa to bhut kama liya lekin phir se ek beta aur bhai ka rishta kamane me fail ho gaya ...

P:-mjhe bachpan se drawing aur dance ka bahut shauk tha.... drawing ka shauk dhere dhere jwellery designing me convert ho gaya aur dance ka shauk trained kathak dancing me.....

R:- what... tumko kathak ata h ...

Hiten:- she is a well trained kathak dancer...college me isko kai bar prize bhi mila h eske kathak k performance k liye ...

Shweta:- oh to humara raghav bhi peeche nahi h ...isko bhi bharatnatyam k performance k liye kai awards mile h college time me......

R:- arey tum mera aur pallavi ka kaiko ko comparison karne lag gaya .

Shweta:- mai to bas bata rahi thi ...Acha chalo phir se apni story continue karo

P:- mjhe na bachpan me aai ki jwelery pehnne ka bhut shauk tha mai unki jwelery pehen k ready ho jati thi....aai ko bhut gussa ata tha kabhi kabhi kyuki mai unki saari jwelery utarane k bad edhar udhar kahin bhi  rakh deti thi aur phir unko khojna padta tha..n she giggled saying this...to ek din aai ne gusse me bol diya ki itna hi jwelery pehnne ka shauk h to apne baba se keh k apne liye mangwa lo.  .phir kya tha baba ko jaise hi ye bat pata chali unhone mere 10th  birthday pe mjhe ek sundar sa bracelet gift kiya jispe mera naam likha tha aur usme bhut hi rare diamonds lage huye the ....baba ne jab mjhe wo bracelet diya to kaha ki esko kabhi bhi edhar udhar mat rakhna hmesa apne paas sambhal k rakhna kyuki esme bhut hi rare diamond h bilkul tumhari tarah....pata h tabse le ke aaj tak wo bracelet maine sambhal k rakha h aur usko khoya nahi.  

R:- remembers that bracelet n thinks sach me pallavi tum khud hi ek rare diamond h..jisko mai hmesa apna paas sambhal k rakhna chahta h.

P:- aai se maine hmesa ek bat seekhi wo thi apni ek  independent pehchan banana ....meri aai chahti to aram se ghar pe baith k saari luxury enjoy karti per meri aai ne kabhi bhi aisa karne ka nahi socha ...wo kaha karti thi ki ladki k baap , bhai , pati chahe kitne bhi paise wale ban jaaye lekin ek ladki ko apni identity hmesa maintain karni chahiye ....log usko sirf uske pati ya baap k naam se hi  nahi balki uske naam aur kaam se usko pehchane aisa hona chahiye her ladki ko.....filhal to mai bhi wahi banane ki kosis kar rahi hu...
Mai khud ko bhut lucky samjhti hu ki mere aai baba ne mjhe bhut hi achhe life lessons seekhaye ...aur mjhe ek better insan banaya ..

Life me sab kuch bhut hi acha chal raha tha...mai aai, baba, mera chhota bhai Aditya aur aaji hum sab bhut khush the ...lekin jaruri nahi h ki her wakt khushiya hi rahe life me ....dukh ka hona bhi jaruri hota h warna humne khushi ki aehmiyat kaise pata chalegi ....

Aur dukh ka wo din bhi aya meri life me.....5march 2011... Aai baba kolhapur se Hyderabad ja rahe the meri aai k Amma aur nana ko lane k liye kyuki next day mera birthday tha to her saal ki tarah es saal bhi sab log milke mera birthday manane wale the.  ..per pata nahi kyu us din mjhe bhut ajeeb lag raha tha jab aai baba Hyderabad ja rahe the mai us din bhut royi aur aai baba ka hath pakad k unko jaane se rokne lag gayi aur kehne lagi mjhe chhor k mat jao....baba ne kaha ki agle din  subah wo wapas aa jayege plane se phir baba ne kaha ki kal subah jab  mai asmaan me dekhugi to mjhe unka plane dikhayi dega to mai plane dikhne tak unka wait karu ......aur phir aane k bad mera birthday celebrate karege .....per Mai phir bhi roye ja rahi thi.....lekin aai baba chale gaye mjhe chhor k....

Agle din 6march 2011 ko  flight board karne se pehle mere aai  baba ne ghar pe call kar k mjhse baat ki mjhe birthday wish Kiya aur bola bas kuch ghanto me wo chaaro log  3 ghante me kolhapur wapas aa jayege.....tab tak mai unka wait karu...maine pH karne k turant bad ghar k terrace me ja k baith gayi aur 3 ghante tak wait Kiya per mjhe aai baba ka plane aaj tak nahi dikha.. mai aaj bhi roj wait karti hu ki sayad kisi din wo plane dikh Jaye jisse mere aai baba wapas aa rhe the ...
Per ab wo kabhi nahi wapas aa payege kyuki wo plane kabhi kolhapur land nahi hoga.....kyuki wo plane us din crash ho gaya tha plane k sabhi passengers us din us crash me gujar  gaye the... Mere aai , baba, nana ,nani sab ek sath chhor k chale gaye mjhe ....n she started crying badly . ..

Raghav comes to her n side hugs her  n tries to calm her...after 10mins she becomes normal  ...while side hugging him she again started her story ...

P:- aai, baba k gujar jane k bad meri aaji ne meri aur mere chhote bhai ki parvarish ki .... Baba k jaane k bad unki shops me kaam karne wale kaai logo ne kaam chhor diya kyuki baba k bad Jin logo ne business handle Kiya wo baba ki tarah apne workers ko achhe se treat nahi karte the . .mere baba apne workers ko ek family ki tarah manate the aur hmesa unki jarurat k wakt help karte the. ...per jo baba k business partner the wo aisa nahi karte the. ..
Aaji to business k baare me kuch nahi janti thi wo to bas baba k business partners jo bhi income ka hissa dete wo bina kuch sawal jawab kiye rakh leti... Dhere dhere unke business partner ne jyada profit k chakkar me milawat ka kaam shuru kar diya aur sweets ki quality gira di per logo ko to wahi purana wala swad hi pasand tha ... isiliye dhere dhere customers dusre shops ki ore divert hone lag gaye....phir ek din milawati sweets ki wajah se kai log bahut beemar pad gaye.....to Food Safety & Standard Authority of India (FSSAI) ne baba ki shops k sweets ki checking karwayi aur pata chala ki her sample me milawat thi ...phir shops ka licence cancel kar diya ....aur baba ki maut k  lagbhag 5 saal baad  hi dukan pe tala lag gaya...govt ko fine bharne k liye humara ghar bhi bechna pada..  phir humare pas koi income ka source bhi nahi bacha tha.....mai college me thi aur Aditya school me.... Phir maine college k sath sath kaam bhi karna shuru kar diya ....per phir bhi itne paise nahi ho pate ki sab kuch manage ho sake ...

Phir aaji ne meri aai k Hyderabad Wale Ghar k baare me bataya ..

To be continued.......

raghvi os N Short Stories Where stories live. Discover now