part:-46

694 103 11
                                    

Raghav hugs pallavi tightly n cries....n after sometime he breaks the hug .....

R:- pallavi mere ko tumko apna baare me sab batane ka h.....mere ko nahi pata ki mera sach janne ka bad tum mera sath rahega ya phir tum bhi mere ko chhor k chala jayega.. lekin aaj mai tumko sab sach bata k rahega..... N he takes her to the room in which he has kept all his old memories....

P:-looks at the room n gets shocked she finds it similar to jaya's house....

R:- started his story...

Mera bhi ek chhota sa happy family hua karta tha... Nanna, Amma, mai aur mera chhota behen kirti aur sabse chhota bhai Arjun...jisko hum sab pyar se ajju bulata tha ..
Mera nanna school me maths ka teacher tha aur unko nadaswaram bajane ka bhut shauk tha...aur Amma ek dance school me bharatnatyam seekhaya karta tha.... Simple sa ek normal middle class family tha humara...ek chhota sa ghar  jisme bhut sara chhoti chhoti khushiyan hua karta tha.....her ma baap ka tarah mera Amma aur nanna ne bhi mere ko achha values hi sikha k mera parvarish kiya tha...

Mai bachpan se hi bhut tez tha padhai me... Mera Amma aur nanna  mera acha academic record ka wajah se mera pe bhut proud feel karta tha aur unko bhut sara expectations tha ki mai ek din bhut reputed aur bada businessman banega....aur mera bhi hmesa se yahich sapna tha...aur mai eska liye hmesa khoob mehnat bhi karta tha... Aas pas ka sab log  mera khoob tareef kiya karta tha aur school me bhi hmesa her koi mera knowledge ka liye mere ko praise karta tha.....

Mera room ka ek cupboard mera medals aur awards se bhar gaya tha...

Kirti aur Arjun ko mai bhut pyar karta tha .. unko hmesa ek achha bada bhai ka tarah protect karta tha mai... Unke sath khelna ...unko achhi baatein sikhana...unka her demand pura karne ka kosis karta tha mai....

Jyada paisa to nhi tha humara paas lekin itna kami bhi nahi tha paisa ka...ek dhang ka life jeene ka liye jitna ka jarurat tha wo sab fulfill ho jata tha.  .

Lekin ek din achanak se humara khushiyo ko sayad kisi ka najar lag gaya ....
Mera chhota bhai Arjun achanak se school me khelte khelte gir k behosh ho gaya...jab usko doctor ka pas le jaya gaya to pata chala k uska heart me ek chhota sa hole h...jiska wajah se wo normal logo ka tarah duad bhaag wala ...ya aisa kaam nahi kar sakta jisse uska heart pe stress aaye... Dr ye bhi bola k Arjun 2-3 saal se jyada jinda nahi reh sakta ... Lekin agar operation ho gaya to uska life  bhi normal ho sakta h wo  survive kar sakta h ..lekin operation ek saal ka ander ander karwana padega...
Per Operation bhut hi costly tha....

Nanna ne operation ka paisa jutane ka liye school se aane ka bad bachho ko tuition dena shuru kar diya....Amma ne bhi ek jagah aur kaam karna shuru kar diya... Per pallavi phir bhi jo paisa bachta wo itna kaafi nahi tha jisse k ek saal me operation ka cost juta sake....
Do mahine se mera Amma aur nanna din raat mehnat kar raha tha....aur mai roj unka ankho me Arjun ko kho dene ka darr mehsus karta ..aisa lagta tha ki hum sab Arjun k maut  ka wait kar rahe h ...
tabhi mai 12th standard me tha mai 17 sal ka tha tabhi....kuch mahino bad mera final exams hone wala tha....
To maine socha k mai bhi koi kaam karta hu jisse k mai apna bhai ka operation ka liye paisa juta sake....

Phir mere ko ek ladka mila lagabhag mera se 2-3 saal hi bada tha wo . Wo mere ko bola ki mere ko wo kaam dilwa sakta h jisse k mere ko achha paisa milega....

Mera kaam ek packet ka delivery karne ka tha...aur her packet delivery karne pe mere ko bhut paisa milta tha..mere ko nahi pata tha k un packets me kya hota h...kyuki jab wo packet diya jata tha to kaha jata tha k esko khol k nahi dekhne ka h esme bhut keemati saman h ..agar kho gaya to uska paisa mere ko dena padega isiliye mai es darr se kabhi wo packet khol k nahi dekhta tha....

Wo packets aksar bade bade gharo me..clubs....disco me deliver karne ko jata tha mai.. mere ko kabhi kabhi lagta tha k mai kuch galat kaam me involve ho gaya h per phir mere ko mera bhai ka chehra yaad aata tha aur mai apna es soch ko apna dimag se nikal deta tha...

raghvi os N Short Stories Where stories live. Discover now