part:-30

828 118 32
                                    

Raghav:-pehle hum sab log guntoor ka ek chhota sa gaon me raha karta tha...bhut hi simple sa lifestyle tha waha pe her kisi ka....aur mera family ka bhi...appa musician ka kaam karta tha ...wo shadiyo , aur gaon ka logo ka  functions me  nadaswaram bajaya karta tha....Amma bachho ko bharatnatyam seekhata tha... aur mai( raghav was 22yrs old that time) college ka final year me tha...Arjun(12yr) aur kirti (14yr) tabhi school me tha.. ek chhota sa ghar tha...hum sab log bahut khush tha apna chhota sa duniya me...aas pados ka logo ka  bhi family humare jaisa hi tha isiliye kabhi bhi aisa realisation nahi hua ki hum koi financially backward family se hai...waha pe kisi ka paas bhi koi bada ghar ya gaadi nahi hua karta tha...ha kuch 25-30km dur pe seher wala area tha aur waha ka life standard humara gaon ka life se kafi  different tha....lekin hum sab logo ko usse koi matlab nahi tha....

Aur gaon me her koi bahut simple tarika se rehta tha ..simple tarika ka kapda pehenna ...her kaam saadgi se karna koi showoff nahi tha....gaon ka sab log milkar ek family jaisa rehta tha...

Mai hmesa se Hindi aur Telugu medium me padha tha ... isiliye English me thoda weak tha.....aur gaon me itna opportunity bhi nahi tha....lekin jo bhi opportunity mere ko mila tha mai hmesa se uska maximum utilisation karta ....bahut sa gaon ka log seher ko jata tha kaam karne ko...aur kuch log successful bhi hua .....mai bhi sochta tha k din mai bhi seher ko jayega aur khoob paisa kamayega , bada aadmi banega....

( Year 2013 )
Ek din achanak se mai ek ladki se takra gaya...usko kuch gaon ka ladka log pareshan kar raha tha mai usko un ladko se bachaya .. per jab mai us ladki ko dekha to dekhta hi reh gaya ...wo gaon ka baaki ladkiyo se ekdum alag tha....uska dressing sense ...uska baat karne ka tarika ....sab kuch ekdum hat k tha....uska jaisa modern  ladki mai sirf films me hi dekha tha...aur wo jis tarah se farratedar  English me baat kar raha tha wo sab dekh k mai usse first meeting me hi bahut jyada impress ho gaya...

Us ladki naam Esha Madhvan tha , wo Hyderabad se guntoor aya tha...uska appa ka ghar humara gaon se 30km dur seher wala area me tha.... Wo gaon me ek mela laga tha wo ghumne ka liye aya tha...aur tabhi mai usko mila....

Phir jab mai uska help kiya to wo mere ko hug kiya aur thank u bola....mera liye ye ekdum new experience tha...  Per uska liye ye sab bahut common baat tha... Phir mai kuch dino tak esha ka baare me hi socha karta tha..

Ek din mai apna dost logo ka sath ghumne ka liye seher ka side gaya aur mera meeting phir se esha se ho gaya aur phir mere ko pata chala uska family ka baare me k wo to mera family se kafi rich hai....
Lekin mera aur esha me dosti ho gaya .....pehle hum log pH pe baat kiya karta phir dhere dhere hum log milne lag gaya ....aur kab humara dosti pyar me badal gaya mere ko pata bhi nahi chala ....mai esha ka sath apna future decide kar liya tha mai socha tha k mai agar shadi banayega to sirf esha se....lekin usse shadi karne ka liye mere ko bahut mehnat karne ka tha .. .achha paisa kamana tha aur ye bat mere ko bahut achha se pata tha... isiliye college over hote hi mai job khojne lag gaya ....phir mera ek jagah job bhi lag bhi  gaya mere ko ek mahine ka 10hajar rs milta tha aur starting k liye utna paisa bhut tha mera liye ...... Mera ghar se 15km dur mera office hua karta tha.... Aur office se lagbhag  10 km dur pe esha ka ghar...
To mera job lagne ka bad mai socha k mai apna ghar pe sabko esha ka baare me bata dega...kyuki mai kabhi bhi apna Amma Appa se koi baat nahi chhupta tha... aur lagbhag ek saal se mai aur esha sath tha isiliye mai decide kiya ki mai ghar pe sab bata dega...

Isiliye mai job lagne ka kuch din bad esha ko apna ghar pehli bar leke aaya .
(He tells pallavi about that day experience in details)... lekin us din ka bad se esha ko mere me kamiya dikhne lag gaya ...kabhi wo ye kehta ki mai uska dosto ko milwane layak bhi nahi hai...kabhi wo mera family ka baare me kuch ulta seedha  bolta...mera financial status se usko dikkat hone lag gaya tha...pehle usko mera simplicity pasand tha lekin ab usko mera usi simplicity se problem hone lag gaya tha....mera language se dikkat hota usko...lekin mai uska pyar me andha ho gaya tha ...mere ko uska ye sab baat se smjh hi nahi aaya ki wo mera se peecha chhurana chahta hai..

raghvi os N Short Stories Where stories live. Discover now