part:39

751 106 21
                                    

The pH conversation...

Kirti:- acha tumne apni cousin ko bataya humari engagement k bare me

Sunny:- ha ...n wo aur uska husband aa rahe h...

K:- wow finally tumhari family me se kisi ko milugi mai

S:- ha ....mai to uski shadi pe bhi nahi ja paya tha ...kaafi busy schedule tha mera hospital me...kai saari surgeries me assist karna tha mjhe senior doctors ko ..

K:- koi nahi....ab apni engagement pe mil lena aram se  

S:- ha... waise bhi family k naam pe  bas wahi ek h meri... ...megha is like my whole family ...my sister...my friend...my guide..aur kabhi kabhi meri ma bhi banne lag jati h wo...  he laughs. 

K:- so sweet ...aur koi dost nahi aayega tumhara .

S:- nahi...meri side se sirf megha n uska husband aakash...rahenge....

K:- ok....

S:- acha tumhara koi bhi Bhai ya behen nahi h.....i mean koi cousin bhi nahi h kya ...

K:- sunny sayad Amma bula rahi h mai kal bat karti hu tumse n she abruptly cuts the call

S:- arey aise achanak se pH rakh diya ...

K:- takes out a photo from her study table ....

In that photo ....

Raghav is sitting in the middle n both younger siblings are sitting on each side of raghav holding his hands....n all three siblings have a beautiful smile on their faces...

Kirti caresses that photo n says do bhai the mere ..per ab ek bhi mere sath nahi h...

Ek hmesa mjhse lada karta tha....meri her ek cheej me batwara karne chala aata tha.....meri chocolates....mere toys... ..yaha tak ki uski wajah se anna ka pyar bhi mjhe adha milta tha kyuki mere hisse ka adha pyar wo le jata tha...ek no ka badmash tha wo.....lekin mjhse pyar bhi bhut karta tha wo ....per ek din wo mjhe chhor k hmesa hmesa k liye chala gya...ab wo mjhse her chheej k liye kabhi jhagda nahi karne ayega...kabhi mjhe pareshan nahi karega...

Aur dusra bhai wo to mjhe hmesa apne sir pe chadha k rakhta tha...mere her k nakhre ko jhela karta tha... meri her ek ulti seedhi demands ko pura karta tha.. wo sirf mera bhai hi nahi tha balki wo to kabhi meri Amma ban k mjhe apne hatho se khana khilata tha ..mjhe lori ga k sulaya karta tha....to kabhi nanna ban k meri galatiyo pe mjhe daata karta tha phir jab mai rone lag jati thi to mjhe samjhaya karta tha....kabhi mera dost ban k mere sath mil k khoob masti kiya karta tha ,usse mai apni her ek baat share kiya karti thi ..mera bestie tha wo....  To kabhi ek bade bhai ki tarah mjhe protect kiya karta tha ..hmesa mjhe Amma aur nanna ki daat se bacha leta tha aur meri jagah usko daat pad jati thi...usne hi  mjhe her ek cheej seekhayi. .... Apna pehla kadam bhi maine uski ungli pakad k chalna seekha tha... Maine pehla word Amma nahi anna bolna seekha tha ....kabhi wo mera teacher ban kar mjhe padhane lag jata tha.... Jab mai udas hoti to mjhe hasane k liye wo ajeeb si tedhi medhi shakle banya karta tha...gudgudi kiya karta tha... mere liye dusro se lad padta tha....mai usko kitna bhi pareshan karti per wo kabhi mjhse naraj nahi hota tha....kabhi mjhe akela nahi chhorta tha..hmesa mera sath diya karta tha.. mai uski favourite doll hua karti thi....
Per usko ek din bure halato ne mjhse cheen liya.....phir maine hi apni bewkoofiyo ki wajah se usko bhi khud se dur kar diya ...ab koi nahi ayega Jo mjhe cycle pe baitha k ghumane le jaye ...koi nahi ayega Jo mjhe chupke se chocolates de...koi nahi h ab  jo mere chalte chalte thak jaane pe mjhe apne kadho pe baitha le...koi nahi h ab jo mere liye baarish me kagaz ki kasti bana k de...kaash ki mai kabhi badi hi na hoti ...kaash ki ek bar phir se mjhe apna bachpan jeene ko milta to mai anna ko kabhi khud se dur na hone deti ..
N she cries the whole night remembering her beautiful memories spend with her siblings...

raghvi os N Short Stories Where stories live. Discover now