part:-29

788 109 29
                                    

Raghav:- achha tum usdin mere ko pucha tha na k mai wo budhhe ko kaiko mara tha ...

Pallavi:- kab pucha tha maine..

R:- kaisa yaad hoga tumko....usdin to tum mera pura limited edition whiskey jo khatam kar diya tha...

P:- tumhe apni whiskey ki bahut chinta hai

R:- aur kya ...itna muskil se collection banaya hai mai....aur tum sab ek din me hi khatam kar diya

P:- excuse me Mrs Pallavi Raghav Rao hu mai to es ghar ki her ek cheej pe mera pura hak banta hai ...to mai chahe kuch bhi karu.  .. ardmaynda..

R:- looks at her lovingly...

P:- kya hua ab aise kyu dekh rahe ho mai bhut beautiful lag rahi hu kya ..

R:- smiles n says ha beautiful to tum ho ....per mai kisi aur wajah se tumko dekh raha tha ..

P:- kis wajah se

R:- jab tum aisa confidence ka sath bolta hai k tum Mrs Pallavi Raghav Rao hai to mere ko bahut achha lagta hai ....usdin bhi Jab tum wo jinda laash aur uska family ka samane pehli bar ye bola tha k mai tumhara pati hai to bhi bahut sukoon mila tha mere ko.....ek apnepan ka feeling mehsus hua mere ko ....waise usdin tum full gundi ban gaya tha....

P:- ha to kabhi kabhi banana padta hai.....

R:- mera sath reh k tum me bhi don ka quality aa gaya hai....itna sara planning plotting akela hi kar liya....aur wo bada bindi se kaise tum sab sach ugalwa liya...uska liye hats off ...mai to aisa karne ka soch bhi nahi pata ......

P:- smiles ... Acha tum jo baat bata rahe the wo continue karo ..

R:- wo budhhe wala na

P:- ha

R:- ha to usko mai isiliye mara tha kyuki wo kirti ko pareshan kiya karta tha....he was an eve teaser....

P:- kya wo bujurag aisa kaam karte the

R:-ha...aur mai kirti ka peecha bhi isiliye karwaya tha taaki mere ko pata chal sake ki usko kaun pareshan karta hai....koi budhha hai to eska matlab ye nahi hai ki wo koi galat kaam nahi kar sakta hai ..galat kaam karne ka koi specific age nahi hota hai.... Aur mai bas apna behen ko pareshan karne wala insan ko sabak seekha raha tha... Tum ye baat kirti ko puch sakta hai...

P:- sorry usdin maine bina soche smjhe tumpe hath utha diya tha...

R:- ha aur wo bachhe ko bhi mai nahi mara tha ...usko kaisa chot laga ye mere ko nahi pata hai ...... Ha mai manta hai ki mai chahta to us budhhe ka complaint karta police me n all ..but mere ko pata hai unsab se kuch nahi hota ....aur bekar me kirti ko police ka chakkar katna padta aur waise bhi us wakt kirti mera se naraj tha to ye bhi ho sakta tha k wo es bat se bhi deny kar jata k wo budhha usko pareshan karta hai....

P:- hmm...

R:- achha agar tumko wo Deshmukhs ka sachhai na pata chalta to kya tum us din unka sath wapas chala jata ...

P:- pata nahi....

R:- matlab

P:- matlab ye ki ha mai khush hoti ki sab log mjhe lene aaye hai aur wo log mjhe galat nahi samjhte ....lekin mai wapas jaati ye decision sayad mere liye lena muskil hota

R:- kaiko tum to us jinda laash ko apna ideal life partner manta tha...yaha tak ki mera se shadi ka bad bhi tum jab dekho tab usi ka naam ka mala japa karta tha.... Mere ko to us din pura strong feeling tha k tum mere ko chhor k us mandar ka paas chala jayega....aur wo suitcase leke jab tum neeche aya tab to ekdum confirm ho gaya tha k tum jaane wala hai...wo to achha hua k wo bindi ka gulam tumko sab sach bata diya....

raghvi os N Short Stories Where stories live. Discover now