part:-28

783 101 9
                                    

Pallavi:- ha batao raghav mjhe sab janna h ...

Raghav:- ha batata h waisa bhi tumko nahi batayega to kisko batayega...

P:- kya matlab

R:- matlab ab jab baat tumse juda hua h to tumko to batana hi padega na....to ab suno dhyan se....

Jab mai tumko pehla baar dekha to tum mere ko innocent sa ladki laga tha ....

Phir dusra meeting me tum wo road pe mera Amma aur nana ka parvarish ka baare me bola to mere ko bahut gussa aaya tumhare pe aur mai wo tumhara raw material jala diya gussa me...waise bad me mere ko thoda bekar laga tha es bat ka..mai socha tha ki tum agar dubara mila to tumhara nukasan ka bharpai kar dega mai....per tumne to mera police me complaint kar diya to mai aur bhadak gaya tumpe...waise mere ko tumhara strong aur bold attitude kafi impressive bhi laga tha kyuki aaj tak koi bhi mera se aisa baat nahi kiya tha...aur tum to bina mera se darre huye mere ko lecture diye ja raha tha us din road pe...ha manta h us din mera bhi thoda galati tha...mere ko jaldi se apna ghar ko pahuchna tha kyuki ek bigada hua ladki ko sabak jo seekhana tha mere ko..

P:- kaun ladki...

R:- wo mai abhi thoda der bad me batata h .... Phir us din ka bad tum mere ko market me sabke samne bina reason jane huye mera pe hath utha diya.....tumko pata h mai us budhhe ko yuhi nahi mar raha tha....wo budhha kayi ladkiyo ko roj stalk kiya karta tha ...unko badhha  comment pass karta tha .....aur us din road pe to wo ek chhota bachhe ko mar raha tha ....mere ko jab uska bare me pata chala to maine usko mara ...

P:- aur mjhe laga tha ki us bachhe ko bhi tumne hi mara h

R:- mai kabhi kisi bachhe pe hath uthane jaisa ghatiya kaam nahi kar sakta h pallavi....tumne agar waha khadi huyi bheed me se hi kisi ko pucha hota to wo bhi tumko sach bata deta ki mai us budhhe ko kyu mar raha tha...
Phir mai tumse badla lene ka liye us din tumko darane ka socha ...per us din tumhara ankho me innocence dekh k mai tumko utna nahi darra paya jitna k mai soch k gaya
tha....

Uska bad wo mandir me tum phir se mere ko misjudge kiya.....aur mere ko blame kiya ki mera wajah se
logo ko wait karna pad raha h....aur phir wo bheed bhadak gaya aur mera pe attack karne ko aage badha ....pata h usdin wo incident ka wajah se mere ko business me kafi loss bhi ho gaya tha ....to isiliye mai phir tumhara dukan ka pata laga k tumko waha saza dene ko aya .....per tumko to mera dhamki se koi farak hi nahi pada ulta tum mere ko hi suna diya phir se apna wo char page ka lecture..aur mera paisa mere ko wapas kar diya jo ki mai tumko insult karte huye diya tha ...

Us din phir tum mere ko apna attitude se shock kar diya ...kyuki mai usse pehle jitna bhi ladkiyo ko mila tha wo sab keval paiso k peeche bhagane wala ya chaalbaj type ka tha aur ek tum jisko ki koi farak hi nahi pada mera se ....mera paisa se...ekdum straight forward muh pe jawab dene wala...

Phir uska bad tum wo showroom me dikha to phir mai wo tumhara innocent sa ankhe dekh k tumko jaane diya kyuki tab tak mere ko tumpe thoda trust ho gaya tha....

Uska bad jab mai tumko ashram me dekha ki kaisa tum sabko pyar se khana bana k khilaya .....yaha tak ki tum apna payment me se waha donation bhi kiya ...mere ko tabhi ehsas hua ki tum achha ladki h per sayad mai hi galat smjh liya tumko...

Phir mai wo tumhara bana hua khana khaya aur mai behosh ho gaya. ..

P:- kya ..behosh per kaise..

R:- kyuki us khane me behoshi ka dawa mila tha ..

P:- per wo khana to maine banaya tha aur mai apne banaye huye khane me kuch kyu milaugi aur wahi khana to baki sabne bhi khaya tha

R:-relax....pehle mera bat sun lo.....phir mera behoshi ka halat ka fayda utha k wo Anjali ne apna aur mera compromising position me photo leke usko news channel walo ko de diya ....
Taki mera badnaami ho ...

raghvi os N Short Stories Where stories live. Discover now