part:-49

735 99 16
                                    

Raghav:- kuch ghanto bad wo train Guntur me aa k ruka jo k us train ka last stoppage tha.....

Mai kuch hafto tak wahi guntur railway station pe hi  ek platform pe anpa din gujara...aur roj mai bas apna job ka offer letter ko dekha karta aur yahi sochta k aisa kya galati ho gaya tha mera se jo k mera sath ye sab hua...Mai her kisi se apna contact tod diya tha ....Phir ek din mera paas jo bhi paisa tha wo sab khatam ho gaya...
Ab to khane ka bhi paisa nahi  bacha tha mera pas...

Tab mere ko realise hua k mai itna dino se apna talent ko waste  kar raha h....mera paas mera degree tha ...mera skill tha ...mere ko uska utilisation karna tha aur mai to bewkufo ka tarah phir se haar maan k baith gaya .... Maine phir se himmat jutayi ...aur es bar na apne liye, na hi apne nanna aur amma ,k liye balki Laxmi akka ne jo mera pe bharosa jata k mere ko padhaya tha sirf us bharose ko kayam rakhne k liye mai phir apne kadam aage badhaya....

Maine wahi railway station pe ek dukan pe helper ka tarah kaam karna shuru kar diya aur uska sath sath mai waha guntur me companies select karne lag gaya jaha pe mai kaam kar sakta tha....maine soch tha k pehle kisi company me kuch saal kaam kar k experience luga aur apna salary se saving kar k apna khud ka business shuru karne ka liye capital investment ka intzam karega....

Phir maine interviews dena shuru kiya...mai jaha bhi interview deta sab koi mere ko job dene me interested tha...per jaisa hi mera background varification hota to kuch companies to pehle hi apna haath kheech leta mere ko job dene se kyuki wo ek criminal record wale insan ko job pe rakh k apna company ka reputation aur office ka mahaul nahi kharab karna chahta tha...aur kuch companies mere ko background check k bad job to dene ko ready ho jata per mera talent aur knowledge ka according wo mere ko bhut hi low wages pe job offer kar raha tha aur utna kam salary me kaam kar mai apna talent ka insult nahi karna chahta tha....
Lagbhag 3-4 mahina aisa hi chalta raha... Lekin mjhe kahin pe bhi dhang ka offer nahi mila.

Us wakt mere ko akka ka wo advice ka real meaning ka realisation hua ....past me kiya hua ek galati ka wajah se her koi mera talent aur knowledge ko neglect kar raha tha....

Phir maine decide kiya k ab mai apna khud ka business start karega.....ab mera  job seeker se job creator banane ka time aa gaya tha...maine ye bhi decide kiya k mera company me mai kisi ko bhi kabhi underpay nahi karega ...her kisi ko uska skill ka hisab se remuneration dega...

Mai hmesa se jwellery ka business karna chahta tha..mera designing ka kaam bhut achha tha....aur MBA ka course me maine marketting startegies bhi bhut acha se seekh liya tha.....to pehle maine sirf apna jwellery ka design bana k bechana shuru kiya ...

Usi time mere ko waha Guntur me mera bachpan ka ek dost Vedant  Pillai mila. . Usko mera baare me sab pata tha...Wo mere ko bola k wo bhi mera sath kaam karna chahta h....Mai socha k waisa bhi aage chal k mere ko aur logo ka jarurat padne hi wala h to isiliye mai ved ko apna sath kaam pe laga liya... Dhere dhere kuch mahino me mera designs popular hone lag gaya...uska bad maine achha paisa bacha liya phir maine khud ka company ka liye bank se loan liya aur phir apna Amma aur nanna ka naam ko mila k Jayati Jweles nam se apna brand launch Kiya.... Sab kuch sahi chal raha tha ...ha bhut hi difficulties bhi aya ...kabhi kabhi loss bhi hua ...per ab jab aage badhne ka thaan liya tha to peeche mud k dekhne ka sawal hi nahi uthta tha....

Mai ved pe kaafi trust karne lag gaya tha...Lekin ek din mere ko pata chala k wo mera company ka naam k under drugs ka business shuru kar diya h....wahi drugs jiska wajah se maine apna life me kitna kuch khoya tha....mere ko us ved pe bhut gussa aaya ...maine usko police ko pakadwa diya..

Aur apna business akela hi manage karne lag gaya...din raat mehnat kiya mai....phir ek din mai akka ko contact kiya aur bola k  mera pas paisa ho gaya h k mai unko lauta sake ...to wo mere ko bola k mai wo paisa unko lautane ka jagah pe us paise se kisi aur needy ka help kare jaise k wo mera help kiya.... aur phir mai unka es baat ko all time follow karne ka soch liya...

raghvi os N Short Stories Where stories live. Discover now