part:36

773 113 22
                                    

Jaya's house...

Jaya first applies colour on the photos of her deceased husband Ajit Rao n then on her child Arjun Rao.....n then she applies colour on  childhood photo of raghav....

Kirti comes to her n says Amma ek taraf aap dikhati ho ki aap anna se nafrat karti ho aur dusri taraf chahe koi bhi festival ho aap hmesa us din anna ki pasand ka khana banati h ....unke liye hmesa blessings mangti h ...unke kamre ko aaj tak waise hi saja k rakha h jaise saalo pehle tha.... unki books, unke kapde unke school me mile huye prizes aur  medals her ek cheej ko  aapne sahej k rakha hua h ......per jab anna samne se baat karne aate h to aap unhe ignore kar deti h unko aisa jatati h jaise ki unse humara koi rishta hi nahi h....aisa kyu karti h aap......ya to aap unse dhang se nafrat hi kar lijiye ya phir achhe se pyar....apka ye double standard mjhe ab nahi samjh ata h Amma....

J:- mai nafrat apne pati aur chhote bete k khooni ko karta h jisko ki mai kabhi maaf nahi kar sakta....aur abhi mai blessings apna us beta k liye mangta  h jo 17 saal tak ek achha beta tha mera....jisne pehli baar mere ko Amma banne ka hak diya ...

K:- sach to ye h Amma ki apko bhi kahin na kahin ye lagta h ki anna pe jo iljam lage the wo jhuthe the.....aur aap ye achhe se janti h ki nanna aur Arjun ki maut k jimmedar anna nahi the....aur na hi us esha k lagaye huye iljam sach the....
Aap kehti h na ki anna mar gaye h humare liye to phir unki photo pe ye haar chadha deti hu n she takes a garland in her hand n started placing it on raghav's childhood pic...

J:- stops her n gives her a hard slap on her cheeks ....n says angrily tera itna himmat kaise hua kirti tu mera raghav ka jinda hote huye uska photo pe haar chadhaye...

K:- has both tears in her eyes n a wide smile on her face...n she says aapka sach samne aa gaya Amma ....aap aaj bhi anna ko utna hi pyar karti ho jitna ki bachpan me karti thi..aaj bhi anna hi aapke favourite h....aap sirf dikhawa karti ho unse nafrat karne ka ....ab mai 14 sal ki bachhi nahi rahi ki aap jo kahogi mai maan lugi ...ab mjhe bhi baatein samajh aane lag gayi h....yaad h nanna kaha karte the ki insan ki sachhai uski ankho se pata chal jati h ...jab anna pe wo ghatiya iljam lage the to anna ki nazare ek bar bhi nahi jhuki thi logo k samane wo chilla chilla k yahi kehte reh gaye ki unhone kuch nahi kiya...anna usdin sach bol rahe the ye aap bhi achhe se janti h per nanna aur Arjun ki maut ne aapko sach ko jhuth manne pe majboor kar diya h.... pata h amma aapke es gusse aur nafrat ne mjhse mera bada bhai dur kar diya .. .aapne mjhe bhi apne hi jaisa bana diya ....lekin mai phir bhi aapko nahi chhor k jaugi kyuki anna ne 10sal pehle mjhse vada liya  tha ki mai hmesa aapke sath rahu....aur mai apne Anna ko diya hua vada nahi todugi ....n then she goes from there in her room...

Kirti's room....

She remembers a past incident

11yrs ago....when raghav was around 16 yrs old..kirti 13 yrs n Arjun 8 yrs ...

Kirti:- anna aaj aap ek gana sunao na

Arjun:- ha anna mere ko apka gana sunna h..

Kirti:- anna mai to ye gana record karugi aur school  me apni friends ko sunaungi....

Raghav:- kittu agar nanna  nadaswaram bajayege to hi mai sunayega gana..

Ajit:- acha ruko mai bajata h...

Present time kirti plays 11yrs  old  audio recording...

K:- Anna 1..2...3....n go...

Raghav :- sings a song...(he  has a beautiful voice)
Zindagi ki yahi reet hai haar k bad hi jeet h....thode aansu h thodi hasi...aaj gam h to kal h khushi....

raghvi os N Short Stories Where stories live. Discover now