Chapter 4

434 31 14
                                    

ISHAN'S POV

Aaj lunch meeting bhi itne acche se ho gayi. Kitni pyari ladki hai manisha. Shubhi ke liye ekdum perfect hai. I know shubhi ko crush tha Sara pr but it's just silly crush abhi uske Dil mein Sara ke liye kuch feelings nahi hai yeh pata hai mujhe. Main bas aise hi chidata hu use Sara ke nam se. Manisha sach mein bahut acchi ladki hai. But yeh media wale bhi bilkul pagal hai. Humari simple si lunch meeting ko date bana diya. Kuch bhi likhte hai yeh log.Shubhi ke messages bhi aa gaye voh news dekh kr.

 Mein toh yaha shubhi aur Manisha ki setting lagane ke chakkar mein hu aur ye pagal media wale mere aur manisha ka love angle bana rahe hai. Itne bad break up ke bad kisi aur ladki ke bare mein sochna bhi mujhe ab accha nahi lagta. 3 saal toh ho gaye ab mere break up ko fir bhi use bhul kyun nahi pa Raha hu.Galti mere thi maine hi use taken for granted le liya. Mujhe pata tha ki rahegi humesha mere sath isiliye mein use jyada time bhi nahi deta tha. Aaj bhi voh din yad hai mujhe jab uske birthday Wale din plan ki hui date maine ain mouke pe cancel kr di kitna bura laga hoga use.uske bad toh usne break up ke liya. 

Mujhe laga 2 din mein aayegi mere pas voh wapas but na uska message aya na call aya. Jab Tak mein uske Ghar jau voh chalu gayi thi India se bahar aur meri zindagi se bahar bhi. Yaar aaj kyun itni yaad aa rahi hai mujhe uski jab mere pass thi voh maine uski kadar nahi ki ab uski ek jhalak dekhne ko bhi Taras raha hu.Chal beta ishan abhi emotional hone ka waqt nahi hai.. voh apni life mein move on ho chuki hai tu bhi move on ho ja ab. Are yaar mujhe evening ke kiye apna outfit bhi decide krna hai. Yeh shubhi bhi na mere sare kapde leke chala jata hai aur phir mere pass pehne ke liye kuch nahi bachta. 

Mera pura wardrobe Khali kr diya usne. Next time mein toh lock kr dunga Mera wardrobe.ek dhang ki shirt nahi bachi mere pass pehne ko. Nahi toh next time mein shubhi ka wardrobe pura Khali kr dunga..Aaj toh shubhi ko maine bol Diya hai mujhe sushi khilane ko le jaye. Bahut din ho gaye sushi khaye huye. Manisha ko dm kr du kya uska number bhi nahi liya use.Kitni acchi hai voh aur being a bihari vot itne acche mukam pe hai. Uska struggle ki journey video dekhi hai Maine.

SHUBMANS POV-

Aaj to ishan ko leke sushi khilane le jana. Gf ghumane ke Umar mein best friend ke sath ghum raha .humara toh # bhi bana diya #ishman. Itne sare reels bana mein tagged Kiya hai mujhe ki irritate hoke tagged off kr diya maine. Shubh-sara wale to apne alag duniya mein hai.

Tabhi shubhi ko shehneel di ka call aata hai.

Shehneel di- hello kake

Shubhi- hello ha bolo di

Shehneel di- kal mein Mumbai aa rahi hi hu

Shubhi - Achanak Mumbai kyu??

Shehneel di- office ke kam se aa rahi hu.

Shubhi - aa jao phir

Shehneel di- aur voh sara se bhi mil a ho jayega isi bahane

Shubhi- dekho di aap sara se mil rahe ho mujhe koi problem nahi hai but aap agar papped ho gaye uske sath toh phir media wale kuch ulta seedha likhenge.

Shehneel di- Nahi honge papped tension na le tu kake.

Shubhi- tension nahi di irritate ho jata hu mein meri personal life ki band baji hai yaha.

Shehneel di- chill mar tu kake aur ek bat puchni thi.

Shubhi - pucho itna hesitate kyun kr rahi ho.

Shehneel di- voh ishan ka uss influencer ke sath kuch chal raha hai kya?? news mein dekha tha maine.

Shubhi- kuch nahi chal Raha hai unka just lunch meeting pe mile the dono aur kuch nah.

Shehneel di- ok phir thik hai.

LOVERWhere stories live. Discover now