Vanshaj x Maddam Sir Chapter-7

33 2 0
                                    

(In Police Van)

Bulbul Pandey (to Haseena Malik) : Aapke yeh jazbat ki philosophy se kyun Karishma Singh chidti hain, aaj maloom pada mujhe, Really, aap kyun in jaise logon ki help karna chahati hain. Yeh kanoon ka sare aam apne paison ki dhauns se mazakpe-mazakpe banate hain, aur public humein bura-bhala kehti hain, in logon ke karan uska kuccha nahi.

Haseena Malik: Haan, mein thodi naa bol rahi hoon ki mujhe accha lagta hain aisi khili udati humari in jaise logon ke karan dekhke, the reason is (tells whole story to Bulbul Pandey)

Bulbul Pandey: Yaani pura khaandaan hi psycho, pagal hain.

(Subhadra comes to Haseena Malik and Bulbul Pandey.)

Haseena Malik: Arey, saccha hain yeh baat ki aap taalaa kholne mein, humare kaidi-cum-spy billu ko bhi maat de sakti hain, kitni jaldi hatkadi khol di aapne apni.

(Bulbul gets shocked on hearing and sees Subhadra's free hands.)

Subhadra: Bhale hi practice mein nahi abhi Haseena, par apni training nahi bhule hain hum.

Haseena Malik: Haan, aapke baare mein aur aapki skills ke baare mein bahut suna hain, Ajay Bakshi Sir se aur Roohi se aur billu se bhi (on hearing billu's name Subhdra tries to hide face and Shobhna stares at her funnily), Really, you are very talented and smart.

(Everyone shocked.)

Digvijay: Kitne-kitne jasoos hain Ghar Mein.

Gargi: Sahi hain. Kitne hain ....

Subhadra: The case is complicated, not straight. Haseena, tujhe yaad hain tumne bataya tha 5 undercover agents ko maarne ke planning thi, uss mastermind aur Anubhav Singh ke beecha, toh was I also in the list ....

(Haseena Malik silently nods yes. Subhadra gets shocked.)

Dhanraj: Yeh kya chala raha hain, secret agents, Anubhav Singh and A.S.I Mira, A.I. Crime. Kya hain yeh, aur koi tumhein marnewala tha. Kya hain yeh sab.

Digvijay: Bahut confusion hain bhai. Abhi mujhe banna hi nahi vanshaj, bana do Yuvika ko siddhe-siddhe vanshaj, abhi mein vanshaj banne se peeche hat raha hoon, tab toh yeh drama band hoga naa.

Subhadra: Yeh koi drama nahi chal raha hain, tu vanshaj bane ya hat jaye, unhein joh karna hain woh karke rehenge.
All they want is to publicly expose, belittle, and make you prove unworthy & then kill you secretly, ALL OF YOU, but first kill me, Yuvika, Shruti a.k.a Bhoomi, Devyani Verma, Isha, Arjun and put all blame on you all, put blame of all their committed crimes, expose your already committed crimes and then kill you all secretly.

Digvijay: (shocked) Toh kya whatever is happening is true, whatever told happened in the past is true. But mein vanshaj nahi hoon matlab.

Bulbul Pandey: A.... Paglete, psycho, monster, pagal kahika (seeing Haseena Malik) dekha itna sab bawal ke baad bhi is pagle, manda-buddhi aadmi ki sui jaake uhh vanshajgiri pe hi jaake atki hain.

Mein bolna toh nahi chahta hun. But (mimicking Karishma Singh) Aise topah logon ko maar hi dalna chahiye, hum abhi iska encounter karke case ko rafa-dafa karte hain, jaake un logon se haat mila lete hain, waise bhi yeh psycho-logon ka kitna bhi bhala karlo yeh humein hi neecha dikhate hain.
Pata hain, ek baar is (cursing) ka case solve karke diya tha, ulta isne hum-hi ko phasa diya tha, kitna badnaami hua tha humara pata hain, humne thaan liya tha ki iska badla hum leke rehenge, ab mauka haat laga hain.
Par pata nahi, humein andar se ajeeba laga raha hain,

Haseena Malik: Woh aapki insaniyat ki awaaz hain joh aapko rok rahi hain, ek mashoor kahawat hain ki "Chahe koi kitna hi bura kyun naa kare aapke saath, zaroori nahi ki aap bhi woh karo uske saath aur uski tarah ban jao."
"Kamal khichad mein rehke bhi khichad ki tarah nahi ban jata, balki woh usmein reheke apne aapko aur behetar aur sundar banata hain ki uski tareef hoti hain, khichad uske andar chup jata hain."
(Seeing Digvijay) Dekha, log kya kehete hain, psycho, pagal, toh please udhar jayenge toh request hain ki koi tamasha mat karna, please, aur aap sabko bhi.

Digvijay: Abhi mujhe pata chala ki jabhi mein Bhoomi ..... Shruti ..... Bhoomi chachi se aisa kehta tha toh unhein kitna bura lagta tha.

(Bulbul Pandey making funny face of crying.)
(Haseena Malik's phone bhajata hain. Bulbul Pandey tells Haseena Malik that her phone is ringing.)

Haseena Malik: (Ons call and puts on speaker without seeing on screen in tension and hurry.)

Haseena Malik's mom: Haseena, Maine suna hain tu woh Mahajan's ke case par kaam kar rahi hain, phirse. Maine suna hain woh Digvijay abhi engaged ya kunwara hain. Tu .... Tu uss pagle ko mera damad banna ke ghar lekar mat aana.... (Haseena Malik shockingly sees everyone.) Pata nahi ladkiyan us mein aisa kya dekhti hain ki uske pyaar mein pada jati hain, uske paas bas apne baap-dada ka kamaya hua paisa hain aur toh kuccha nahi kuccha hain hi nahi usmein psycho-pagal kahika aisa lagta hain daude padte hain usein (Digvijay almost feeling like crying), joh bhi ladki uske pyaar mein padti hain  bas uski chaka-chaund, paisa, daulat dekhke hi shaadi karti hain (Shrishti and Koyal shocked on hearing this)

Haseena Malik: Mummy, Mummy.... aisa kuccha nahi hain. Mein bas case solve kar rahi hoon.

Haseena Malik's mom: Meri sabse samajhdara aur jazbaatwali beti, Digvijay mein bilkul jazbaat nahi hain, uske pyaar mat pad jana, nahi toh pata nahi kya hoga woh tumhara baccha leke kisi 4th nahi 5th ladki ko phasayega aur lifebhar aisa hi karega apne paison ke dam par ....

Haseena Malik: Mein phone rakhti hoon, woh Mahajans ko arrest kiya hain (Haseena Malik's mom shocked) toh, baad mein baat karte hain.

Digvijay: Wow, mein psycho, zindagi bhar bas shaadi karne wala hoon kya, mujhe Roohi nahin acchi lagti thi aur mujhe vanshaj bhi chahiye tha isiliye, toh baby snatcher

Haseena Malik: Yeh sab naam aap khud apne aapko de rahe hain, hum nahin. Lagta abhi uttarne ke liye tayaar ho jao.

(The police van is taken in an isolated place like some undercover angents secret prison.)

(Everyone comes out of van, shocked and confused at seeing the place.)

Shrishti Verma: Ab ih, kaunsi jagah hain, kaunu rahasyamaya gupt ade (place) ki tarah lag raha hain, uh jaise hollywood movies mein dikhate bilkul waisi hi.

Gargi Mahajan: Bharat mein, aisi jagah bhi ho sakti hain, WOW...

(Devyani Verma arrives in suit, Roohi, Shruti a.k.a Bhoomi, Yuvika, Arjun, Isha, Karishma Singh, Pushpa Singh, Chita Chaturvedi, Santosh Sharma had arrived there.)

Maddam Sir  ( Fanmade ) [Vanshaj x Maddam Sir] Maddam Sir S2Where stories live. Discover now