Vanshaj × Maddamsir chapter 9

30 0 0
                                    

(In the break)

(Gargi, Dhanraj are sitting with Bhumi and having meal)

Gargi: (stil shocked) Tu meri behen, kab hua yeh ..... I mean kaise, face, it's lot to digest.

Bhumi: Joh teri monster-ness dekha tha naa, aur obsession apne bete ko chairman ke roop mein dekhne ka, woh bhi bahut scary tha, darawna tha, hard to digest and stand. Mujhe yakin nahi hua ki meri behen aisi nikalegi bilkul (quietly sobing), mujhe laga aap bahut acchi hain, kubh saari baatein, khoya hua time spend karenge, woh sab karte jo apni badi behen ke saath karna chahati thi, ghumte-firte, adventures par jaate, lekin (tearfully)
Aisi pagalon jaisi harkate ki naa, ki manavtaa se hi bharosa utha gaya tha. cursing, pagal ho gayi thi kya, yaa daude pad rahe the.

Gargi: Really, kya meri harkate wakai mein itni darawni thi, pata nahi mujhe kya ho gaya tha wo jabhi bhi bhumi ki taarif hoti toh mujhe woh baat yaad aati ki mujhe kaabil hone ke baad bhi family business join kyun nahi karne diya, uska frustration kahin-kahin naa tum logon pe nikaalti thi. Aur guru maa is kadar bhadkaa diya tha ki Prem, tum aur bacche mujhe dushman jaise lag rahe the. Meine joh bhi kiya apne vansh ka soch ke kiya.

Shruti a.k.a Bhumi: Joh asli culprits/mujrim hain unhi ko sazaa hogi aur hoke rahegi, aur mein dekhungi ki aap logon ko un apraadhon ki sazaa naa mile joh aapne kiye nahin hain bas unhi ki sazaa milegi joh aapne kiya hain, ek baar case puri tarah se hojaye phir dubaare ek dusre ki face nahi dekhenge.

(Gargi breaks down on hearing this, remembering guiltily whatever Gargi has done to Prem and family.)

(Gargi and Dhanraj feeling guilty for all their misdeeds.)

(On, nearby table)

(Two female employees discussing)

Employee 1: Kuccha bhi kahon, ek baar beta-bahu aur beti-damad can abandon but a widowed devrani, an unmarried saali will never betray or abandon their jheta-jhethaani, didi-jijaji.

Employee 2: Absolutely true.

Employee 1: Woh donon a widowed devrani aur an unmarried saali are like children to their jheta-jhethaani, didi-jijaji.

(Gargi and Dhanraj gets little emotional on overhearing this conversation.)

(Shobhna, Prem and Subhadra sitting on one table.)

Subhadra: A Prem, yeh case thoda difficult hoga kyunki inhone aisi harkate ki hain, ki un harkaton ko koi bhi thode fake evidences dalke unka meaning badal ke pesha kar sakta hain, yeh khaali hum jaante hain ki Digvijay ko "Chairman" banane ke pagalpan aur un logon dwara bhadkaye jaane ke karan yeh harkate ki hain.

Prem: Haan, aap sahi kehe rahi jiji. Kuccha Haseena Malik ki tarah out-of-the-box sochna hoga, taaki thoda time mil saken. Thoda toh time lagega yeh case mein, fir mein wapis kabhi nahin aungaa.

Shobhna: Ab un logon ki sacchaai pata chal gayi hain, abhi dekhna sab kuccha thik hoga.

Subhadra: Pata hain, aap logon ne ab tak kya kiya hain, bas Dhanraj aur Digvijay, (sarcastically) Raja-beton ko sar pe chhadha ke rakha hain. Un Dhanraj aur Digvijay ki har icchae (desires, wishes) puri ki jaati thi, puri chuta (freedom) milti thi kuccha bhi karne ki, sab aisho-aaraam, sab kuccha (everything) aur ghar ke bake members ko thengaa (nothing at all), khaali Dhanraj aur Digvijay ki gulami karte rahon, bas yehi.

(Prem puts a comforting hand on Subhadra's shoulder.)

Shobhna: Mujhe nahi pata tha ki tujhe itna bura lagtaa tha, baki sabko bhi itna bura lagtaa tha .....
I ....

(Subhadra thinking something.)

Subhadra: (To Prem) Yeh case mein meri ex-team bhi involved hain, tumhari team aur haseena malik ki bhi.
Yeh case "Mahajans ka vanshajgiri", "Anubhav Singh hard drive x ASI Mira hack", "Anubhav Singh's father's mysterious case".
Dekhaa jaaye, toh in sabki kadi woh "Anubhav Singh's father's mysterious case" se jhudti hain, Anubhav Singh ne hard drive isilye churaya kyunki kisine unko unke papa ke case ko leke Anubhav Singh ko bhadkaa diya tha aur waise hi case ke evidences Mahajans ke khilaaf bhi plant kiye hain matlab Mahajan Empire ke funds mile Anubhav Singh ke case mein that's mysterious.
Yeh Anubhav Singh ke dad ke saath, kya hua tha; aur Mahajans ke funds ka Anubhav Singh ke case mein milna, yeh sab Mahajans ko aur fasate hain.

Shobhna: Yeh Anubhav Singh ke paas Mahajan ke funds .... Kya, i mean, Kyun, Kya kar rahe the ...... Arey mein khaali apne bete Dhanraj aur Digvijay ka future settle karna chahati thi, unhe Chairman banate dekhna tha, isilye ye sab kuccha kiya .... Yaar, thodi naa pata tha ki aisi musibat mein pad jayenge, Yaar ...... (regretfully) Sacchi, bolti hoon aisa kuccha nahi karungi ab se, chahe Dhanraj ya Prem, Digvijay ya Yuvika bane chairperson Mein kuccha nahi karungi (Subhadra sees Shobhna) aur naa hi karne dungi, Please bacha lo hum logon kaise bhi karke bas ......

Subhadra: (to Prem) Dekha, kitne matlabi log hain yeh Mahajans, inka kaam pura ho jayega baad fir se (sarcastically, funnily) Mere laadle Dhanraj aur Digvijay, Mere laadle Dhanraj aur Digvijay.

(Leaves with mixed emotions anger, disgust, hurt, feeling betrayed, emotional)

Prem: (to Shobhna) Mein pehle bhi kehta tha, abhi bhi kehta hoon ki mujhe Chairman banne mein koi interest nahi aur naa hi Yuvika ko bhi mere hisaab se toh fir bhi puccha lena, dekh lena shaayad uska bhi yahi jawaab hoga.
Lekin is baat ka zyaadaa dukh hain ki aap abhi bhi humein nahi samajh paayi.

(Prem also leaves.)

Maddam Sir  ( Fanmade ) [Vanshaj x Maddam Sir] Maddam Sir S2Where stories live. Discover now