(Goenka Villa) (Eek Subhay...🌄 Eek Ladka araam se Soooooooo.... raha hota hai phir kuch hi क्षण् mai eek aisi dil dehela dene wali cheej hoti hai ki woh wake-up in jerk... or baad mai use pata chalta hai ki.... kisi ne baalti bharkar uske upar pani GIRAAYA hai then... Boy- Shubham Ke Bacche Teri Toh!!! (then jab woh jab dekhta hai ki koun hai toh...) Mansi Tu!!! Mansi- Haan Bhai Mai... Mai Mansi... Aapki Choti Behen... 3 saal pehele nai hostel nahi jana chahti thi kiuki mujhe dar tha ki koi mujhe bhul na jaye... tab aap... aapne mujhe samajhaya... (mimicking him) Mansi baccha... aise zidd nahi karte... jana toh padega... tum humari ghar ki ronak ho koi tumhe kaise bhul sakta hai hum sab tumhe bohot Pyar karte hai...!!! lekin tab bhi mera man nahi maan raha tha... lekin mai gai... Yeh sochkar ki eek baar bhai ne bola toh jana hi jana hai... kiuki aapki baat nahi taal sakti... lekin mujhe Kya pata tha... wahi bhai mere Jane ke baad mere wapas lotne ka intezaar bhi nahi karenge... aapko pata tha na ki aaj mai aane wali hu tab bhi sote rahe kunbhkaran ki tarah mujhe airport par lene bhi nahi aaye aap bhai very bad I hate you I hate you I hate you!!! Boy- Oh God... Meri Behen Kitna Bolti Hai... (side hugging her) I Am So Sorry... Woh Mujhe Kal Bohot Sara Kaam Tha Na Toh Raat Ko Der Raat Tak Jaagna Padha... Toh Isiliye!!! Mansi- Aacha aab aapke liye mujhse jaruri aapna kaam ho Gaya... Boy- Sorry Na Baccha I Am Really Sorry... Aage Se Aisa Nahi Hoga... Mansi- Aap Jao Mujhe Aapse Baat Nahi Karni... Boy- Par Room Toh Yeh Mera Hai Na... Mansi- Hawww... Iska matlab aap indirectly mujhse keh rahe ho ki mai yaha se jau... How Mean Bhai I hate you!!! (then woh waha chali jati hai gusse se) Boy- Oh God... Aab Kya Karu... Woh Toh Gussa Ho Gai... Kya Kartik... naaraj kar Diya na aapni 3 saal baad ghar aai hui Behen ko... tch... Aab Kya karu... (Then tab hi shubham aata hai...) Shubham- Hawan Karo!!! Kartik- Yaar Shubham mera already dimaag kharab hai or mat kar... Shubham- bhaiya mai aapka dimaag kharab karne nahi balki aapne dimaag ki toh batti hai jiska aabhi switch off hai usko on karne aaya hu... Kartik- Aacha aur woh kaise karega tu... Shubham- suno... (then after KHUSUR PUSUR...) samajh aa gaya na aapko Kya karna hai... Mansi toh aab aise hi manegi... Kartik- Haan... Haan aa gaya samajh mai... mai pehele ready hokar aata hu... (Singhaniya Sadan) (Eek Bohot Sundar Or Sushil Ladki Kanha Ji Ka Bhanjan Gaa Rahi Hoti Hai...)
(Other Side) (Eek Chain ke saath soti hui ladki... bhajan ka awaaj sunkar irritate ho rahi hoti hai...) Girl- Arre yaar di phirse shuru ho gai... humesha ki tarah... mujhe toh alarm ki jarurat hi nahi hai kiuki di hi aapni awaaj se alarm ki tarah sote hue insaan ko jaga deti hai... bhagwan ji please thoda toh rehem khao... aapki Mishti par!!!😣 (then pillow se kaan band karke phirse sone lag jati hai) (Other Side) (Woh Ladki bhajan khatam karke sabko aarti Aapne Mumma Papa ko aarti de rahi hoti hai...) Man- Princess woh deal final hui ki nahi jo Tumne Mr. Maheta ke saath ki thi... Girl- Haan Papa Deal Toh Final Ho Gai Bas Contract Sign Karana Reh Gaya... Men- Aacha thik hai!!! Women- Aap Dono Baap Beti Subhay Subhay hi shuru ho gaye... har samaye bas kaam kaam or kaam... kabhi Aapni Patni Or Maa par bhi dhyan Diya karo... (Men and Girl side hugging her) Girl/Men- Sorry Mumma/Akshara aab se nahi hoga... Akshara- Haan Haan humesha yahi kehte hai aap dono or phir se wahi sab hota hai... Meri toh kisiko Chinta hi nahi hai... Men/Girl- Awww (and kiss her in the cheek) Akshara- Naitik!!! yeh Kya kar rahe hai Aap... beti hai yaha... Naitik- Arre Usko aadat hai yeh sab dekhne ki bachpan se dekhti aa rahi hai... hai na Princess... Girl- Haan Papa... (giggle) Akshara- Aab thoda iss Princess ki jagah dusri Princess par bhi dhyan dijiye... aabhi tak nahi uthi woh... sar par chada kar rakha hai use aap dono ne... Girl- Oho... Koi Baat Nahi Mai Use Utha... Naitik- Nahi Princess aaj mai jata hu... tumko kaam bhi hai na... Girl- Oh Haan Kaam Ke Bare Mai Toh Mai Bhul Hi Gai... Naitik- Hmm... aacha mai aab jata hu use uthane... Akshara- Haan or thoda samjha bhi dena use badi Behen Subhay uthkar bhagwan ki aarti karti hai or woh Subhay uthte hi ghar ko sar mai chadakar naachne lagti hai... (Naitik Laughed then woh Mishti ko uthane jate hai...) Akshara- Aacha Mai... Chitti ji ki madad karti hu naashta banane mai... Girl- Okay Mumma... (Akshara Smiled then woh chali jati hai...) Girl- Chal Naira Taiyaar Hoja Kaam Shuru Kar Bohot Sara Kaam Hai!!! (Naira's Outfit)
Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.
(Goenka Villa) (Kartik's Outfit)
Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.
(Kartik or Shubham Jhatke se Mansi ke room mai aate hai... jiske vajah se Mansi dar jati hai then she turned her face then Woh Dono usko manane ke liye Naach Gaana shuru kar dete hai...)
(After Manaana Her...) Mansi- Kitne bure ho na aap dono... aap dono ko pata hai ki bachpan me mai jab bhi muh foola kar baithti thi toh yahi song chalake mujhe aise manate the or mai maan jati thi... isiliye aabhi bhi aap dono ne aisa hi Kiya... Kartik- Aab bhi gussa hai aapne bhai se sorry baccha I am really sorry... aage se aisa nahi hoga I promise... Shubham- Haan yaar MadhuMakkhi please bhaiya ko maaf karde dekh jara bhai ki taraf dekh kitne laachar bebas type khade hai... mujhe toh Rona aa raha hai bhai ki aisi haalat dekhkar... Mansi- Aapki shakal dekhkar toh nahi lag raha ki aapko Rona aa raha hai... Kartik- Mansi... I am sorry na... please maaf karde... Mansi- aacha thik hai maaf Kiya aapko... aap bhi Kya yaad rakhoge... lekin aage se aisa nahi hona chahiye okay... Kartik- Okay!!!(then they hugged) I Miss You So Much Mansi... Mansi- I Miss You Too Bhai... Shubham- Haan Haan bhul jao mujhe... duwao mai bhi yaad rakhne ki jarurat nahi hai... huh... Mansi- Awww bhaiya so cute... (she join him) I Miss You MagarMach Bhaiya... Shubham- And I Miss You Too!!! (Puri Family Darwaje Se In Teeno Ke Bond Par Smile Kar Rahi Thi...) Dadi- Baccho Ka Pyar Aise Hi Bana Rahe... Thu Thu Thu... Swarna- Sirf Aap Hi Kiu Maaji... Hum Sab Karenge... All- Thu Thu Thu!!! (All Laughed) Manish- Aagar Bhai Beheno Ko Pyar Ho Gaya Ho Toh Mujhe Kartik Se Kuch Baat Karni Hai... Business Se Related... Kya Mai Kar Sakta Hu.... Kartik- Haan Papa Sure... Akhil- Chaliye Back Yard Mai Baat Karte Hai... (then Woh Teeno baat karne chale jate hai...) Shubham- Lo Aab Ghanto Tak inki baatein hi chalte rahengi... Mansi- Kitni boring baatein karte hai yeh Teeno... neend hi nahi aati Kya inhe... Surekha- Subhay Subhay Hi Shuru Ho Gaye Teeno... Swarna- Haan... mai toh tang aa gai hu... Dadi- Aab kar bhi Kya sakte hai... Manish or akhil toh aise hi the Kittu ko bhi aisa hi bana Diya...!! Kya kare hum in dono ka... waise toh sab galati tum dono ke sasur ki hai... woh bhi pehele aise hi the... or aapne baccho ko bhi aapne jaisa hi bana Diya or aab unke bacche aapne bacche ko waise bana rahe hai...🤦♀️ (All Laughed😂) (Singhaniya Sadan) Naitik- Princess Chale Office... Ho Gaya na laptop ka kaam.... Naira- Hanji papa ho Gaya... chalte hai... Akshara- Kitna kaam karwayenge meri bacchi se... or khud bhi... thoda toh rest kariye... Naitik- Akshara rest karne ka time nahi hai... Bohot important meeting hai contract sign karwana hai hume office jaldi jana padega... Chalo princess...!! Naira- Okay Papa!!! (then woh dono chale jate hai... Akshara And Mishti Sign in Disbeliv) Mishti- Oh God... jitna kaam di karti hai na utna kaam toh mai iss janam mai toh kar hi nahi sakti... Akshara- Haan kiuki tu toh hai hi nalayak... (uske kaan khichti hai...) Mishti- Aahhh... mumma dard ho raha hai yaar... mujhe college ke liye der ho rahi hai mai ja rahi hu Bye!!! (the woh chali jati hai...) Akshara- Aab itni der tak soti rahegi toh der toh hogi hi... Pagal😆!!!