Veer and Manorama entered the hall, where all were present and were just talking randomly..... they looked at them...
Ishu: arrey aa gaye aap dono?? kaha chale gaye the??
Mano: kahi nahi Ishaani... kaha tha na walk pr jaa rahe h... to bs...
Bon: pakka na??
Veer: arrey ha baba.... stamp paper pr sign karwake manegi kya??
Bondita giggled...
Sum: aap sab log apne apne kamre jaa kr so jaiye.... bohot raat ho gayi h.... poora din safar krke thak gaye honge na.... bechaari bachi to Batuk babu ke god me hi so gayi....
Bon: ha maa... saara din itna uchal kood krti h ki thak kar jaldi se so jaati h..... laao Batuk Mini ko mujhe dedo.... me ise aaj apne saath hi sula lungi...
Bat: arrey nahi baudi rehne dijiye na.... ise mere paas hi sone dijiye... vese bhi me apne kamre me akela hi so raha hu.....
Bon: kyu?? Som dada aap nahi so rahe kya Batuk ke saath??
Som: nahi baudi, actually vo me Veer dada ke room me shift ho gaya hu... kya h na... baba ne Krishnanagar ki jo humaari factory h... uska kuch kaam diya h.... or Veer dada meri help kr rahe h usme... to hum log saath me thoda kaam bhi kr lenge.... or Veer dada ko company bhi mil jaegi.....
Veer: ha choco pie..... jis din hum London se aaye the na usi din raat ko baba ne mujhe kuch files diye the... ye do din me itna kuch ho gaya ki time hi nahi mila..... to ab me or Som saath me karenge to jaldi ho jaega...
Bon: acha theek h..... pr Batuk ye tumhare saath nahi so paegi..... abhi to araam se so rahi h... pr agar iski aankh khuli or tumhe apne paas dekha na to pakka ladne lagegi..
Bat: ha baat to sahi h aapki baudi.... theek h le jaiye..... man to nahi kr raha pr mujhe aadhi raat ko apni neend kharaab krne ka koyi shok nahi h... (he chuckled)
Bondita too chuckled and took sleeping Mini in her arms.....
Bon: ye pati babu kaha reh gaye???
Mano: tum logo ke saath hi to tha vo...
Bon: nahi Manorama didi... aap dono ke jaane ke just baad hi vo bhi kuch kaam bolke chale gaye the.... bola abhi aata hu... pr aaye hi nahi....
Veer (murmured): OHHHH DAMNNN!!!!
Manorama listened it and asked slowly....
Mano: kya hua???
Veer: may be Anirudh ne humaari batein sun li....
Mano: kya??? hey dugga maa.... ab kya hoga???
Veer: hoga to kuch nahi.... use sab pata h mere baare me..... pr fir bhi.... he might felt uncomfortable....
Mano: Aniruddh ko sab pata h???
Veer: hmmmm.....
Mano: or usne kuch nahi kaha???
Veer: hum iss baare me baad me baat krte h... kahani lambi h... yaha ese khusur phusur krke nahi suna skta.....
Mnao: acha theek h....
Just then Anirudh entered from the main gate and the duo looked at him and he too smiled at them as if nothing happened....
Bat: arrey dada aa gaye aap... pta h baudi aapka wait krte krte... room me chali gayi... or aap ab aa rahe h.....
Ani: vo zara bahar ghoom raha tha... acha ab tum log bhi jaao... or me bhi jaata hu... good night...
YOU ARE READING
Anidita's love and fate (Completed ✅)
FanfictionThis story is totally based on my imagination. Character sketches: Anirudh Roy Chaudhary- 30 years, A gold medalist and well-experienced barrister, loves his wife a lot but haven't confessed it yet. Also loves his family a lot. Bondita Roy Cha...