Trilochan Roy Chaudhary, one of the famous zamindaar in the whole Bengal, who is known for his strictness, who himself says, "zamindaar kabhi rote h kya??" is standing in front of the picture of his beloved Shubhra behen in his room with tears brimming in his eyes, even he don't know why is he crying as today is day of happiness but he is crying, maybe tears of happiness, but to maintain his image of strict zamindaar in front of others, he is standing alone deliberately in his room, so that no one can see him crying....
Ksj: Shubhra behen, vese to sabse kehte h ki Trilochan Roy Chaudhary kabhi rota nahi.... pr aaj na jaane kyun ye budhi aankhein nam ho gayi h.... jaante h aaj to khushi ka din h.... atyant khushi ka din h..... tumhaare majle bete ki sagaai h aaj.... aaj tum yahan hoti to badi khush hoti dekh kr ki kitna khush h tumhaara beta..... pr jaante h tum jahan kahin bhi hogi.... use dekh rahi hogi..... use khoob saara aashirvaad dena behen.... or haan.... tum to dugga maa ke paas ho.... to unse ye zaroor kehna ki jaise iss ghar me 10 saal pehle laxmi, dugga or saraswati ek hi ladki ke roop me humaare ghar aayi thi, iss ghar ko khushiyon se bhar diya usne.... tumhaare bade bete ko jeena sikha diya usne.... tumhaare pati ko hasna sikha diya usne.... tumhaare khadoos Lochan daa ka dil pighla diya usne... ese hi tumhaari doosri bahu bhi ho.... jo iss ghar ko jode rakhne me.... iss ghar ko khush rakhne me uska saath de..... dekha h humne kayi logon ke gharo me.... jab ghar me devraani jethaani ka sambandh ban jaaye to vo ghar tootne me samay nahi lagta.... jaante h na to humaari Bondita bahu esi h or na hi Ishaani bitiya.... dono pakki saheliyan h.... pr fir bhi doosro ka ghar toot te dekh hume bhi dar lagta h.... to tum ek baar dugga maa se kehna ki zara dhyaan rakhe iss baat ka.... in chaaro bhaiyon me kabhi koi daraar na pade.... inki patniyon me kabhi kisi prakaar ka man motav na ho..... vese to humaari Bondita bahu kabhi esa hone nahi degi... por tum to jaanti hi ho aaj kal uski bhi tabiyat theek nahin rehti h.... tumhaara beta pal pal usi ki chinta me khoya rehta h.... itna pyaar jo krta h usse.... use khone se pal pal darta h...... mahina beet gaya bahu ke garbhpaat ko... pr aaj bhi agar kisi maa ki god me bacha dekh leti h to khud ko sambhaal nahi paati.... ab to hume bhi dar lagne laga h ki kahin usne khud ko kuch kar liya ya use kuch ho gaya to ye ghar... ghar hi nahi rahega..... iss ghar me insaan to honge par parivaar shayad nahi rahega..... tumhaar beta to zinda hoga pr shayad zinda laash se zyada kuch nahi hoga..... ya shayad vo bhi na rahe..... dekha h uski aankhon me Bahu ke liye junoon.... agar uski aankhon me ek aansu bhi aata h to usse bardaash nahi hota.... jaanti ho jiss din bahu ka garbhpaat hua... uss din bahu ne khud ki jaan lene ki koshish ki thi..... or Anirudh ghar pr nahi tha.... hum sab bahu ke saath hi the.... bs thodi der ke liye hi neeche aaye the.... or usne apne saath na jaane kya krne ki koshish ki..... jab umhara beta ghar aaya or ye sab dekha to hum par bohot chillaya tha vo.... use ye tak hosh nahin tha ki vo apne kaka se baat kr raha h ya apne baap se..... bas uske man me jo aaya vo bolta gaya.... hume bohot bura laga uss din..... ki apni patni ke liye apni kaka baba pr chilla raha h vo..... pr fir baad me ehsaas hua ki yahi to hum chahte the... ki vo bahu se pyaar kare.... or ye hi to hota h pyaar.... andha.... jiske aage insaan ko kuch nazar hi nahi aata ..... usi din hum samajh gaye the ki tumhara beta bahu ke pyaar me itna paagal h ki agar kisi din bahu ko kuch ho gaya to tumhara beta usi dn khatam ho jaega..... isliye poori koshish krte h ki ghar me hasi khushi ka maahol bana rahe taaki bahu bhi khush rahe.... bahu khush rahegi to iss ghar ka kan kan khush rahega..... na jaane aaj ke din tumhe bbaatein kyun bata rahe h hum...... shyad isliye ki aaj ek naya rishta judne ja raha h.... hum to bs tumhe ye bataane aaye the ki bhale hi Anirudh ki shaadi me hum zyada kuch na kr paaye ho pr Som ki shaadi poore zoro shoro se hogi.... or ho bhi kyun na... saara kaam humaari bahu ne apne haathon me jo liya h...... ab vo koyi kaam leti h to usme kami hoti h kya..... or ek or baat.... dugga maa se vinti krna ki jese jodi humaare ram sita ki h... vesi hi jodi humaare laxman or urmila ki ban jaaye.... or dekho kese daa h hum..... tumhe khush khabri dene aaye the or shyada tumhe dukhi kr diya..... pr tum dukhi na ho... tumhaare lochan da sab sambhaal lenge.... bas aaj ke jashn me koi oonch neech na ho to achaa....
YOU ARE READING
Anidita's love and fate (Completed ✅)
FanfictionThis story is totally based on my imagination. Character sketches: Anirudh Roy Chaudhary- 30 years, A gold medalist and well-experienced barrister, loves his wife a lot but haven't confessed it yet. Also loves his family a lot. Bondita Roy Cha...