In morning ....
A lady- Utho ..... Aur kitna soyegi ...
Girl- Amma sone do na .... Aap v na hume subah subah jaga ke damm leti ho ... Bs 10 mint aur sone do ...
Lady- Ek mint v nahi .... Utho Jaldi ...
Girl- Thik hai uth gaye ... Ab mil gaye aapke kaleje ko santi ... Mil gaya chain hume pareshan karke ...
Lady- Abhi tum meri senior nahi ho isiliye senior banne ki kosis v mat karo ... Aur utho jaldi ... Hume time se station pahuchna hai ...
Girl- Haan aap jaldi aayiyega ... Mumbai se ye nahi ki wahi rehne ka man bna lijiyega ...
Lady- Kaisi baatein kar rahi hai ... Hum Tumse jyada dur reh sakte hain ... Jaldi aayenge .... (Tumse kuchh dino ka chhutkara mila hai ... Chain se toh jaane de ... Gaye nahi ki abhi hi aane ki Baatein suru ...)
Girl- Haan hume sab sunayi de rha hai ... Aap man hi man jo chirmira rahi hain na ... Hume time nahi lagega senior banne me aur aapka chutti cancle krne me ... Btaiye karein kya ...
Lady- Ye kyaa aap hume baat baat pe dhamki deti rehti hain. .. Amma hain kuchh toh lihaj kijiye ... ..
Girl- Dekho bhaiya ab inko yaad aa gya ki ye hmari Amma hain aur tab se toh jaise hum inke paraye the ....
Lady- Haan ab ye sab behes hum baad me kar lenge ... Abhi Hume der ho rahi hai ... Isiliye aap jaldi taiyar ho jayiye ...
Girl- Aaj toh aapko itni jaldi hai ki ka hi kahe ... Aap taiyaar ho jayiye ... Hum bs thori der me aaye ...
Toh ye thi Hmari pyari Karishma ji aur unki Amma pushpa ji ....
Karishma gayi aur ready hoke aayi ... Unhone pushpa ji se kaha ...
Karishma -Chaliye Amma hum ready hain ..... Aap to ready hi hongi na ... Humse chutkara paane ke liye itni utavli jo ho rahi hain...
PUSHPA JI- Karishma hum bhale hi tumse kitna v lade ya jhagre lekin tumhe dekhe bina to hmara ek din nahi Gujrta hai ... Kaise rhenge hum itne din ... Tumhe to hum Apne sath Bambai le jana chahte the ... Lekin tumhe chhutti manana Kahan pasand hai ... Pta hai humne aur tumhare pappa ne kitne sapne sajaye the Mumbai jaane ke ... Humara bahut man tha Mumbai jaane ka to unhone hmari khusi ke liye apne kam paise me v AC ki ticket karwayi thi lekin sayad kismat ka hmara sath Jana manjur nahi tha isiliye humare Bambai jaane se pehle tumhare pappa hi hmara sath chhorke chale gaye ... Us ke baad hum v kabhi Mumbai jana nahi chahe ... Lekin jab tumne humse kaha na Amma aap kuchh dino ke liye Duty se chhutti leke kahi ghumne jao ... Toh hum tumhe na keh hi nahi paaye .... Karu Tum apna khyal rakhna aur apni Amma ko pareshan krna mat bhulna ... Jab tk tumse lad nahi lete hain na humara khana hi nahi pachta hai ....
Ye kehke pushpa ji Karishma ke gale lag ke rone lagi ... Karishma v emotional ho gayi ....
KARISHMA- Bs bs Amma .... Itna Overacting karengi to seher me sunami aa jayegi .. Chaliye jaldi ....
Pushpa ji aur Karishma dono smile karte hue ghar se nikle ... Karishma Singh apne Jatt (bike) leke ready thi ...
Pushpa ji- Karu aaj hume apne baal nahi kharab karne hain tumhare sath bike se jaane se achha hai hum auto se chale jayenge ...
Karishma- Thik hai to aap auto se hi jayiye ... Aapko paise toh bachane hote nhi hain ...
Pushpa ji- Achha achha gussa mat ho meri ladli .... Suno na chalo na ... Bs bike thora dheere chalana beta ...
Karishma- Kon beta ....
Pushpa- Beta beta ... Tum ... Aur kon ...
Karishma- Aap v na Amma kitna nautanki karti hain ... Overacting me gold medal diya jaaye na to aap sabse upar aayengi ...
Pushpa ji- Han haan Karli apni maa ki bejjati ab chalo ...
Dono bike pe baithe aur station ke liye nikal gaye ...
Karishma pure raste Pushpa ji ko samjhate hue jaa rahi thi ...
Karishma- Amma aapne sab kuchh le liya na ... Apni dawai .. Aapne raste me khane ke liye kuchh liya ki nahi ... Aur haan aapne paise v liye na ... Nahi paiso ke maamle me toh aap bahut kanjus hain ... Rukiye hum aapko kuchh paise aur de dete hain ... Aur aap hume wada kijiye aap jitne v din waha rhengi bahut Masti karengi ... Hume yaad karke toh bilkul nahi royengi aur aapko jab v hmari yaad aaye aap hume call krengi ...
Pushpa ji- Saant saant ... Humne sab le liya hai ... Aur haan hum koi kanjus nahi hai humne paise v rakh liye hain .... Aur hum tumhe kyun yaad krenge bhala ... Tumhe yaad krke hume apna mood thodi na kharab karna hai ...
(Karishma hume tumhari yaad toh har pal aayegi ... Lekin hum tumhe udas nahi karna chahte ...)
Karishma- Amma apna khayal rakhiyega ... Koi v problem ho hume call kijiyega .. hum waha hazir rhenge ...
Pushpa ji- Hum head constable Pushpa Singh hain ... Hume kyun Tumhari jarurat paregi ... Aur tumhe bula ke hum apna mood nahi khrab karna chahenge ... Isiliye hume jaldi station pahucha do ...
Karishma- Chaliye ...
Karishma Singh aur pushpa ji dono hi station pahuchte hain .... Karishma Singh pushpa ji ko Train me baitha ke unhe achhe se settle kar deti hain aur kehti hain ...
Karishma- Amma apna khayal rakhna ...
Pushpa- Karu tum v apna khyal rakhna ... Aur haan Amma ko phone v krte rehna ... Ab jyada emotional mt karo hume ... Jao tum ...
And they hug each other ... Karishma Singh train se utarti hain aur thori der me train v khul jaati hai ... Pushpa ji chali Mumbai ...
.........................................................................
Thank you so much everyone for all the love and support ...
If you like it please do votes and. comments ....
YOU ARE READING
Ishq Hua 💕💕
FanfictionThis story is Based On Karishma and Urmila Love .... and this one is completely Imaginary ...