Urmila ......

1K 121 30
                                    

PUSHPA JI LAKHNAW SE MUMBAI KE LIYE NIKAL JAATI HAIN ... puri raste wo bs Karishma ke baare me hi soch rahi hoti hain ....

Karishma v Ghar aake ready hoti hai phir breakfast krke Thane ke liye nikalti hai ... Aaj Karishma ko v aisa lag rha tha jaise uski puri duniya suni suni ho gyi ho ...

Karishma aur Pushpa ji dono ko hi unka ghar se nikal ke Thane ek sath jaana aur pure raste bina kisi baat ke ek dusre ko Taane maarna .... Jab v koi ek musibat me ho toh dono ka ghabra Jana ... Ek apni maa ka bachpana unka bholapan Miss kar rahi thi to... ek apni beti ki saitani uska baat baat pe dhamkana miss kar rahi thi ...

Aadhe din toh dono hi sad rhe lekin phir Karishma apne kaam me vyast ho gayi aur pushpa ji v Mumbai pahuch gayi ... Pushpa ji apne sapno ke seher me kuchh yun kho gayi jaise ye duniya bs unke liye hai. Aur wo is duniya ke liye...

Pushpa ji ko beaches bahut pasand the to wo beaches ghumne gayi phir unhone ice cream khayi aur phir unhe bhukh lagi toh unhone socha kuchh khaya jaaye  ... Lekin wo jaise hi kisi restaurant me jaane ka sochti thi waise hi waha ke khane ka price dekh ke hi wapas aa jaati thi ... Phir unhone dekha ek ladki ne apna wada paw ki rekdi lga rakha tha aur keh rahi thi ...

Girl- 30 ka wada paw ... Aaj tk na to aisi khai hogi na hi kabhi bhul paoge ... Kya bolti public ... Ye 30 ka wada paw Khao aur mast ho jao ...

Pushpa ji ye sunke uske thele ke paas jaise hi jaane lagti hain koi unke hath se unka purse chhin ke bhaag rha tha ....

Pushpa ji- Chor chor ... Koi pakdo is chor ko wo mera purse leke bhaag rha hai ... Pakdo ... Chor chor ...

Wada paw wali ladki jaisi hi pushpa ji ki awaj sunti hai wo us aadmi ke pichhe kaafi tez bhaagti hai aur use pakad leti hai phir use ek do Thapad maar ke usse purse wapas leti hai aur Pushpa ji ke paas bhaagti aati hai ...

(ji aaplogo ne sahi guess kiya ye hmari Urmi hain ...)

Urmi- Ae re ... Kya re mahtari ... Tu apne purse ka dhyan nahi rakh sakti ... Yaha koi Teri madad vidad karne ke liye nahi baitha hai ... Khali fokat tune itna time waste kar diya ... Dhyan se rakhne ka na ...

Pushpa ji- Dhanywaad beta ... Hum ab apna achhe se dhyan rakhenge ...

Urmi- Haan haan ab jyada emotional bimotional nahi hone ka ... Abhi dhandha ka time hai to nikal idhar se tu ...

Pushpa ji- Ye thela tumhara hai kya ....

Urmi- Ae kya boli ... Ye thela kya hota hai re mahtari ...

Pushpa ji- Mumbai me isko kya kehte hain ... Haan  .. hmara mtlb hai ye rekdi tumhari hai kya ...

Urmi- Achha to aise kehne ka na ... Haan ye mera ich hai bol tere ko wada paw khane ka hai ... Lekin Haan Maine madam kiyela hai to iska matlab ye nahi ki mai tujhe free fokat ka hi wada paw khila dungi ... Dhandhe ke time no magajmari ... Isiliye paisa toh lagega ...

Pushpa ji- Haan Han le Lena ... Bs jaldi se ek badhiya sa wada paw hume khilao ... Hum tumhe tumhare paise deke jayenge ...

Urmila pushpa ji ko ek bahut badhiya sa wada paw khilati hai ... Pushpa ji ko wo wada paw bahut pasand aata hai ...

Pushpa ji- Kya baat hai ... Tumne kitna achha banaya hai ... Hum toh khus hi ho gye ye kha ke ... Ab hum jab tk yaha hain tb tk aayenge tumhare hath ka wada khane ..

Urmi- Jab tk yaha hain matlab .. tu kahi aur se aayi hai mahtari ...

Pushpa ji- Haan haan hum Lakhnaw se aaye hain yaha ghumne ...

Urmi- Kya lakhwa 😁😁😁 ...  Ye kaisa naam hai re mahtari ...

Pushpa ji- Lakhwa nahi lakhnaw ... Aur hmara naam mahtari nahi Pushpa Singh hai ...

Urmi- Mahtari manje budhiya ...

Pushpa ji- Kya tumne hume budhiya kaha ... Abhi hamari Umar hi kya hai .. abhi humne dekha hi kya hai ...

Urmi- Kitna nautanki hai re tu mahtari ...

Pushpa ji ghoor ke dekhti hain mahtari kehne pe ...

Urmi- sorry sorry item ... Chill krne ka na ... Yaha Chill karne enjoy karne aayi hai na bs wahi kar ....

Pushpa ji v wada paw kha ke aur urmi ko paise deke chali jaati hai ....

(pushpa ji apne kisi rishtedar ke ghar ruki hain ... Toh ye wahi jaa rahi hain ..)

Urmi- Ye kitni achhi thi na ... Ise dekh ke mujhe meri aayi ki yaad aa gayi ...

Chal Urmila Mahadev Mahtre ... Abhi emotional hone ka time nahi hai re ... Kaam pe lag jaa ... Aaj toh upri kamai bilkul nahi hui hai ... Ye vitthala .. thora to hath saaf karne. Ka mauka Dene ka na re ... Ab aise me ghar jayegi toh kya khayegi aur un bacho ko v kya khilayegi ...

( Urmila ko do anath bache mile the ek din road pe jinke liye wo ye sab karti hain aur wo dono urmila ko apni behen maante hain ... Ek kaa naam Munna aur ek ka Munni ... )

Urmila phir thora sa kuchh jugaar kakre. Un bacho ke liye khana leti hain aur rekdi band karke apne ghar aati hai ...

Urmi- Ae .... Bantar log ... Kidhar ho re tumlog ... Chalo dekho aao idhar ... Tumhari Tai ( badi behen ko Marathi me Tai kehte hain )  tumhare liye kya leke aayi hai ... Jaldi aane ka na re ...

Munna munni daurte aate hain ... Aur wo Urmila ke sath baithke khana khane lagte hain ....

Teeno khana kha ke so jaate hain ... As unke ghar me ek hi charpai hoti hai to Munna munni charpai pe aur Urmila niche soti hai ....











.........................................................................


Toh ye thi humari pyaari Urmila ki jindagi ....

Ab dekhte hai aage aage hota hai kya....


Thank you everyone for loving this story so much ... Love you all ..

If you like it please do votes and comments and follow me 😊🥰🥰🥰

Ishq Hua 💕💕Where stories live. Discover now