Pehli Takraar ... 😏

895 122 28
                                    

All of them reach at Pushpa ji House ....

Urmi bilkul chup chap thi as pushpa ji ne use kaha tha chup rehke ko nahi toh urmi kaha hi chup rehne wali hai ....

Karishma- Amma hum Thane jaa rhe hain ... Aap abhi ye sab dekh lijiye ... Saam me hum aate hain phir ispe baat krte hain ....

Pushpa ji- Karu aram se jana aur Haan gussa thora Kam kijiye ... Baat baat pe gussa nahi hua karte bache ...

Karishma- Hum chalte hain ...

Jaise hi Karishma gayi ... Hmari urmi ne apne muh ke Patt(door) khole ... Uske man me jo v chal rha tha sab fatt ke bahar aa rha tha ....

Urmi- Aye Mahtari .... Aayicha GAWAT aani wada pawat ... Kya ghar hai re Tera ... Ae vitthala ... Aye mahtari apan v idhar ich rhenge na ...

     (Pushpa ji house 🏠👇)

Pushpa ji- Ye kaisi baat puchh rahi ho

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Pushpa ji- Ye kaisi baat puchh rahi ho ... Hmare ghar me hi tumko rehne ke liye laaye hain toh yahi rhogi na aur kaha jaogi ...

Munni- Aye Mausi lekin Tera Ghar toh ekdam bawal hai re ...

Pushpa ji- Ye tumlog kaise baat karte ho ... Thora Tameez tehjeeb se baat karna sikho ...

Urmi- Khali unlogo se hi ... Tumse baat nahi karu ... 😁😁

Pushpa ji- aye bhakk ... Tameez tehjeeb ka matlab Salike se bolna sikho ... Aise tu tadak karke bado se baat nahi krte ... Pyaar se aap janab karke baat karna chahiye ...

Urmi- Achha .... Ab samjhla ...

Munna- Aye Mausi ... Apan kidhar rhega dikha na ... Mere ko tere is bawal se ghar me ghus ke hi mazaa aa rha hai ...

Munni- Haan mausi chal na ...

Pushpa ji- Haan haan aao hum tumko tumhara room dikha dete hain ... Waha apna saman rakh ke Pehle fresh ho jana phir humlog sath me khayenge ...

Urmi- Chalo re .... Aye mahtari..... I love you ....

Pushpa ji- Bhakkk ... (In her Overacting ) ...

Urmi aur bacho ko pushpa ji ek kamre me le gayi ....

Pushpa ji- Toh aaj se tumlog yahi rhoge ...

Urmi- Aye mahtari ... Idhar toh akha dadar aayega ... Hum 3 Jan hi idhar kaise rhenge ... Aye tu jhuth toh nahi bol rahi ...

Pushpa ji- Hum koi jhuth nahi bol rhe hain ... Tumlog yahi rhoge ...

Urmi- Aye vitthala ... Ummmm aaaahhhhhh ... Mahtari tu sach me apan ke liye bhagwan hai re ... Aye wo angreji me kaa kehte hain ... Agar kisi ko dhanyawad kehna ho toh ...

Munni- Areh Tai Thank you ... Kitni baar bataya toh hai ... Tu v na .. 

Urmi- Haan wahi ich .... Thanku ... Mahtari

Pushpa ji- Ab tum hume mahtari kehna band karo nahi toh hum gussa ho jayenge ...

Urmi- Allleeeee. Meri Pani puri ki bhandaar ... Achha aaj se no mahtari aaj se tu item hai ... .

Pushpa ji- Bhaakkk ... (sharmate hue ..)

Urmi- Toh mahtari bolu chalega ... Bol

Pushpa ji- Nahi nahi ... Item thik hai ... (Samjh rhe ho ...) .... Achha suno ... Hum kal hi bacho ka school me dakhila karwa denge ... Aur haan hum tumhara v wada paw ka rekdi Hmare Thane ke saamne hi lagwa denge taaki tumhe koi dikkat na ho ...

Urmi- Aye mahtari .... Sorry sorry item ... Mere pe itna ahsaan kahe ko kar rahi hai re ... Sach me tu insaan nahi bhagwan hai bhagwan hai ...

Pushpa ji- Haan ab jao jaldi se fresh hoke aao ...

Urmi bache sabhi fresh hote hain aur lunch krte hain .... Aise hi baat krte karte saam ho jaati hai ...

And it's time for our Ks to be back from Thana ...

Karishma Thane se wapas aati hai aur kisi case ki wajah se thori gusse me v lag rahi hoti hai ... Tabhi door bell ring hota hai ...

Urmi daur ke jaati hai gate kholti hai ...

Urmi- Aye chatak Chandni ... Aa gyi tu ... Bta na kaisa gya din Tera .. tere ko to chor wor ko pakad ke bada mazaa aata hoga n ...

(Bechari Karishma ko ghar me v ghusne nahi diya ... Gate se hi itne sawal ... )

Karishma- Amma oo topa ... Hato saamne se .. abhi hmara dimaag waise tapa hua hai toh aur tapane ki koi jarurat nahi hai ...

Urmi- Aye chatak Chandni ... Ye topa kya hai re.... Aur bta na tune kya kiya din me dekh me kitni bore ho Rahi hai ...

Karishma- Humko ka time paas samjh ke rakhi ho ... Aur Kato abhi saamne se ... Amma le jao isko mere samne se ye hmara dimaag tapa rahi hai ...

Urmi- Kya re chatak Chandni mahtari ko kyu bula rahi hai ... Aur haan mai tujhe koi pareshan nahi kar rahi ...

Karishma already gusse me Hoti hai toh urmi ko dhakka deke andar chali jaati hai ...

Urmi- Aye dhakka kaise Diya tune mujhe ...

Karishma- Dimaag nahi hone ke sath sath lagta hai andhi v ho ... Hath se diya dhakka dikhai nahi diya ...

Urmi- chatak Chandni mai kuchh bol nahi Rahi hai iska matlab ye nhi tu kuchh v kregi ... Mai khud yaha nahi aayi thi ... Mahtari mere ko leke aayi thi isiliye tu mere pe gussa hona band kar ...

Karishma- Nahi toh kya kal logi.... Ab jao Kato yaha se ... Dimaag mat tapao hmara ...

Pushpa ji inki awaj sunke kitchen se bahar aayi ...

Pushpa ji- Kya hua Karu ... Tum itne gusse me kyun ho aur Urmila tum ise pareshan kyun kar rahi ho ...

Urmi- Mai kuchh nahi kar rahi hai lekin ye mere ko dhakka de rahi hai aur toh aur mujhpe gussa v ho rahi hai wo v bina baat ke ...

Karishma- Amma humne kaha tha na ye humko aankho ke samne dikhni nahi chahiye ..  kahiye ise apne kamre me jaake baithe ...

Urmi- Tu aankh band kr le mai nahi dikhegi .... Mai kahe ko jayegi idhar se ... Mai yaha koi Ghulam nahi hai Teri jo tune kaha aur Mai chali gayi ...

Pushpa ji- Amma chup Karo tum dono .... Urmila tum apne room me jao aur Karu tum v jao fresh hoke aao hum khana lga dete hain ...

Urmi- Aye mahtari mai kyun jau ... Mai kidhar nahi jayegi ...

Pushpa ji- Urmila humne kaha room me jao ...

Urmi- Thik hai ja rahi hai ... Aur tu aur Teri beti mere pe hukum dikhana band kar nahi toh mai apne Mumbai jayegi ...

Pushpa ji- Achha thik hai ... Hum Karu ko kahenge gussa Kam karne ke liye lekin abhi tum jao ...

Urmi apne kamre me gusse me chali jaati hai aur Karishma v fresh hone ke liye chali gayi hoti hai ...

Urmi(to herself)- ye chatak Chandni kitni khadus hai ... Mere ko lagta tha ye bahut achhi hai lekin ye bahut khadus hai ... Ab mai isse baat ich nahi karegi ...

Karishma (to herself)- itni battamij ladki humne apne jiwan me nahi dekha hai ... Amma kaha fasa diya ... Mahadev hume dimaag thandha rakhne ke liye Himmat dijiyega ...



















.......   ........  .........  ..........  .. .......... ......... ......

That's it for today .....

Thank you so much everyone for all the love and support...

Hope you like it and if you like it please do votes and comments and follow me ...

Atleast yaar votes toh Kiya karo ...

Ishq Hua 💕💕Where stories live. Discover now