Agle Din Urmila Phir Se apni Rekdi chalane jati hai aur Pushpa ji phir se uski Rekdi pe aati hain ...
Urmi- Kya re mahtari .... Tu to sach me aa gayi ... Mujhe lga aisi ich bs bol rahi hai ...
Pushpa ji- Sach kahe na to hme tumhare hath ke wada paw se jyada tumhara swabhav pasand aa gya isiliye hum aaye hain .... Haan lekin wada paw v khane aaye hain ....
Urmi- Chal ab tu idhar ....mai fatafat tere liye mast sa wada taiyar karti hai ...
Waise tere se ek baat puchhu gussa toh nahi hoyegi na ...
.
pushpa ji- bolo ..Urmi- Kya Tera v meri tarah koi nahi hai ... Jaise mai idhar akeli rehti hai waise tu v apne wo ..... Kya naam tha .... Aaa .... Haan lakwa me akele rehti hai ...
Pushpa ji- Bhaakkk ... Humari beti hain jo bilkul hmare liye hmare bete hain ...
Urmi- Kya re mahtari ... Phir tu akeli idhar kayko aayi ....
Pushpa ji- Wo police me hain ... To unhe chutti nahi milti hai na ... Isiliye hum akele aa gye aur wo apne kaam ko leke bahut serious hain isiliye hum unhe jyada dawab nhi diye yaha aane ke liye ... ..
Urmi- Waise Teri beti jo bete jaisi hain .... Uska naam kya hai re ...
Pushpa ji- Karishma Singh ... Aur tum ye tu tadak karke hi bado se baat karti ho kya ...
Urmi- Areh darling idhar apan sabse aise ich baat krti hai ... Wo ab to adat v ho gyi hai n ...
Pushpa ji- Waise tumne kya kaha tum yaha akeli ho matlab ...
Urmi- Manjhe .... Mai akeli ich hai ... Mere do chhote chhote Munna munni hain bs unka khayal mai rakhti hai aur wo mera .... Aur mai apne rekdi ko leke bahut khus hai ....
Pushpa ji- Ye tumhare bache hain ...
Urmi- Che ..Chee... Nahi re ... Meri toh abhi Sadi v kidhar hui hai ... Toh bache kidhar se aayenge re ... Munna munni v mere jaise hi anath the to maine socha Mai to pure jindagi akele bina aai baba ke kaat Li lekin inke liye mai Aai baba aur Tai ... Sab kuchh banegi ...
Pushpa ji urmi ki baatein sun ke bahut bhavuk ho gayi .... Wo bench se uth ke Urmi ke paas gayi aur use gale se laga liya ... ..
Urmi- Aye bs kar mahtari .... Dhandhe ke time pe aise emotional bimotional nahi hone ka .... Chal ab tu ja kal phir aana ....
Tere liye special Wada bna ke rakhegi ...Pushpa ji chali jaati hain .... Aur daily aise hi Urmi se milne aati hain aur uski kahani aur uske wada paw me kho jati hain ....
Ek din pushpa ji aa hi rahi thi urmi ke dukaan ke paas toh unhone dekha ki Urmi ek aadmi ka pocket se purse pichhe se nikal rahi thi .... Wo daur ke gayin aur urmi ke hath se purse leke us aadmi ko diya aur boli ...
Pushpa ji to man - Bhaisahab aapka purse ... Wo gir gya tha .. ye lijiye ...
Man- Dhanyawad Behen ji ...
Aur wo aadmi chala jata hai ...
Pushpa ji urmi ko thele se thora dur le jati hain aur use khich ke ek thappad Marti hain aur kehti hain ...
Pushpa ji- Tumhari himmat kaise hui chori krne ki ... Tum yahi ghatiya kaam karti ho ... Socho wo bechara kitna mehnat karke do paise kamata hoga ... Aur tum ... Ek second me uska purse Saaf kr rahi thi.... Thori v Sharm nahi aayi ... Socho agar ye baat tumhare Bhai behen ko pta chalegi toh wo log kya sochenge..... Humari hi galti thi ki hum tumhe achha insaan samjh baithe ... Cheeh ... Tum jaise log kisi ki hamdardi ke layak nahi ho ...
Urmi ko ye sab sunke bahut gussa aa rha tha jaise hi uska sabr khtm hua toh boli ....
Urmi- OOO mausi ... Mai Tera sun ke nahi legi ... Tujhe kya pta jab din ke bs 200-300 rupay ki kamai ho aur ghar pe khane wale 3 -3 Jan ho .... Tujhe lagta hai mai chor hu to haan sun hu mai chor ... Shauk se chor nahi bani is papi pet ne bna diya ... Tujhe pta hai maine kitna mehnat kiya lekin sab ne bs mere se apna kaam nikalwaya koi meri mehnat ka paisa ich nhi dete the ... To kya karti mai .... Mai chor bani kyuki Teri jo ye duniya hai na usne mujhe chor bnaya ... Jab ghar me khane ke liye roti na ho to saari sarafat hawa me chali jaati hai ... Tujhe kya lagta mujhe achha lagta hai chori karna chal tu mere sath dikhati hai mai tujhe ki mai chori kyun karti hai ....
Urmi pushpa ji ka hath pakadti aur unhe khichte hue apne gahar le jaati hai aur apne ghar ki halat dikhane lagti hai ... Ghar me anaj ke saare bartan Khali hote hain ... Aur khane ko v kuchh nahi hota hai ... Munna munni v urmi ka intezar kar rhe hote hain ki kab aayegi Khana leke ...
Urmi- Dekha tune ... Kyun bani mai chor ... Nahi Banna chahti thi chor lekin in bacho ke liye chor bani mai ... Lekin tujh jaise bare log meri baat kabhi nahi samjhenge ...
Pushpa ji ka ye sab dekhke aankh bhar aaya.... Unhone apna sar niche kar liya...
Munna- Tai ye mausi kon hai ... Ae mausi tu kon hai re ...
Urmi- Ye mausi yaha ghumne aayi thi to mai ise tumlogo se milane leke aayi ...
Pushpa ji un bacho se milti hain ... Aur Munna munni pushpa ji se bahut hi ghul mil gaye thori hi der me .... Phir urmi boli ...
Urmi- Chal mausi abhi dhandhe ka time hai ... Mai jaa rahi hai ... Agar tujhe yaha rehna hai reh nahi toh chali jana ... Aur bantar log tum log mausi ke sath jyada halkat panti nahi karna ...
Pushpa ji- Thik hai tum jao ... Aana tb tumse kuchh baat karna hai ...
Urmi chali jati hai apne rekdi pe aur pushpa ji Munna munni ke sath bahut ghul mil jati hain ...
Pushpa ji- Bacho tum hmare sath lakhnaw chaloge ... Bahut hi sundar jagah hai ... Tumhe waha bahut man v lagega aur to aur hum tumhe school v le chalenge ...
Munni- Haan re mausi chal na chalegi mai tere sath lekin mai urmi Tai ko v le jayegi ...uske bina kahi nahi jayegi ...
Munna- Haa mausi mujhe Jana hai tere sath ... Lekin Tai ko mana na kaise v wo jayegi .. tabhi apan v jayega ...
Pushpa ji- Achha thik hai urmi ko aane do hum usse baat krte hain ...
Urmi raat me rekdi se wapas ghar aati hai to Pushpa ji abhi v wahi hoti hain ...
Urmi- Kya re mahtari ... Tu gayi nahi abhi tk idhar se ... Kuchh jyada hi pyaar ho gya hai tere ko in bantar se ...
Pushpa ji- Ye hain hi itne pyaare ... Waise hume tumse kuchh baat krni hai ...
Urmi- Achha thik hai baat kar lenge ... Lekin pehle mere ko inke liye khana bnane ka hai to tu bol mai khana pakati hai ...
Pushpa ji- Haan to hum ye keh rhe the ... Tum hamre sath lakhnaw chalo ...
Urmi- Are..aree ... Kya bol Rahi hai re mahtari ...
Pushpa ji- hum sahi keh rhe hain ... Waha tum achhe se kamaogi v aur tum hamare sath hi rehna ... Dekho yaha toh bahut se wada paw ka thela hai aur waha pe bs tumhara hoga to kamai jyada hogi na ... Toh tum chalo hamre sath ...
Urmi- Achha mere ko thoda time de sochne ka ...
Pushpa ji- haaan tum achhe se soch lo ... Aur to aur tum waha kamaogi v bahut achhe se .... Aur tumhare rehne ki sari zimmedari hamari ... Toh parso hum wapas lakhnaw ja rhe hain toh tum hume bta dena ki tum aa rahi ho ya nahi ...
Urmi- Thik hai ...
Pushpa ji thori der baad apne ristedar ke yaha chali gayi ...
Aur agle din phir wo urmi ke rekdi pe aayi ...
Pushpa ji- To tumne kya socha tum aa rahi ho ya nahi ..
Urmi- Haan re mahtari maine bahut socha ... Mai jayegi tere sath .. yaha mere bacho ka koi bhavishya ich nahi hai ... Bol tu kab jane ka hai main unke liye jayegi ...
Pushpa ji bahut khus ho jati hain ye sun ke ... Aur Urmila ko saari Details bta deti hain ki kab Jana hai an all ....
.........................................................................
That's it for today .... Thank you everyone for all the love and support for this story ....
If you like it please do votes and comments and follow me too 😊🥰 ... Love you all 🥰
YOU ARE READING
Ishq Hua 💕💕
FanfictionThis story is Based On Karishma and Urmila Love .... and this one is completely Imaginary ...