Urmi Ka Vada Paw

781 108 23
                                    

IN EVENING ...

Urmi toh pure din soch soch ke pagal thi ki wo ye sab kaise karegi ... Ek toh ghar pe akeli aur bacho ke sawal alag use pareshan kar rhe the ....

Munni- Aye Tai ... Ab mai kaise school me padhegi .... Tune toh master shaheb ko hi daant diya ...

Munna- Tai ... Kya ab munni aur mai kabhi school nahi Jaa payenge ...

Urmi- Aye bantar log ... Tension nahi lene ka santulan bna ke rakhne ka .... Abhi Teri Tai idhar ich hai na ... Mai kuchh na kuchh karke agle 2 din me tumlogo ka admission karwayegi ... Samjhala ...

Munni- Ho aayi ... Sachi ...

Urmi- Muchi meri patakha ... Chala chala ... Ab tu aise muh bana ke bathege toh mere ko acha nahi lagega na re ... Isiliye masti me jeene ka bilkul tension nahi lene ka ....

Munni- Tai ... Tu khub chhangla aahesh ... Majhe tujhyawar khub prem aahesh ... (Translate)

Urmi- Haan bs bs ... Jyada emotional nahi hone ka haan ....

Urmi apne bantar logo ko samjha to deti hai unhe ummid v de deti hai lekin khud nhi samjh paa rahi hoti hai ki ab ye sab karegi kaise ...

Urmi bacho se baat karke room se bahar aa hi rahi thi ki tabhi pushpa ji aur Karishma v Ghar pahuch jate hain ... Door bell ring hoti ...

Urmi- Aye kya hai re ... Wait karne ka na .. aa rahi hai mai ...

Phir v baar baar door bell baj hi rahi hoti hai. .  Urmi gusse se gate kholti hai aur kehne lagti hai bina dekhe ki gate pe kon hai aur kon nahi ...

Urmi- Aye kya hai ... Boli na mai aa rahi hai .. phir tu itna kya magaj maari kar rahi hai ... Wait karne ka na darling ...

Karu- Amma oo topa ... Hum apne ghar me aaye hain tumhare chacha ke Ghar me nahi aaye hain jo tum humko aise hadka rahi ho ... Chalo hato ab samne se ...

Pushpa ji- Aate hi tumlog suru ho gaye... Abhi na humara sar bahut dard kar rha hai toh abhi Tumlog chup ho jao baad me jhagda kar lena ...

Karishma gusse se apne kamre me chali jaati hai pushpa ji v fresh hoke thori der dinning table pe aake baithti hai ...

Urmi kitchen se paani leke aati hai ...

Urmi- Aye mahtari ... Ye le paani pi le tu thakk gayi hogi na ...

Pushpa ji- Dhanyawad ...

Karu v tabhi dinning hall me aati hai aur kehti hai...

Karu- Amma ek glass pani hume v dijiye ...

Pushpa ji- Urmi ... Karu ke liye v ek glass pani laa do ...

Urmi- Mai nahi jayegi ... Bol usko khud jaake pi legi ... KHADOOS ...

Karishma- kya bola tumne ...

Urmi- KHADOOS ...

Karishma- Amma tumhari maiyaa ki ... Ruko tum bahut tumhara dekh rhe hain hum aaj tumko batate hain ...

Urmi- Aye mahtari ..  dekh teri beti ko haan ... Kya pagalpan kar rahi hai ... Agar ye mere ko maari n toh phir mai batayegi ...

Pushpa ji- Amma chup Karo tum dono ... Jab dekho tab ladna suru kar dete ho ... Ruko hum hi paani laa dete hain ...

Urmi- Aye ruk mahtari mai laa deti hai ... Bs mai tere liye jaa rahi hai haan ...

Pushpa ji- Thik hai Mata jao ...

Karishma- pehle hi chali jaati toh itna bolna nahi padta na ...

Urmi- Kya boli re chatak Chandni ...

Pushpa ji- kuchh nhi kaha unhone ... Tum jao .. haan .. 

Urmi jaati hai Pani laane .. thori der me paani leke aati hai aur Karu jaise hi Pani ka glass uthane ke liye hath aage karti hai waise hi urmi glass Karu ke samne dinning table pe rakh deti hai ... Karu gusse se urmi ki taraf dekhti hai aur jaise hi kuchh bolne wali hoti hai tabhi ...

Pushpa ji- Karu chup chap Pani pi lo ... 

Karu- Ji Amma ..

In night ....

Pushpa ji apne kamre me aram kar rahi hoti hain aur Karu v apne kamre me aram hi kar rahi hoti hain ... Urmi pushpa ji ke kamre me aati hai ...

Urmi- Aye mahtari ...

Pushpa ji- Urmila tum yaha ... Aao baitho ... Bolo kya hua ..

Urmi- Mere ko na Kuchh baat karni hai tere se ...

Pushpa ji- Haan batao na kya kehna hai ...

Urmi- mujhe meri rekdi lagani hai yaha pe wo v kal ... Kyuki Maine mere bantar log se wada kiya hai ki do din me unka dakhila achhe school me karwayegi ...
Ab kamayegi tb to kuch hoyega na ..

Pushpa ji- Aaj tumne apne gusse pe thora sa sayyam rakha hota toh ye nahi hota ...

Urmi- Ab dekh Jo ho gya so ho gya na ... Kahe ko uska sochne ka re ...

Pushpa ji- Acha Karishma ji ne aaj hi kisi se baat ki kal tak tumhara Rekdi Thane ke paas hi lag jayega ...

Urmi- Thank you Mahtari .. sorry sorry item ... Thank you re and she kissed pushpa ji on her cheeks ...

Pushpa ji- Haan aur tum wada paw se itne paise kama logi ki do din me bade se school me bacho ka admission ho jaye ...

Urmi- Aye mahtari ... Tension nahi lene ka Santulan bna ke rakhne ka .. dekh ab mai kya kya karti hai ... Bs tu kaise v karke chatak Chandni ko bol na thora sa bacho ko school Jane se pehle jo v puchhte hain wo sikha dene ko ...

Pushpa ji- Thik hai hum baat karenge ..

Urmi- Aye abhi chal na ...

Pushpa ji- Aaj wo bahut thakk gayi hain aur gusse me v hain toh kal hum unse baat karte hain ...

Urmi- Thik hai to tu so ja ... Mai v jaati hai kal se mere ko v toh kaam pe jaane ka hai na ....

Urmi apne kamre me aati hai toh dekhti hai Karishma waha pehle se hi bacho ko padha Rahi hoti hai ..  in the sence basic knowledge de rahi hoti hai ...

Urmi- Tu kaisi hai re Chatak Chandni ... Kabhi kabhi nariyal jaisi sakht ban jati hai to kabhi mom jaise ... Tu samjh pana mere bs kaa nahi hai .... Thank you Chatak Chandni ...

Karishma Urmi ki ye baatein sun rahi hoti hai lekin uspe react nahi karti hai ...

Karishma- Thik hai tumlog aaj itna yaad karo ... Hum aage ki padhai kal karenge ... Ab so jao hum v sone Jaa rahe hain ...

Karishma kamre se bahar jaane lagti hai tabhi Urmi uska hath pakad leti hain ...

Urmi- Thank you re chatak Chandni ... Love you Darling ...

Karishma - ye sab humne tumahare liye nahi kiya hai balki humne in bacho se wada kiya tha ki hum inka admission jaldi hi karwayenge bs isiliye kar rhe hain ... Aur bahut bade bade bhasan deke aayi ho na aaj dekho ab tum kaise karogi ye sab ...

Urmi- Tu hai na ... Agar mere se nahi hoyega to tu sab sambhal legi pta hai mere ko ...

Karishma ko ye sunke ajeeb sa hi ahsaas hota hai ...

Karishma- Thik hai abhi so jao ...

Urmi- thik hai tu v achhe se so Jana aur Haan gussa thora Kam Kiya kar chatak Chandni nahi toh jawani me budhapa dikhega ...

Karishma- Kya kaha tumne ...

Urmi- Kuchh nahi ... Bye ...

Karishma Fake anger ke sath waha se chali jaati hai ... Urmi v Karishma ke behaviour ke baare me hi sochte sochte so jaati hai ... 
























........................................................................

That's it for today .... Love you all 🥰🥰

Hope you all like it and if you like it please do votes and comments and follow me too 😊🥰...

And Thank you for all your love and support ❤️❤️

Ishq Hua 💕💕Where stories live. Discover now