18

693 69 17
                                    

To be continued...

Shiva - Haan bol na... Kya bol raha hai...
Neel - Woh ma... main... iss ghar mein nahi reh sakta ab...
Shiva - May I know the reason?
Neel - Woh dekh Shiva ab meri shaadi hone jaa rahi hai... Meri bhi ek biwi aayegi... And I don't want ki hum aise tujh pe bojh ban ke rahein... Mera matlab hai ki hum kab tak tere saath reh ke tujhe takleef denge... Ab mujhe bhi mere liye ek dusra Ghar dhundna hoga... Ab main yaha pe nahi reh sakta...
And as he completes the sentence his cheek was red and Shiva's fingerprints was visible on his cheek...
Shiva - Tujhe pata bhi hai tu kya bol raha hai...
Neel - Haan bhai ache se pata hai...
Shiva - Tujhe pata hai na tere siva koi bhi nahi hai meri family mein... Toh kyu tu jaane ki baat kar raha hai... Aur ek baat bata... Tu mujhe apna kya maanta hai...
Neel - Shiva yeh bhi koi pooch ne ki baat hai... Tu mera bada bhai hai mera dost hai mera sab kuch hai... Tu meri family hai...
Shiva - To tu apne family ko chhor ke chala jaayega... Ek baat bata agar Tera koi chota bhai hota aur woh iss tarah se ghar chhor ke jaane ki baat karta to tujhe kaisa lagta... Tu usey jaane deta kya?
Neel - Mujhe nahi acha lagta... Aur main kyu usey jaane deta... Main usey kabhi bhi nahi jaane deta
Shiva - Toh mujhe kaisa lagta hoga... Aur tune soch bhi kaise liye ki main tujhe iss ghar se jaane dunga... Dekh tu mera dost hone ke haq se iss ghar mein nahi reh Raha hai... Tu mere bhai hone ke haq ke iss ghar mein rehta hai... Aur agar dusri baar tune iss bekar reason ki wajah se jaane ki baat ki na to teri Jaan le lunga...
Neel - Acha meri Jaan le ke phir kisey apna Bhai kahega? Kiske saath masti karega?
Shiva - Aur agar tu chala gaya to kiske saath masti karunga?(with moist eyes)
Neel - Dekh tu ro mat padna... Bhabhi dekhna haa... Shiva roya...
Shiva nods his head in no...
Neel - Acha... 1... 2... 3
And a tear escapes from Shiva's eyes
Neel - Dekho maine kaha tha na ki tu roya...(chuckles)
Shiva - Bade ache se jaanta hai mujhe par ab jaane ki baat mat karna... Promise kar...
Neel - Promise... Teri kasam...
Shiva - Oh nahi nahi... Mujhe itni jaldi bhagwan ko pyaara nahi hona hai... Abhi meri umar hi kya hai marne ki... Meri kasam mat kha...
Neel - Acha theek hai... To kis ki khaun? Ek minute... Tera matlab hai ki main kasam tod deta hu... Tu boht bura hai...
Shiva - Ab tubelight ko samajh aaya...(chuckles)
Neel - Haan... Ab gale nahi milega...
Shiva - Aise thodi na hota hai...
And then he hugs him... And seeing their bond Raavi's eyes were also moistened
Then they break the hug and they goes to their respective rooms
Shiva goes to his room and was about to go to bed as he didn't wanted to talk about anything Raavi understood that he is still angry with her for her actions...
Raavi - Shiva...
Shiva - Hmm...
Raavi - Shiva... Woh tum kitchen se mere kiye paani laa doge? Mere pair mein dard ho raha hai aur iss jug mein nahi hai paani...
Shiva - Hmm...
Then he goes to kitchen to bring water and comes and hands the glass of water to Raavi
Raavi - Waise Shiva mere paas tumhare liye kuch hai...
Shiva - Mujhe nahi chahiye...
Raavi - Please.... Aise kaise nahi chahiye le lo na... Ek baar dekh lo phir tum kisi ko bhi nahi doge... Please ek baar... Please(with the most cutely face)
Shiva gets melted - Kya hai?
Raavi - Yeh lo...
And hands him a box... In which a big sorry was written...
Shiva - Raavi yeh kya hai... I don't want this...
Raavi - Arey pehle usme andar dekh to lo...
Shiva - Arey par... Maine kaha na nahi chahiye to phir kyu zidd kar rahi ho... Kal bhi tumne waise hi kiya tha aur ek to usne bhi...(he stopped in between) Mujhe nahi chahiye mujhe so jaana hai mujhe sone do...
Raavi - Kya hua Shiva kisne? Kuch baat hai to tum mujhse share kar sakte ho if you don't feel uncomfortable...
Shiva - Kuch nahi... Dikhao kya dikha rahi thi...
Raavi - Haan... Yeh lo...
Shiva opens the box and he was happy+shocked to see it...
Shiva - Tumhe kaise pata?
Raavi - You know I am antaryami...
Shiva - Waah kya English hai... Main abhi le lu(happily)
Raavi - Nahi yeh to meri hai... Mujhe kya pata tha ki tumhe khani hai... Main nahi dungi... Mujh se khul nahi Raha tha iss liye diya tha...

Kya diya hoga Raavi ne Shiva ko?

So guys it was the part agar accha laga ho to vote and comment jaroor karna....

SHAADI : COMPROMISE OR LOVEजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें