To be continued...
Neel - To ab aj game start karni hai yaa kal
Shiva - Aaj hi...
Raavi - Ek minute game start Karo us sey pehle hi main keh deti hu... Mera na pet(stomach)bhar gaya hai iss liye I won't drink much okay...
Shiva - Haan...(murmers) Agar nasha ho gaya to main to gaya... Uss din to sirf acting hi ki thi isne aur mera woh haal hua tha... agar sach mein karegi to mera to kya hoga... Aise ko kaise kareeb aa gayi thi... Jaise abhi...(and stops inbetween)
And after thinking that he unknowingly blushed
Raavi was sitting beside him so she listened what he said and wishpered to him - Tujhe kuch nahi hoga... I am fine... Aur jo tu soch raha hai woh to bilkul nahi hoga...
Shiva - Haashh... Iska matlab yeh jyada drink nahi karne waali...
Raavi chuckles and Neel saw Shiva and Raavi talking
Neel - Shiva... Abhi game pe dhyaan de... Baate baad mein karna...(took a pause) Kamre mein...(teasingly)
ShiVi blushed
Shiva - Chup reh warna main jaa raha hu... Phir tum log khel Lena apni game...(threatening) Waise bhi aaj to mujhe neend aa rahi hai...
Neel - Nahi nahi... Tu reh na... Hum start kartein hai...
Then they starts the game
Raavi - May I ask the question first?
Neel - Of course bhabhi...
Raavi - Never have I ever cheated in test...
All took sip except Shiva
(Ladka boht seedha hai... Kabhi cheating nahi karta😅😅 Waise ladka mere se kaafi similar hai😅😅)
Raavi - Ek baar test thi padh ke nahi gayi thi... Usme meri galti nahi thi... Woh to jab test ka kaha tha tab main bimaar thi to school nahi gayi thi Naa iss liye...
Jaimi - Joothi... Pata hai kitni cheating ki hai tune... Tune hi to kaha tha ki tu har test mein cheating hi karti thi... Ek bhi test apni mehnat se paas ki hai kya tune?
Raavi - Ab... Aisa kuch nahi hai... Woh to kabhi kabar...
Jaimi - Pata hai...
Shiva - Kya Raavi tu har baar cheating karti thi... Very bad...
(Giving her precious gyaan ke moti)
Raavi - To tumne jaise nahi ki?
Before he could say Neel spoke
Neel - Arey bhabhi... Isko to puch na hi bekaar hai... Yeh kya hai na bhot hi seedha ladka hai kabhi kuch galat nahi karta... Aur agar koi saamne se paper khol ke rakh de ki yeh lo Shiva isme se copy kar lo agar tumhe na aata ho to... Phir bhi nahi karta... Aur test mein fail ho jaata hai...
Shiva - Haan to... Cheating nahi karta main... Aur woh to achi baat hai na...
Neel - Par bhabhi iske saare dost cheating karte the aur yeh ek hi nahi karta tha isn't it too wierd?
Raavi - Haan... Acha chalo ab game mein dhyaan do boht ho gayi baatein... Chal Jai(Jaimi's nickname given by Raavi) Teri baari thi na...
Jaimi - Kitni baar kaha tu na Jai mat bulaya kar... I hate it... Kitna wierd hai...(irritated) Agar cheating ki baat ki jaaye to kai baar class test mein ki hogi cheating... Yaad nahi hai...
Neel - Iss liye kehte hai jyaada cheating nahi karni chahiye... Ab dekho yaad bhi nahi hai(irritating her)
Jaimi - Tu chup reh...
Neel - Hamesha sach bole waale ko chup Karaya jaata hai... Haina Shiva...
Shiva - Ab main kaha se beech mein aa gaya? Aur tu na ladkiyo ke saamne give-up karna Sikh le... Yeh har baat manvati hai... Sahi ho yaa galat... Aur tujhe nahi pata itne saal ke relationship ke baad bhi... So brilliant...
Jaimi - Or kya Neel... Tumhe kuch pata hi nahi hai... Kuch seekho Shiva sir se...
Shiva - Don't call me sir...
Neel - Haan sir mat bol warna yeh sir sar(head) pe chad ke naachne lagega...
Shiva - Hahaha... Very funny(sarcastic) By the way I don't dance okay...
Neel makes faces
Jaimi - To kya bolu? (confuse)
Shiva - Kuch bhi...
Neel - Buddhe(old chacha) bolna...
Shiva - Tu chup rahega... Main chacha dikhta hu...
Neel - Tu to bilkul chacha nahi dikhta...(took a pause) aisa main kehta par pehle kehta tha... Ab to tu bilkul uncle dikhta hai...
Shiva - Haan to tu kya buddha(old) chacha se kam hai kya (laughing)
Neel - Haww... Bhabhi yeh dekho aapka pati kaise baat kar raha hai mujh se bilkul tameez hi nahi hai... Par koi nai bhabhi hamesha meri side hi hoti hai aaj bhi meri side reh ke tujhe ki kahegi...
Raavi - Waise main rehti to hamesha Neel ki side hu par aaj nahi... So sorry Neel... Shiva kis angle se uncle dikhta hai Neel?
Neel - Pata nahi...
Shiva (wishpers to Raavi) - Tu jyada mat soch isne na apne kaan(ears) ke saath saath aankh bhi bech(sell) di hai par kaan ka to samajh aaya ki pura din phone pe baat karte karte damage ho gaye par aankh ka kya(confusingly)
Raavi - Pata nahi... Ab isey chhoro aur game pe focus karo
Raavi(loudly)- Kiski baari thi?
Jaimi - Neel ko reason batana tha...
Neel - Waise maine kabhi final exam mein yaa school ke test mein copy nahi kiya par main na har baar tution mein jab bhi test hoti thi mere friend mein se copy karta... Aur usey kuch pata bhi nahi chalta... In fact usey abhi bhi kuch pata nahi hai ki maine tution mein sab uski book mein se copy Kiya hai... Aur woh thehra topper to woh to sahi likhega na(chuckles)
Jaimi - Matlab tujhe bhi yaad nahi hai kitni baar copy Kiya hai...
Neel - Nahi mujhe yaad hai kyu ki maine har baar copy Kiya hai...(chuckles)
Jaimi - Acha theek hai... Ab kon question puchega?
Neel - Shiva....
Shiva - Neel....
Both said at the same time
Shiva - Neel puchega...
Neel - Acha theek hai... Never have I ever saw a dream in which me and my partner is getting romantic...
Only Neel and Jaimi took the sip
Shiva(in mind) - Yeh kaise questions puchta hai... Sahi mein dimaag bech diya lagta hai...
Neel - Maine to sirf ek baar main aise soch raha tha aur achanak se sapna aa gaya ki hum dono ek dance kar rahe hai...
Raavi - Ab chal tu bhi bata... koi to sapna dekha hoga na tune bhi sip li hai iss liye...
Jaimi - Nahi nahi... Abhi nahi baad mein...
Raavi - Arey bata na...
Shiva - Ab bata bhi do... Yaha pe sab apne hi hai... After several tries Jaimi agrees
Jaimi - Acha theek hai to suno aap sab... Mujhe boht saal pehle aaya tha yeh sapna... Yaad nahi hai shayad to jab ham 6th-7th mein the tab hi... Main, mere cousins aur sab bahar ek resort jaise mein ghumne gaye hai aur waha pe pata nahi mujhe kya hua tha maine iss duffer(Neel) ko bhi bula liya tha pata nahi kaise sab baithe the aur kuch kuch kaam kar rahe the... 2-3 baat kar rahe the, 2-3 aaju baaju chal rahe the, 2-3 pictures click kar rahe the aur hum dono hi baithe the aur pata nahi iss duffer mein kiski aatma aa gayi woh kehne laga ki mujhe tumhari ear-rings dekhni hai aur aap maanoge nahi itni zid ki na... Phir thodi der baad woh maan gaya aur main chali gayi kyu ki maa ne kuch kaam tha to bula liya aur baad mein main wapis aa ke baith gayi phir isne mujhe kaha ki tu ek kaam kar kab se kaam kar rahi hai aaram se let(lie) jaa... Aur actually main kab se kaam kiye jaa rahi thi jabki mere cousins baithe the to main waise bhi thak gayi thi to maine uski baat maan li aur main aise hi let gayi aankhein bandh kar ke... 2 minute baad mujhe aisa feel hua jaise mere upar koi hai aur yeh sirf feel nahi hua tha yeh sach tha... Yeh duffer mere upar tha aur mere ear-ring dekh raha tha... And before I could react main jaise hi dusri side turn hui waise hi mera sapna tut gaya aur main bed se neeche gir gayi...
All laughs...
Neel - Kya scene hoga nahi... Tu bed se giri mujhe bhi dekhna tha tu kaise bed se giri thi... Waise ro to nahi rahi thi na jab bed se giri tab?(while laughing)
Jaimi hits on his arm
Jaimi - Tu has mat... Ek to woh sapna bhi kitne time Tak dimaag mein se jaa nahi raha tha... Jaise taise kar ke dimaag se gaya... Main jab bhi aankhein bandh karti thi na tab wahi sapna meri aankhon ke saamne aata tha...So guys it was the part agar accha laga ho to vote and comment jaroor karna... Aur haa abhi to game jaari rahegi... Maine socha kyu na thoda beech beech mein entertainment bhi rakh du iss liye maine Raavi ke idea ke through yeh kaam kar diya... Sab ke experience alag alag hai😅😅

आप पढ़ रहे हैं
SHAADI : COMPROMISE OR LOVE
FanfictionEk aisi shaadi... Jismein naa to pyaar hai na hi kuch aur jo ki ek majboori ki wajah se hui hai... Kya yeh shaadi chal payegi... Kaisi hogi Shiva aur raavi ki zindagi shaadi ke baad... Kya unn dono mein pyaar hoga... Kyun ki hogi Shiva ne Raavi se s...