To be continued...
Raavi was in her room getting ready for her friend's party
Then after some time she goes...
At night
Shiva was in his room waiting for Raavi and suddenly Neel comes with Raavi and Raavi was in drunken state...
Shiva - Yeh kya hai?
Neel - Wo... Woh Raavi bhabhi ne... Pi li hai...
Shiva - Kya... Raavi peeti bhi hai? Mujhe to pata hi nahi tha kam se kam keh to deti mujhe main thodi na mana karta mana mujhe pasand nahi hai par main usey mana to nahi karta... Par Raavi ko club jaa ke peene ki kya jaroorat thi...
Raavi - Arey Shivuuu baby... Kya tum bhi rajdhani express ki tarah chale hi jaa rahe ho chale hi jaa rahe ho chale hi jaa rahe ho chale hi jaa rahe ho...
Shiva - Bas ab kitni baar ek hi cheez bolegi...
Raavi - Oh Haan... Iski baat to sun lo baby...
Neel - Woh Raavi bhabhi ne galti se drink kar li hai woh drink nahi karti hai... Jaimi ka call aaya tha mujhe aur uski friend ki party mein kisi ne galti se Raavi bhabhi ko juice ki jagah sharab de di... Aur jab unn logo ko pata chala tab tak Raavi bhabhi full talli ho gayi thi... To ab tu hi rakh isey... Main to jaise taise kar ke isey yaha pe le ke aaya...
Shiva - Acha to Jaimi ne tujhe kyu call kar ke bataya... Mujhe kyu nahi... Iska pati to main hu...
Neel - Ab tera nature tujhe to pata hi hai sab tujhse darte hain... To woh bhi dar gayi hogi... Aur waise bhi tujhse kaise baat karti...
Shiva - Acha theek hai ab tu jaa... Main isey sambhalta hu...
Neel - Haan... Good night...
Then he goes...
Neel to himself - Yaar yeh bhabhi ne kya karvaya... Agar Shiva ko pata chala na ki maine jooth bola hai to phir main gaya... Jaan le lega meri... Kyu ki Shiva hates lies... Ab jo bhi ho bhagwan sambhal Lena...
Flashback
Raavi was in hall and she was talking to Neel...
Raavi - Tu mera ek kaam karega please?
Neel - Arey bhabhi aap sirf hukam Karo... Woh kaam ho jayega...
Raavi - Yeh kaam itna aasan nahi hai... Tujhe jooth bolna padega...
Neel - Acha jooth to main boht ache se bolta hu boliye na kya karna hai?
Raavi - Par tujhe kis sey bolna hai yeh to sun...
Neel - Arey bhabhi bolo na Neel Shah kisi se nahi darta...
Raavi - Shiva Pandya se bhi nahi?
Neel - Ab woh kaha se beech mein aaya...
Raavi - Uski hi to baat hai...
Neel - Acha boliye na... Hum dekhenge agar theek laga to karunga na... Warna nahin... Is mein kya farak padta hai...
Raavi - Tujhe Shiva ko kehna hai ki maine galti se drink kar li hai meri friend ki party mein aur Jaimi ne tujhe call kar ke bola hai mujhe le jaane ko....
Neel - Nahi nahi... Main shiva se jooth nahi bol sakta woh mujhe 2 minute mein pakad lega... Par bhabhi main aapko keh du... Ki Shiva ko mazak bilkul bhi pasand nahi hai so please ap kuch aisa mat karna ki uss sey gussa aa jaaye
Raavi - Arey par kuch nahi hoga aur agar kuch hue to tu mera naam de Dena... Aur tu uske gusse ki tension mat le... Jo hoga dekha jayega...
Neel - Acha theek hai... Par ap karoge kya uske baad?
Raavi - Tujhe kyu batau? Tera kaam hai woh kar naa...
Neel - Acha theek hai... (Dramatically) Bhalai ka to koi zamana hi nahi Raha...
Raavi - Acha abhi batati hu tujhe ruk...
Neel - Arey nahi nahi... Koi baat nahi... Main Kahan kuch bola...
Raavi - Yahi theek hai ab Shiva kabhi bhi aata hoga ab tu uske saamne muh mat kholna theek hai...
Neel - Okay...
Flashback end
Shiva goes and closes the door...
So guys it was the part agar accha laga ho to vote and comment jaroor karna... Aur aaj main free thi thodi aaj tution nahi tha to maine aaj 3 part post kar diye hai... Shayad kal subah bhi ek post kar doon
आप पढ़ रहे हैं
SHAADI : COMPROMISE OR LOVE
Fiksi PenggemarEk aisi shaadi... Jismein naa to pyaar hai na hi kuch aur jo ki ek majboori ki wajah se hui hai... Kya yeh shaadi chal payegi... Kaisi hogi Shiva aur raavi ki zindagi shaadi ke baad... Kya unn dono mein pyaar hoga... Kyun ki hogi Shiva ne Raavi se s...
