To be continued...
After dinner
Shiva and raavi were in their room and Neel comes...
Neel - I hope apko disturb nahi kiya...
Raavi - Nahi...
Neel - Shiva tum chalo na mere room mein...
Shiva - Haan tu jaa main abhi change kar ke aaya...
Neel - Jaldi aana...(teasing) Kuch aur kaam karne mat ruk jaana... Baad mein aana phir se
Shiva - Hmm... Ab agar aap jayenge to main kapde change kar ke aaunga na... Ab jaa...
Neel - 5 minute mein aa jaana...
Shiva - Hmm...
After 5 minutes Shiva goes to Neel's room
Neel - Aa gaya...
Shiva - Nahi nahi... Yeh to mera bhoot hai na... Main kaha aa sakta hu... Ab bol kya kaam tha...
Neel - Woh kal na Jaimi ne mujhe lunch pe bulaya hai... Uske parents se shaadi ki baat karne...
Shiva - Haan to... Mujhe mat kehna... Ki main elder ke jaise aa ke baat Karun... Teri shaadi tu nipta le...
Neel - Arey nahi nahi... Woh to main hi dekh lunga... Par mujhe na kapde samajh nahi aa rahe kuch select kar de... Waise bhi teri dressing sense achi hai
Shiva - Kuch bhi pehn le kya farak padta hai...
Neel - Arey padta hai... Main uske parents ke saamne pehli baar jaa raha hu... To impression to acha lagna chahiye na... Waise bhi you know... First impression is last impression...
Shiva - Kitna bolta hai... Jaimi ke favourite colour ka kuch pehn le...
Neel - Uske to do favourite colour hai...
Shiva - Acha to koi bhi pehn le...
Neel - Yeh black wala pehn loon?
Shiva - Nahi woh thoda purana lagega... yeh wala pehn...
Neel - Nahi woh colour usko pasand nahi hai...
Shiva - To yeh...(pointing towards one shirt)
Neel - Nahi... Yeh mujhe ab nahi pasand aur dekh iska colour bhi thoda light ho gaya hai...
Shiva - Yeh?(points towards the another black colour shirt)
Neel - Ummm.... Haan yeh acha lag raha hai... Chalega... Ab kitna aur try karun...
Shiva - Acha ab try kar le...
Neel - Haan theek hain...
Shiva - Hmm... Tu dekh le... Agar acha na Lage to kehna...
Neel - Hmm...
Then he removes his t-shirt and tries the black one...
Neel - Shiva dekh... Kaisa lag raha hai?
Shiva - Hmm... Acha lag raha hai... Ab tu phir se apna yeh purana wala t-shirt pehn le...
Neel - Haan...
Then he removes that shirt and puts that shirt properly... And was going to wear that t-shirt but suddenly someone comes in room...
Neel goes and hides behind Shiva as he was shy...
Neel (wishpers)- Bhai... Isey keh na jaaye... Maine kapde bhi nahi pehne hai...
Shiva (wishpers) - Itne to pehne hai...
Neel - Meri t-shirt nahi pehni hai bol na isey jaaye...
Shiva - Abey teri hi girlfriend hai... Iss sey itna kya sharmana... Kal hi to tu shaadi ki baat karne jaa raha hai... (Teasing) Agar shaadi ke baad bhi aisa hi rahega to aage kaise badhega... Aur rahi baat Raavi ki... Toh woh to teri bhabhi hai... Bhabhi maa ke saman hoti hai uss sey kya sharmana... Bahar nikal mere piche se...
Neel - Abey saale... Isey keh na... Mere se abhi baat mat kar woh bhi yeh useless baatein to bilkul nahi...
Shiva - Haww... Tu mujhe saale bol raha hai... Ab to main bilkul bhi nahi kahunga aur jaa raha hu tere samane se bhi...
Neel was going to speak something
Jaimi - May I know ki yeh aapke piche kyu chipa hai?
Shiva - Woh isne kapde nahi pehne na iss liye...
Jaimi - Acha... Lag to nahi raha...
Shiva - Actually woh dusri shirt try kar raha tha aur usne woh nikaal di... Aur tum aa gayi iss liye... Tum do minute bahar jao... Raavi jaa aur kuch chahiye ho to de chai coffee...
Raavi - Haan... Jaimi tum chalo...
Then they both leaves...
After 2 minutes Neel and Shiva comes out of room...
Neel - Jaimi tum yaha pe?
Jaimi - Haan woh main yaha se jaa rahi thi... To maine socha ki milti jau... Par ek baat to kehni padegi... Tum kitne shy ho...
Neel - Wo... Woh... Aisa kuch bhi nahi hai... Main koi shy-vy nahi hu...
Jaimi - Acha... To phir tum Shiva sir ke piche kyun chipe the?
Neel - Wo... Woh...
Jaimi - Ab woh woh ki karte rahoge ki kuch aage bhi bologe? Waise main itne saalo se jaanti hu... Hum school mein bhi ek saath the par mujhe nahi pata tha ki tum aise ho...
ShiVi - Kyaa... Tum dono school life se saath mein ho?
Neel/Jaimi - Haan...
Raavi - Mujhe to nahi pata tha... Par Shiva kya tumhe bhi nahi pata tha?
Shiva - Nahi... Isne kabhi kaha hi nahi hai... Ab chal Raavi inn dono ko baatein kar ne de...
Raavi - Haan chalo...
Neel - Arey bhabhi koi problem nahi hai aap rahoge to...
Shiva - Acha matlab main rahun to problem hai...
Neel - Shiva tu to mere bhai jaisa hai... Tujhe kehne ki jarurat nahi hai ki tu rahe yaa na rahe... Aur agar tere rehne se mujhe problem hogi bhi to tu kaha jaane wala hai...
Shiva - Yeh to hai... Aur main hu hi itna sweet ki mujhe koi jaane ke liye kahega hi nahi... Par phir bhi kya hai na mujhe teri tarah kabab mein haddi ban ne ka shauk nahi hai...
Neel (wishpers) - Abey iske saamne to ijaat rakh meri (pointing towards jaimi)
Shiva - Kyu yeh to tujhe school life se jaanti hai na to phir usey to pata hi hoga ki tu kaisa hai...
Neel - Ab jaa tu aur Raavi bhabhi aapko rukna hai to ruk jaaiye... Isko agar aur rukne ko kaha na to meri saari izzat mitti mein mila dega...
Raavi - Nahi main room mein jaati hu...
Neel - Oh main to bhul hi Gaya room mein kaam jo hota hai...
Shiva - Teri shaadi ho jayegi na tab tujhe bhi kaam hoga... Ab jaane de... Aur driver ko keh dena isey drop karne ke liye...
Neel - Hmm... Theek hai...So guys it was the part agar accha laga ho to vote and comment jaroor karna....

आप पढ़ रहे हैं
SHAADI : COMPROMISE OR LOVE
Fiksi PenggemarEk aisi shaadi... Jismein naa to pyaar hai na hi kuch aur jo ki ek majboori ki wajah se hui hai... Kya yeh shaadi chal payegi... Kaisi hogi Shiva aur raavi ki zindagi shaadi ke baad... Kya unn dono mein pyaar hoga... Kyun ki hogi Shiva ne Raavi se s...