To be continued...
Shiva wakes up and sees Raavi sleeping peacefully her hairs was on her face she was looking very innocent and cute and automatically the smile crept on Shiva's face and then he tucks the hair strand behind her ear and caresses her forehead
Shiva - Raavi kitne ache se so Rahi hai... Kitni pyaari lag rahi hai...
Shiva's alter ego appears - Yeh kya soch raha hai tu Shiva...
Shiva - Kya... Maine kya kiya ab?
Shiva's alter ego - Tu Raavi ke baare mein aise kaise soch sakta hai?
Shiva - Kyu nahi biwi hai meri tujhe uss sey kya?
Shiva's alter ego - Biwi hai par kya tu usey maanta hai
Shiva - Ab shaadi to ho gayi hai jaise bhi hui ho... Ab woh meri biwi hai
Shiva's alter ego - Aise thodi na chalta hai
Shiva - Sab chalta hai aur main meri biwi ko hi to dekh raha tha... Dusre koi ko thodi dekh raha tha...
And Raavi wakes up with his voice
Raavi (in angry+sleepy voice) - Kisi aur ko dekh to sahi daant na tod du...
Shiva (tries to cover up)- Kis ke daant todne hai tujhe? Kya bol rahi hai... So jaa... Neend mein kuch bhi bolti hai...
Raavi - Main nahi tu... Akele akele kya baat kar raha hai tu... So jaa...
Shiva - Ma... Main ko... Koi akele akele baat nahi kar raha tha... Aur gadhedi... 7:30 baj gaye hai ab mujhe neend nahi aane waali fir se... Tu so Jaa Haan ache bache ki tarah... Gooooodddd nigghhhtttt...(like a small kid)
Raavi - Haan... Abhi to 7:30 hi hue hai... Mujhe thodi der baad uthana haan... Mujhe na neend aati hai phir aur agar main kaam karte wakt office mein so gayi to... Phir tu mujhe daatega... Kyu ki mujhe pata hai ki tumhe kahi par bhi aisi cheeze pasand nahi hai... To utha dena haa... Aur woh bhi 1 hour ke baad uss sey jaldi mat uthana.... Pleaaasssee...(cutely)
Shiva - Haan... Aur kuch madam ji...
Raavi - Nahi...
Shiva - To so jao...
Raavi - Haan...
Then she sleeps and Shiva goes to take a bath and after sometime he comes and tries to wake Raavi but she was not getting up so he goes towards her and shakes her hand to wake up her but due to this sudden shake Raavi pulled his hand and he fall on her and as he fell Raavi felt that someone fell on her side of bed so she opened her eyes and it was Shiva fallen on bed on the top of Raavi
Shiva - Ey Raavi yeh kya kar rahi hai?
Raavi - Wo... Wo... Meri koi galti nahi hai...
Shiva - Acha to galti meri hai nahi(sarcastic)
Raavi - Haan to galti to teri hi hai na... Main to aaram se so Rahi thi tune hi to uthaya...
Shiva - Haan to maine uthaya... To isme meri kya galti...
Raavi - Galti teri hi hai...
Shiva - Arey par... Yeh acha hai... Galti koi aur kare aur naam kisi aur ka de... Well done...
Raavi - Haan waisa hi... Ab tu uth mujhe jaane de...
Shiva - Haan to jaa na maine kaha roka hai...
Raavi - Tu mere upar se uthega tabhi to main jaungi na...
Shiva - Oh Haan... Main uth ta hu...
Raavi - Hmm
Then he gets up and sits on bed and starts scrolling his phone after some time Raavi comes
Raavi was selecting earrings but she was not sure which one she wants to wear because all were her favourite so she decided to ask Shiva
Raavi - Shiva
Shiva (deep in his phone) - Hmm...
Raavi - Konsi pehnu?
Shiva (deep in his phone) - Teri Marzi...
Raavi - (to herself) Yeh to pucha nahi ki main kis cheez ki baat kar rahi hu... Aur kehta hai(mimicking like him) Teri Marzi...
Raavi (to Shiva) - Shiva yeh waali ya yeh waali...
Shiva (deep in his phone) - Koi si bhi...
(Banda phone addicted hai😅😅)
Raavi gets frustrated and goes near him and pushes his head in phone
Raavi - Ghus Jaa phone ke andar ghus Jaa...(a bit angry+annoyed due to his this type of behavior)
Shiva - Ayyy.... Yeh kya kia?
Raavi - Wapis kar ke batau?
Shiva - Koi jarurat nahi hai... Ab bata kyu Mera dimaag kha rahi hai...
Raavi - Shiva main kab se puch rahi hu main konsi ear-ring pehnu? Par tum ho ki bata hi nahi rahe ho...
Shiva - Koi si bhi pehn le na... Kya fark padta hai...
Raavi - Bata na...
Shiva - Par... Main koi ladki thodi na hu jo mujhe pata hoga ki konsi achi lagegi... Koi bhi leke pehn lene ka... Isme dimaag kai ko khaa raha hai?
Raavi - Acha... Theek hai... Koi bhi na... To main na shaadi waali pehn leti hu...
Shiva (murmers) - Haan taaki ekdum bandariya jaisi lage...
Raavi - Kya bola... Kya bola... Sunai deta hai mujhe... Bhagwan ne do kaan (ears) diye hai maine sab suna maine...
Shiva - Haan to bhagwan ne to sabhi ko do hi kaan diye hote hai aur sab sun sakte hai sivaay behre (deaf) ke...
Raavi - Shiva...(a bit irritated)
Shiva - Raavi...(to tease her)
Raavi - Shiva...
Shiva - Haan bol na... Ki bas baaki kuch bolna nahi aata... Lagta hai kal raat ke baad bolna bhul gayi... Bas sirf mera naam hi aata hai... Waise main hu hi itna smart aur khaas mera name to yaad hi hoga na( khud ki taareef karne wala insaan)
Raavi - Shiva... Tum na...
Shiva (cuts her) - Pata hai main boht acha hu... Aur haa helpful bhi hu...
Raavi - Acha helpful ho to meri help kyu nahi kar rahe ho?
Shiva - Kyu ki tumhe help ki jarurat nahi hai... Nahi nahi... Kar deta hu help... Warna har pal kahegi.. tumne meri help nahi ki thi uss din...
Then Shiva goes near the mirror but Raavi was still standing beside the bed
Shiva saw her and said - Arey aa naa... Warna main help kaise karunga...
Raavi goes near him and stands there then Shiva takes one pair of ear-ring and removes one ear-ring from Raavi's ear and puts the new one and after that he make her wear ear-ring in second ear too...
But inn sab mein Shiva ka dhyaan hi nahi tha ki woh kya kar raha hai... But Raavi was blushing... Shiva saw her blushing
Shiva (asking normally) - Kya hua... Sharma kyu Rahi hai? Koi navi naveli dulhan (newly married bride) hai kya jo aise sharma rahi hai... Aur na to koi tujhe aise tere samne ghutne (knees) pe baith kar propose kar raha hai... To ab sharmana bandh kar...
After hearing his words Raavi blushed harder
Shiva - Lagta hai isey kuch ho gaya hai...
Raavi - Aisa kuch bhi nahi hai... Tum jao main abhi ready ho kar aa jaungi...
Shiva - Nahi nahi... Mujhe tum pe bharosa nahi hai... Kyu ki mujhe pata hai ki agar tum akeli yaha pe reh kar ready hogi na to 10 din lagege tumhe make-up thopne mein... Aur mujhe late nahi hona hai... To main yahi pe baitha hu tu jaldi se ready ho jaa...
Raavi (murmers) - Haan taaki mere sar(head) pe baith kar meri saas ki tarah mujhe kaam jaldi kar ne ko kahe... Taane to deta hi hai...
Shiva - Oh hello madam ji... Main koi saas ki tarah taane nahi deta... Main to ek pati ki tarah deta hu... Saas waali feeling ke liye to boht mehnat karni padti hai...
Raavi starts laughing
Shiva - Ab kya main joker dikh raha hu ki tu mujhe dekh kar hasne lagi?
Raavi - Nahi par dikhega jarur...
Shiva - Hein? Main kuch samjha nahi...So guys it was the part agar accha laga ho to vote and comment jaroor karna... Aur Raavi ne kyu Aisa kaha hoga ki Shiva joker jaisa dikhega?

आप पढ़ रहे हैं
SHAADI : COMPROMISE OR LOVE
FanfictionEk aisi shaadi... Jismein naa to pyaar hai na hi kuch aur jo ki ek majboori ki wajah se hui hai... Kya yeh shaadi chal payegi... Kaisi hogi Shiva aur raavi ki zindagi shaadi ke baad... Kya unn dono mein pyaar hoga... Kyun ki hogi Shiva ne Raavi se s...