38

610 74 25
                                    

To be continued...

Raavi - Never have I ever felt bad listening something about my partner from my friends...
Only jaimi took the sip
Jaimi - Ek baar hamari school mein drama hone waala tha... Jisme Neel connect tha mujhse... Main ghar se prathna (prayer) kar ke aayi thi ki role isey hi mile aur mil bhi Gaya... So basically usme tha Aisa ki Neel mera drawing teacher hai jo ghar pe aake mujhe drawing sikhata hai... Aur uske chappal chori ho gaye to usko dhundna hai aur kuch aisa hi drama tha... Mera naam usme tha Lalita to meri ek friend ko thi woh 1st bench pe baithi thi... Aur usne kaha ki drawing teacher se to Lalita badi hai... Nd I felt bad... Kyu ki tab to iski height thodi Kam thi to yeh chota lagta tha... And the way she told it... I felt very bad... Main bhi kabhi-kabar meri best friend ke saath mil kar iski masti kar liya karti thi... But phir bhi... Bas uske baad to nahi hua hai aisa... Par jab bhi agar koi iski masti karta na mujhe bilkul bhi acha nahi lagta...
Neel - Yeh baat mujhe kyu yaad nahi aati...
Jaimi - Kyu ki tumhe bhulne ki bimaari lag gayi hai...
Shiva - Never have I ever fall by in public which was not accidentally
Only Raavi took sip
Raavi - Ek baat school mein hum sab campus mein khade the main mere friend ka wait kar rahi thi to ek ladka aaya aur jaan bujh kar pair beech mein daala jaha se main chalne waali thi aur main gir gayi aur phir usi ladke ne haath de kar khada kiya(Shiva was feeling jealous) Aur phir to puchta hai 'Oh I am so sorry Raavi... Tumhe chot to nahi aayi na...' man to aisa kar raha tha ki do kheech ke lagau saari akal thikane aa jayegi aur yeh joothi fikr bhi nahi rahegi...
Shiva - Kai ladke aise hote hai...
Raavi - Haan after all tum bhi to ladke ho... Kabhi na kabhi to tumne bhi aisi harkat ki hogi naa...
Shiva - Nahi... Infact humare class mein jabse maine padhai start ki tab se jitni ladkiya tha I mean jo thi usme se sirf 10-20% hi nikal gayi hogi school mein se baaki to last tak 10th tak thi phir bhi mujhe kisi ka naam nahi pata tha... I even don't look at them... Agar kuch kaam hua to baat karne ki warna wahi se kaam khatam...
Raavi - Sach mein yaar... Tum to matlab... Boht seedhe ladke ho...
Neel - Let's resume... Never have I ever had a crush on someone from my class
Raavi, Neel and Jaimi took the sip
Shiva felt more jealous that Raavi had a crush on someone
Neel - Pehle Jaimi ke sivay ek ladki thi uske upar crush tha par aage badhkar Jaimi pe aa gaya...
Jaimi - Mujhe bhi tha...
Neel - Par kon tha woh to batao...
Jaimi - Kyu batau?
Neel - Kyuki saari details batani hai...
Jaimi - Acha bata deti hu tu to boht ache se jaanta hoga usey shayad abhi contact mein bhi ho...
Neel - Pan kon yeh to bata...
Jaimi - Tera best friend...
Neel - Kyaaa... Tujhe uspe crush tha... Brilliant...
Jaimi - To tujhe bhi to tha... Ab tu chup ho jaa... Aur game continue karo... Oh Raavi aur Shiva bhai ka turn to baaki hai na... Aap bolo...
Raavi - Ek ladka tha abhi to naam bhi yaad nahi hai... Kuch kya naam tha... Naam to kuch acha tha par yaad nahi aa raha... Ab Shiva bata...
Shiva nods his head negetively saying that he doesn't had crush on anyone
Raavi - Seriously Shiva tumhe school, college kabhi bhi kisi pe bhi crush nahi tha...
Shiva - Nahi...
Raavi - Acha hua main aa gayi... Warna tum to shaadi hi nahi karte...
Shiva - Aisa nahi hai... Par school mein dhyaan hamesha padhai par hi rehta tha... Aur college ke to one year baad hi woh accident ho gaya to college chhorni padi
Raavi - But kisi pe to crush hona chahiye tha na...
Shiva - Ladkiya apne pati se kehti hai ki tumhe uspe crush kyu tha...kyu tum uske saath relationship mein the... Aur yaha iska pati jisko kisi pe crush nahi tha usko yeh puch rahi hai kyu nahi tha... Sahi hai...
Raavi - Aisa nahi hai...
Neel - Raavi bhabhi ispe to saari school college ki ladkiyaa Marti thi... Abhi bhi kai ladkiyaan ispe Fida hai... Iske social media par dekho jaa kar boht se ladkiyo ke love letter hoge... Din ke 5-6 aate hai... Par Shiva kuch nahi dekhta sab pending hai...
Raavi - Acha dekhna padega ek baar kon hai woh ladkiyaan...(jealous)
Shiva - Continue...
Neel - Oh haan
Jaimi - Never have I misunderstood a person
Jaimi, Raavi and Shiva took the sip
Shiva - Maine to just ek friend ko ek baar... Woh meri bike side mein rakh Raha tha taaki gire nahi aur maine usey galat samajh kar uspe chilla Diya... Mujhe laga ki woh meri bike ko pareshan kar Raha hai...
Raavi - Bike ko bhi pareshaan...
Shiva - Haan... Mujhe na bike boht pasand hai... Dusra pyaar hai...
Raavi - To pehla?
Shiva - KitKat...
Raavi - Mujhe to laga ki kya hi hoga...
Neel - Mujhe to yaad bhi nahi ki maine kisi ko galat samjha tha ya nahi bas yeh pata hai ki ek baat hua tha...
Jaimi - Maine to ek baar uss chaman chipku ko galat samjha tha...
Neel - Kon?
Jaimi - Arey wahi... Chipku jisko tum pe crush tha...
Neel - Oh... Tumne usey kya galat samjha?
Jaimi - Ekbaar woh ek dusre ladke ko dekh rahi thi actually ghoor rahi thi aur mujhe laga ki woh tujhe ghoor rahi hai... Mujhe aisa Mann hua na ki ek kheech ke du tera naam bhul jayegi... Aur meri friend samajh gayi ki mujhe kya hua... Usne kaha ki yeh dekh Dhruvisha kya kar rahi hai... Maine kaha main yahi dekh rahi hu.. phir usne usko pucha ki woh kya dekh rahi hai to woh boli ke ma'am questions puch rahe hai woh par mera dhyaan tha maine kaha ki ma'am to uske bhi peeche waali bench mein puch rahe hai... Phir usne kuch javab nahi diya mujhe boht gussa aa raha tha tab... 
Raavi - Guys ab mujhe neend aa rahi hai ab so jaate hai kal phir se kuch karenge...
Neel - Woh to theek hai par bhabhi yeh alcohal bachi hai thodi si...
Raavi - Shiva pi le bachi hui alcohal...
Shiva - Yeh thodi hai? 3-4 shots hai... Aur yeh thodi hai... Agar woh thodi hai to jyaada kon si hai?(sarcastic)
Neel - 10-12 shots...
Shiva - Kyaa...(shocked)
Neel - Shiva please yeh pi le naa... Sab ka pet(stomach) bhar gaya hai...
Shiva - Arey par...
Neel - Please pi le na... Nahi to waste jaayega...
After several tries Shiva ka mann to nahi tha but he had to agree and he was drinking it like someone drinks tea
Neel - Kya aise pi raha hai... Tu koi chai nahi pi raha... Tu drink kar raha hai... Ek ghut(sip) maar aur baat khatam kar... Sabko sone bhi jaana hai...
Raavi - Jaisa karna hai waisa karne de na Neel...
Neel - Par bhabhi aise to yeh kitni der lagayega...
Shiva - Par...(he got pleading look from Neel) acha theek hai...
And he drank it in one go and now he was full talli
Shiva - Neel... T... Tu mujhe... Do-do... Kyu dikh ra... Raha hai...
Neel - Main to ek hi hu...
Raavi(to Neel) - Kaha tha jaise kar raha hai karne de par tujhe to baat hi nahi sun ni hoti hai ab dekh kya hua nateeja...
Neel - Mujhe thodi pata tha ki isey itne mein Nasha ho jayega... Mujhe to nahi hota iss liye mujhe laga isey bhi nahi hoga...
Raavi - Tune hi to kaha tha ki tu kabhi kabar pi leta hai to tujhe thodi na iss tarah se nasha lag jayega ek baar mein...
Jaimi - Kya... Tu sharab peeta hai (shocked) Par koi nahi isme kon si badi baat hai agli baar se bata ke peena hum saath baith ke peeyenge...
Neel - Haa... Aur saath mein music bhi lagayenge...
Jaimi - Haan yaar... Kitna awesome hoga...
Raavi - Oh laila-majnu ab iska(pointing towards Shiva) kya karien?
Neel/Jaimi - Ab aapka/tera pati hai to apke/tere saath hi jayega na... Aap/tum le jao isey... Mujhe to neend aa rahi hai... Good night...
Raavi - Kya kaisi musibat mein fasa Diya tum logo ne... Agli baar pee kar aaya tha... Haan maana peeya nahi tha par pilaya tha uss din ki saza aaj bhugat rahe hai hum...
Neel looks at her with pleading look
Raavi - Ab ek kaam kar isey room tak le jaane meib meri madat kar...
Neel - Ismein meri kya madat...
Raavi - Ab main thodi na isey le kar jaungi...
Neel - Acha theek hai...
Then he somehow takes Shiva to his room with the help of Raavi
Shiva was blabbering continuously
Then Neel leaves and Raavi makes Shiva lie on bed and she started going
Shiva - Raavi... Tum kaha Jaa Rahi ho?
Raavi - Woh kapde change karna jaa rahi hu...
Shiva - Tum na jaldi aana... I will miss you a lot...
Raavi - Haan main jaldi aaungi haan...
Shiva - Haan theek hai...
Then Raavi comes after changing and was shocked to see the view infront of her and she shouted on the top of her voice - Shivaaa... Yeh kya kar rahe ho....

Any guess of what Shiva was doing? Agar pasand aaya ho to vote and comment jaroor karna...

SHAADI : COMPROMISE OR LOVEजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें