35

599 70 15
                                    

To be continued...

After they all had dinner Raavi and Jaimi told Neel and Shiva to go into their room they will clean the kitchen and after that they will decide what to do... And as per this Raavi and Jaimi were cleaning kitchen
(Dont be confuse Raavi ne staff ko keh diya tha ki ab ek week Tak mat aana aur yeh to story hai staff ke hote hue bhi yaha lo kaam karte hai... Jaisi sabki marzi... I mean auther ki😅😅)
Jaimi - Raavi mujhe nahi pata tha Shiva sir aise hai...
Raavi - Kaise?
Jaimi - I mean aise masti karne wale, cheerful, and all
Raavi - Kyu tum to 2 saal se wahi job karti ho na...
Jaimi - Arey Raavi... Office mein to har wakt Shiva sir ekdum boss mode mein hi rehte hai aur kaafi serious hote hai... Uske face par smile bhi nahi dekhi hai aj tak maine office mein... Office mein to hamesha serious rehte hai... Haan waise rehna bhi chahiye kyu ki agar woh serious or boss mode mein nahi rahenge to kaam kaise chalega... Seriously Raavi office wale Shiva sir aur yeh Ghar waale Shiva sir kitne alag hai...
Raavi - Haan... Waise kya woh office mein logical baatein karta hai?(curious)
Jaimi - Ab... Haan office mein to logical baat hi karte hai na... Kyu tujhe kya kaam hai?
Raavi - Kuch nahi yaha to itni illogical baatein karta hai na...
Jaimi - Bilkul Neel ki tarah...
Raavi - Neel to kam baatein karta hai yeh to itni baatein karta hai na... Uska muh chaalu hi rehta hai... Waise Shiva na thoda self-obsessed hai...
Jaimi - Ab pata chala Neel kaise iss tarah se baate karta hai... Shiva sir se Sikh Raha hoga...
Raavi - Haan(chuckles) Acha ab kaam ho gaya hai tum jaa kar Neel ko bula aao main Shiva ko bula ke aati hu...
Jaimi - Haan...
Then they both goes and calls their husband/bf
Then all were in hall sitting on sofa
Shiva - Kya socha hai?
Neel - Chal na video game khelte hai sab...
Shiva - Kya... Are you serious... Video game... Chup video game kon khelta hai... Kuch aur...
Raavi - Truth or dare?
Shiva - Common game hai...
Jaimi - Never have I ever?
Neel/Raavi - Perfect... You are the best...
Raavi (to Shiva)- Yeh game chalega?
Shiva - Hmm... Par chalo na terrace par chalte hai...
Neel - Haan waha pe maza aayega...
Then they all goes to terrace
Neel - Guys main abhi aaya...
Shiva - Yeh kaha jaa raha hai?
Raavi - Pata nahi... Usey chhoro aur meri baat suno... Dekho never have I ever to pehle bhi khele hai par iss baar na hum log Aisa karte hai ki jo bhi question hoga aur agar humne sip li to hume woh puri cheez bhi batani padegi ki kab kya hua tha kaise hua tha...
Shiva - Waise idea to acha hai Raavi par... Main kuch samjha nahi...
Jaimi - Haan theek se bol main bhi nahi samjhi...
Raavi - Dekho for example... Haan... Never have I ever cheated in exam... To jaise maine sip li to mujhe batana hoga ki konse standard mein konsi test mein kis ke paper mein se and saari information...
Shiva - Oh ab samajh mein aa gaya....
Jaimi - Haan ab to mujhe bhi aa gaya... Par yeh Neel kaha reh gaya?
Raavi - Oho... Raha nahi jaata ek minute bhi... Sahi hai(teasing)
Shiva - Kya Raavi tu bhi... Pyaar karne waalo ka na aisa hi hota hai... Kabhi kabhi time jaldi se chala jaata hai aur kabhi time boht slow ho jaata hai... Tu to uski friend hai to samjha kar... Pyaar karti hai uss sey... Woh bhi koi kam nahi hai... Jab dekho tab Jaimi woh Jaimi yeh... Mere to kaan Pak jaate hai uski baatein sun kar...
Tabhi Neel aata hai
Neel - Sun liya maine... Meri burai ho rahi thi... Bhabhi aap bhi aise kar rahe ho apne pyaare devar ke saath... Yeh Shiva to har wakt burai hi karta rehta hai... Par aap bhi... Not fair...
Shiva - Haan woh sab to theek hai par tere haath mein kya hai?
Neel - (a bit nervously) Wo... Woh...(and indicated that it is drink)
Shiva (shocked) - Kyaa... Tu... Tu... Sh... Shara... Sharaab laaya hai...
Neel - Woh... Haan... Sorry... Mujhe laga ki hum never have I ever khel rahe hai to kyu na puri feeling ke saath khele...
While Raavi and Jaimi were looking at each other ek yeh soch rahi thi ki ab Neel gaya aur ek yeh soch rahi thi ki Shiva ka gussa ab koi bardasht nai kar sakega...
Raavi (wishpers to Jaimi) - Yeh kya kar diya Neel ne... Ab Shiva ka gussa kon sambhalega...
Jaimi - Sahi kaha tune... Kya jarurat thi drink laane ki... Khud to fasega hi saath mein hume bhi fasayega...
Raavi - Haan... Ab toh bhagwan hi jaane kya hogq...
Shiva gives Raavi a glare and Raavi gets scare and stops in between and nervously smiles to Shiva
Shiva - Tu kya pagal hai? Yeh leke aaya... Pagal... Tujhe pata hai na ki mujhe yeh sab nahi pasand hai... Phir kyu leke aaya hai... Aur dikha to...(and takes bottle from his hand) Yeh to mahengi(expensive) hai... Itna bhi nahi pata ki mujhe yeh nahi pasand aur ab itni mahengi hai ki isey kahi daal bhi nahi sakte...
Neel - Ab tere paas to itne paise hai...
Shiva - Hai mere paas paise to iska matlab yeh nahi hota ki hum paise udate rahe... Paiso ko sambhal ke rakhna hota hai... Par nahi tere mein to dimaag hai hi nahi... Ek baat bata... Kitne mein becha(sell)?
He was asking that if he has sold his brain because he was talking like that
Neel - Maine nahi becha hai... Aur ab theek hai main rakh ne jaa raha hu...
Raavi -(wishpers to Shiva) Shiva main kya keh rahi thi ki Aaj ek baar drink kar lete hai naa... Aur waise bhi mera bhi to ek sapna tha ki main mere pati ke saath baith ke first drink karungi to mere liye aaj ek baar maan Jaa naa... (it was in my previous chapters when Raavi acted that she is drunk and after shiva was angry with her and then she gave him chocolate) Mere liye kar lo please...
Shiva - Par...(she looks at him with puppy eyes he saw towards Jaimi and Neel too they were also looking at him with puppy eyes) Theek hai...
Raavi/Neel/Jaimi - Yayy...
Neel - Ab ham game aaj start karenge yaa kal...
Shiva - Aaj hi...

Bhale hi Shiva ne keh diya ki woh game aaj start karenge par hum kal game start karenge... Agar pasand aaya ho to vote and comment jaroor karna... Aur agar ho sake to mujhe koi never have I ever game ke liye questions bhi suggest kar dena... Kuch samajh nahi aata hai iss liye...

SHAADI : COMPROMISE OR LOVEजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें