chapter 33.

451 46 45
                                    

Here is the new chapter….enjoy everyone…

(It's night time….daksh….his parents and juhi manas are in purvir’s room….all are discussing about something….vir is not there…he goes out for some work)

Purvi : (excited) hume kuch to krna  hogaa…

Juhi : (think and said) kahien bahar chalein…

Daksh : (sigh) haan chalte hain naa…phir tumhaare baba ki daant kaun khaaega…agar unhein bhanak bhi lagi naa ki purvi bed se uthi hai..wo bhi humne madad ki hai…to bas ulta latkaakr maarenge…

Manas : (scared) nahi…nahi…plan cancel…babbar sher se is maamle mein panga nahi….(all nodded)

DM : (smile) agar aaj raat ko kuch plan krein to…

Purvi : (nodded in no) time nahi hai maa…aaj mein to medicines lekr so gyi…so jldi plan bhi nahi ban paya….Ab to jo hoga kl tk hi hoga…

Daksh : (happy) theek….to decoration mein aur genda khargosh dekh lenge…aur khaane ka maa aur papa sambhal lenge…

Purvi : (smile) to ab ye subah nahi…kal shaam ko hoga….

Juhi : (confuse) kyun haathi…

Purvi : (naughty smile) aur usse pehle mukhiji ko koi bhi birthday wish nahi krega….sab ye dikhaaenge ki he kuch yaad nahi…..

Manas : (innocent) phir to…apne birthday ke din hi babbarsher humaari band bjaaenge….

Purvi : (laugh) bjaane do genda bhai….pr unhein hum sb surprise denge….(all nodded) chalo ab aap sab jaao…babbar sher aane waale hain…jldi jaao…(to DM) maa please unka khana yahine bhej dijiye…warna hume ptaa hai ki wo skip kr denge dinner…(she nodded and all move…soon daksh came there with food…and about to move) daksh…mujhe ek baat poochni hai…

Daksh : (came near her) haan bolo…

Purvi : (serious) mujhe ek baat ptaa krke bataaoge…(daksh nodded) college mein ek ladka hai raunak….ptaa nahi kyun jb us din accident hua..to wo kuch ajeeb bartaav kr rha tha…mtlb mujhe rokne ki koshish…wo mujhe mukhiji ke saath jaane nahi dena chahta tha…(daksh see her with serious look) tum bas ek kaam kro…us pr nazar rakhwaao…

Daksh : (serious) don’t worry mein dekhta hoon…tum bas kl ka dekho…baaki mein sambhal lunga…(purvi nodded and he move)

Purvi : (thinking) us din raunak mujhe jis tarah se rokne ki koshish kr rha tha…aisa lga rha tha jaise use in sbke baare mein pta tha..ki ye sab hone wala hai….us waqt to mera dhyaan nahi gaya…lekin ab…aaj jab mere kamre mein wo aadmi ayaa…to pta nahi kyun…wahi mehak aayi jo raunak ke us ajeeb se perfume ki aati hai…

FLASHBACK :

(Purvi is moving towards her class…suddenly raunak came and talk to her…she also talk to him…but she smells something different)

Raunak : (confusion) kyaa hua purvi…tum aise kyun kr rahi ho…koi problem hai kyaa….

Purvi : (nodded in no…but see here and there) nahi kuch nahi…bas ek ajeeb si mehak aa rhi hai…kuch bahut mild jaisi…

Raunak : (confuse) ajeeb…(then realise)  ooh…to tumhein mere perfume ki mehak aa rhi rhi hai…haan ye mild perfume hai…african brand hai…dad ne gift kia…

Purvi : accha…pr kuch ajeeb hai…kuch citrus jaisa fragrance hai…

Raunak : (smile) haan ye citrus hi hai….wahaan ka best perfume hai…tumhein bhi chahiye…

Purvi : (nodded in no) nahi..nahi…(then see time) chalo ab hum chalte hain exam ka time ho gya…(then she moved from there)

Purvi : (suspecious)  us din bhi wahi mehak…aur aaj bhi….agar himara shak sahi nikla naa…to hum us raunak ko chhodenge nahi…uski himmat kaise hui humaare mukhiji ke saath itna sb krne ki….(she is in her thoughts…..meanwhile a hand tap on her shoulder… she came out from her thoughts… and see the person…and a smile crept on her lips…she see vir there) aap aa gye…chaliye jldi se change kr lijiye…aapka khana humne yahien mangaa liya hai…

meri dhadkan mein.जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें