Continue....
In night 🌌....
Karishma's home 🏠...
( Karishma apne kamre me idhar udhar chal rahi hoti hai . Vo bed par bithati hai aur aaj jo kuch bhi hua vo use yaad aane lagta hai . Uski aankho me aansu hote hai 😢 ....)
Ks in mind....kya hum galat hai . Lekin humne kuch bhi janbujh kar nahi kiya . Ha hum Aarush se bahut pyar Karte hai . Lekin humne kabhi bhi use bhaiya bhabhi se dur karne ki koshish nahi ki . Ha hum mante hai ki humne aaj shayad kuch jyada bol diya par hume nahi samjh aaya hum kya bol rahe hai uss vakt . Kuch samjh nahi aa raha kya hum gakat hai ?.....( she said in mind cunfeauseingly....)
Ps : ha.... Galat hai aap .....( she said standing on the door.... and listening this ks look at her..... Pushpa walks towards her and sit next to her.....)
Ks : amma...aap.... ( she said weakly smiling...... )
Ps : pata chala hume aaj kya hua vo.... samdhan ji ka phone aaya tha . Kya lagta hai aapko, aap ne jo kiya vo sahi hai....( smilingly....)
Ks : hume nahi pata amma.....( she said looking down....)
Ps : hume pata hai aap Aarush se bahut pyar Karti hai . Vo aapke liye aapke sage bete se badh kar hai . Lekin ms ki baat bhi to sahi hai . Aap uski har jidd puri karti hai . Jo ki galat hai aur aap uski jidd puri karti hai isliye vo aap hi se jidd karta hai . Kyuki use pata hai uski maasi maa use kabhi mana karegi hi nahi par kya ye sahi hai . Kabhi kabhi samne vale ke bhale ke liye na kehna bhi jaruri hota hai . Bhale hi thodi der ke liye use bura lage,ruth kar baith jaye par usse usi ka fayda hoga na....
Aapko pata tha na ki aap ki bhabhi Aarush ko ice cream ya mitha khane nahi deti hai . Phir bhi uske jidd karne par aapne use khilaya . Vo to ek bachha hai . Uski demand kabhi Puri hogi hi nahi par aap to samjhdar hai na . Agar aap use kal mana karti to kya hota thodi der ke liye vo aapse ruth jata par baad me maan bhi jata . Yahi sahi umar hoti hai bachho ki , unhe sahi aur galat samjhane ki . Agar abhi se uski sari jidd puri huyi to aage jakar bhi vo aise hi jidd karega . Aur madam sir yahi sikh dena chahti hai use . insan ko agar koi chiz aasani se mil jaye to use uski kimat nahi rehti. Par khud ki mehnat se mile to uski kadar jarur rehti hai .bataya tha ms ne hume Ananya bachpan se bahut samjhdar hai . Use ye sab jyada sikhana nahi pada tha vo khud sikh gayi . Par Aarush ke sath aisa nahi hai vo alag mahol me bada hua hai aur jyadatar aapke saath raha hai . Isliye kuch aadate isme aapki tarah hai . Lekin unhe sudharna bhi to hume hi pade ga na .
Aur kya kaha tha aapne ki ms Aarush ko aapse dur karna chahti hai sach me aapko aisa lagta hai . Agar aisa hota to kya vo jab Aarush teen saal ka tha tab use aapke paas chodkar mission par jati . Vo samjhti hai aapko aapke Aarush ke prati pyar ko . Kya kabhi bhi unhone aapko Aarush se judi kisi chiz ke liye mana kiya hai ..... ( smilingly teary eyes and ks nodded no....) ...... to phir.....( Listening all this karishma remember aal that and understand her mistake . Tears continuesly flowing her eyes 😢......)
Ks : h...hum galat the.... amma hum galt the... humse kitna bada galti ho gaya. Hum kaise maafi mange bhabhi se..... ( she said cryingly 😥 and huge her....)
Ps : bhabhi hai vo aapki . Aur usse pehle bhi aapki dost vo aapko aapse jyada janti hai . Aapne abtak itani galtiya ki hai unke liye unhone maaf kiya to ye to kuch bhi nahi.....(.last line she murmured herself but ks listen this and angrily 😠 separate ......)
Ks : kya kaha aapne..... ( glaringly.... and pushpa scared 😰.....)
Ps : k...kuch bhi.....to nahi..... ( she said nervously smiling....)
YOU ARE READING
anuseena ki beautiful love story ❤️
Randomye kahani do premiyo ki hai jo mil kar bhi nahi milate .bahot sari problem's aur duriyon ke bad ye dono ek honge ki nahi ye aap khud hi dekh lijiye . kya ye dono ek honge kya hoga kismat ka likha . this is my first story so please hamse koi truti(mi...