Chapter 1

2.6K 70 3
                                    

Main characters
Tejasswi
Karan
Shivin
Other characters you guys will know through the story.

1
It was bright day...all students were waiting for the lecture to end.. so they can go outside.. and have some fresh air..
Karan looks at his left.. Shivin winked at him aur apni notebook uske aage rakh deta hai.. woh usse dheyaan se dekhta hai "Tejasswi ki taraf dekh kar bata.. woh idhar hi dekh rahi hai kya??"
Yeh padh kar Karan apni aankhein badi karke usse dekhta hai.. Shivin usse dobara padhne ko bolta hai.. jiska matalb tha ke woh usse convince kar raha tha dekhne ke liye... Karan thoda idhar-udhar dekhta hai.. aur phir peeche ki or..  then wapis Shivin ko dekhta hai... aur uss notebook par "yes" likh deta hai..
Yeh padh kar Shivin disappoint sa lagta hai aur woh lecturer ki taraf dekhne lag jata hai.

Class khatam hote hi.. Shivin, jaldi se Karan ko khda karta hai aur bahar jaane ki jaldi karta hai.. isse pehle woh jaa paate.. Tejasswi uske paas aa jati hai.. aur Shivin, Karan ko ek terrible look deta hai.. ke usne jaldi se bag pack kyu nahi kiya?
"Kaise ho Shivin???" Woh immediately sawaal karti hai.
Shivin kuch nahi bolta bas expression se theek hai kehta hai.. jo har deaf aadmi samjh sakta hai.
"Toh canteen chalein kya???"
Yeh sun kar Shivin, Karan ki or dekhta hai jo bench par baitha un dono ko hi dekh raha tha "Nahi... actually, Karan ko meri zaroorat hai... aur tum toh jaanti hi ho.. ke yeh mujhe lekar kitna possessive hai... aur kafi time ho gya hai.. hum dono ne time spend nahi kiya!!!"
Uska ishara paate hi Karan bhi haan mein sir hilaata hai..
Tejasswi smile karte huye Karan ko dekhti hai "Please Karan.... just one more day?? Aaj ke baad Shivin tumahara..!! Kya main isko canteen mein lekar jaa sakti hoon?? Please?? Tum bhi sath aa sakte ho.."

Karan tabhi haan kar deta hai aur seconds mein khda ho jata hai "chalo... chalein!!!"
Aur Shivin usse boht deadly look deta hai.. Karan usko dekh leta hai aur avoid kar deta hai.. usse pta tha ke aaj uska murder hone wala hai... mark the date 30 October.. Karan's death day.
Aur woh teeno Canteen mein aa jate hain...
Shivin ki entry hote hi... music on ho jata hai.. aur uske ooper kafi sare balloons shower kiye jate hain...
aur Tejasswi aage badh kar Shivin ko gale se laga leti hai.. "Happy Anniversary... Shivin, it's been 5 years... to us" aur woh uski gaal par kiss karti hai.
Jin logon ne music bajaya tha.. woh Tejasswi ke dost the... Shivin had only one friend... Karan!!!
Jisne usse kabhi aisa surprise nahi diya tha.
Shivin smile karta hai aur woh bhi Tejasswi ko wish karta hai, aage badh kar woh dono ek 5th anniversary wala cake cut karte hain.. Karan bakiyon ke sath mil kar clapping karta hai aur photos bhi click karta hai.
They both looked so happy and very romantic!! Karan bhi un dono ko congratulate karta hai..
He was witness of their love story.. school se lekar tuition tak... ghar se lekar mall tak.. he was the medium... of their communication. aur ab college mein bhi.. woh dono sath the.. it's good.
Un dono ka toh planned tha.. jaise hi Shivin ko job milegi, woh dono shadi kar lenge!! And here is Karan.. with 0 girlfriend as usual, he used had one... but not anymore.
Shivin, holds Tejasswi's hand.. and kissed. "Thank you so much for this surprise.."

"I love you Shivin... 5 years complete.. more to go..." she hugged him immediately.

Karan was busy eating that cake.. there was this girl called Anusha,
She sits in front of him... and smiled at him. Karan smiled back.
"So... tum Shivin ke best friend ho?"

"Haan... tum Tejasswi ki dost ho naa??"

"Best friend hoon..." she corrected him.
Karan kuch nahi bolta
But she was beautiful.. woh black kurti mein, khule baal... thodi c kanchi aankhein, Karan noticed.
"So.. Karan, tum poora time Shivin ke sath chipke kyu rehte ho?? Tell me honestly Is he Gay???"

Yeh sunte hi Karan cake khana band kar deta hai aur ghoor ke usse dekhta hai "Nahi... hum ek hi college, ek hi school, ek hi gali mein rehte hain.. toh poora din sath hi rahenge... Ismien Gay wali kaunsi baat hai??"

Anusha bina kuch bole wahan se uth kar chali jati hai.. aur Karan uske jate hi ek gaali deta hai, apna gussa nikaalne ke liye.. tabhi Shivin aur Tejasswi uske paas aa jate hain..
"Cake acha hai naa Karan???" Shivin asked in sarcasm.
Karan haan mein sir hilaata deta hai.
Tabhi Tejasswi usse Anusha ke bare mein poochti hai... ke kya huya woh thodi upset lag rahi thi, toh Karan usko Gay wali baat batata hai.. jise sun kar Shivin ki toh hassi aa jati hai.. aur woh chidhaate huye Karan ko bolta hai "aww, meri personal girlfriend ko bura lag gya??"
Yeh sunte hi Karan... apna jootha cake Shivin ke mooh par maarta hai "yeh le... aaya bada mera boyfriend banne wala!!"

Aur Shivin bhi uska sir baalon se pakad kar bache huye cake par thop deta hai "apne hone wale pati se aise baat karte hain..," itna keh kar woh bhaag jata hai kyon ke ab jo Katan karega.. usse Shivin ko koi nahi bacha payega.. toh apni protection khud hi karni padegi!!!
Tejasswi ko yeh sab funny nahi lag raha tha, usse tension ho rahi thi aur she was feeling yuck!!! To their conversation...
Karan wahan padi sauce ki bottle lekar uske peeche bhaagta hai as soon as woh apni aankhein saaf karta hai..

Shivin men's washroom mein tha.. aur Karan bhi wahin par.. they were cleaning their faces.. and laughing at the same time!!
Woh dono class ki or jaate hain..
"Saale.. tu lucky hai.. tujhe galti se itni achi ladki mil gyi!!!" Karan praised.
"Itni hi achi lagti hai toh tu pattaa le usse" yeh keh kar Shivin hass deta hai.
Class mein aate hi.. woh Tejasswi ko dekhta hai toh uski hassi udd jati hai, woh thoda gusse mein lag rahi thi, iska idea lagaate hi Karan wahan se khisak jata hai..
Shivin ko naa chahte huye bhi uske paas jana padta hai..
"I am sorry Teju, jo bhi Karan ne kiya... it won't happen again...! I know woh hamara Anniversary cake tha.. main usko samjhaoonga, aur Anusha ko usne aise mooh fatt hokar jawaab diya uske liye bhi main maafi maan loonga usse!!! Tum gussa mat karo bas!!"
Tejasswi kuch nahi kehti bas ek smile kar deti hai...
Par uske chehre se saaf pta chal raha tha, it was something else jiski wajah se woh preshaan thi.

Not a Fairytale (Tejran)Where stories live. Discover now