Naira - ye to gaurd uncle ka call hai..
Naira picks up the call..
Naira- kya hua itni raat me call kyu Kiya uncle..
Gaurd- beta neeche bahar tum se koi Milne aaya hai..
Naira- okay Mai aati hu.. kaun hai lekin..
Gaurd- pata nahi koi drunk hai..
Naira- hey bhagwan aati hu..
Naira cuts the call..
Naira goes out of her hostel..
She looks at Kartik who was drunk..
Naira- hey bhagwan ye .. drunk hai.. yaha kyu aa Gaya..
Naira goes near Kartik..
Naira- kartik tum drunk ho tum ne drink kyu ki..
Kartik- o please lectures Mat do..
Naira- kartik kya hai aise drunk ho kar yaha kyu aaye ho..
Kartik- wo jwellery de do na mujhe please Mai abhi jaunga mall jwellery wapis karunga 8 lakh rs wapis lunga fir Ghar jaunga or papa ko paise dunga .. bahot sunaya hai unhone mujhe.. unko bada attitude hai apne paiso ka .. mujhe unka 1 Paisa bhi use nahi karna ..
Naira- kartik itni raat ko mall khula nahi rehta abhi tum drunk ho Ghar jao.. kal college me milenge to tumhari jwellery de dungi Mai..
Kartik- nahi mujhe mere papa ko batana hai ki i don't need his money for my luxury life.. i don't need him.. unko pata nahi kyu itna attitude hai..
Naira- accha really tum ko tumhare papa ko ye batana hai ki you don't need his money for your life style ..
Kartik- ha..
Naira- Naa .. galat.. you need him.. infact every child is dependent on parents.. arey bachpan se lekar Aaj Tak unke paiso ke khaya hai tum ne .. unke paiso ke kapde pehne hai.. sab kuch jo hai tumhare paas sab unhone Diya hai tum ko kartik.. or Aaj tum ye attitude show karoge unko.. kitna bura feel hoga unko tum ko aise drunk dekh kar or usse bhi zyada bura feel hoga unko tumhari baato se..
Kartik- unhone mujhe thappad mara mujhe mara .. Maine kya galat Kiya tha Maine tumhari help ki thi..
Naira- unhone aisa nahi kaha hoga na ki tum ne meri help kar ke galat Kiya kyuki unko pata hai ki tum galat nahi they fir bhi gusse me unhone ager hath utha bhi Diya to kya papa hai wo tumhare.. parents baccho ke liye kya kuch nahi karte.. parents baccho ka kharcha uthate hai rehne ke liye sir pe chat dete pyar dete hai khana dete hai apne bacche ki her khwashi poore karte hai.. sacrifices karte hai.. parents baccho ki zimmedari uthate hai unke nakhre uthate hai.. or pata nahi kya kya karte hai lekin baccho ko yaad rehta hai to bas unka gussa.. tum keh kaise reh ho ki you don't need your father.. papa ne gussa Kiya to tum ne drink kar liya wo bhi unke hi paiso ki .. wow.. lekin tum ko tumhare papa ki zarurat to bilkul bhi nahi hai.. wow..
Kartik- naira bas please..
Naira- sach kadwa hota hai.. chubh Raha hai..
Kartik- naira..
Naira- kartik..
Naira holds Kartik's hand..
Naira- Ghar jakar apne papa se sorry bol Dena .. please.. tum bologe na..
Kartik- hmm.. Mai bol dunga sorry lekin jab bhi wo mujhe galat kehte hai to mujhe gussa aa jata hai..
Naira- parents kabhi apne baccho ke dushman nahi hote kartik.. wo na tum ko galat isiliye kehte taaki koi or kabhi tum ko galat na keh sake.. wo na chahte hai ki tumhari life me sab perfect ho.. or wo gussa isiliye karte hai kyuki tum jaise ho us tarah reh kar kuch perfect life jee nahi sakta..
Kartik- accha what do you mean..
Naira- ab dekho abhi tum ko drunk dekh kar gussa hi karenge wo kyuki wo nahi chahte ki unke bete ki life choti ho jaaye.. padhe likhe ho tum jante ho na alcohol is bad for health log marte hai nashe ki wajah se.. tum marna to nahi chahte hoge na or wo tumhari biking speed bhi unko acche se pata hogi unko chinta hoti hogi tumhari ki high speed ki wajah se accident.. isiliye gussa karte hai wo tum per.. unke gusse me gussa nahi dar hai..
Kartik- Mai ab bike tez speed me nahi chalata tumhari baat maan kar.. ha wo jab gusse me tha tab full speed me Aaj bike chalayi thi..
Naira- ye to acchi baat hai ki tum ne meri baat maan li ab meri ek or baat maan Lena.. Aaj ke drink kabhi mat karna.. Or kisi or tarah ka koi Nasha mat karna please..
Kartik- i like smoking or mujhe alcohol bhi pasand hai club me yehi to hota hai it's fun..
Naira- ha bilkul sahi kaha tum ne it's fun zindagi mazak hi hai kyuki life ka sach hai death.. or koi bhi marna nahi chahta.. to tum kyu aisi harkate karte ho jisse tumhari life ..
Kartik- okay theek hai Mai nahi karunga drink ab se Mai smoke bhi nahi karunga..
Naira- ha bilkul mat karna please...
Kartik- ab Ghar jau..
Naira- God knows tum nashe me bike per aaye kaise ho Mai Ghar drop kar deti hu ab tum ko..
Kartik- nahi Mai chala jaunga..
Naira- just shut up chalo chup chap..
Gaurd - lekin naira tum kaha ja Rahi ho raat ko hostel se nikalna is not allowed.. warden mam bahot strict hai..
Naira- arey please..
Naira goes and sits on Kartik's bike..
Kartik- tum ko bike chalani aati hai..
Naira- ha aati hai Baith jao..
Kartik sits behind Naira..
Naira- pakdo mujhe.. girna mat..
Kartik- hmm..
Kartik holds Naira's waist..
Naira starts the bike..
Naira- tumhara Ghar kaha hai mendhak..
Kartik- pehle tum mujhe mendhak mat bolo to batau.. tameez se baat Karo na ..
Naira- frog Prince please bataiye aap ka mahal kaha hai..
Kartik- goenka villa.. civil lines road per .. pull start hone se pehle.. corner me ..
Naira- o bas samajh gayi..
Kartik tighten his grip on Naira's waist..
A speed breaker comes due to which Kartik's hand touches on Naira's boobs..
Naira- kya hai kayde me raho na..
Kartik- tum ko kya lagta hai jaan buch kar Kiya Maine..
Naira- God knows..
Kartik- arey ..
Naira- Jaan buch kar nahi Kiya hai to bhi sorry hi bol do yaar..
Kartik- kyu sorry bolu jab Maine jaan buch kar kuch nahi Kiya hai..
Naira- manners kartik manners wo bhi sikhau ab..
Kartik- tum meri teacher nahi ho mujhe itna gyaan kyu deti ho..
Naira- kash hoti to sudhar deti tum ko..
Kartik- really..
Naira- ha..
+++++++++++++++++++++++++++++++++
YOU ARE READING
Pyar To Hona Hi Tha
RomanceA love story full with betrayal anger revenge Tashan cuteness and finally love.. Kartik and Naira are completely different personalities who fall in love due to Destiny...