ch 77

322 29 1
                                    

Wo ab tak use sab ek darmyan se nikaal raha tha. Mulazmeen aur guards ke darmyan Jung si chidh gayi thi. Murad ko kisi ki kohni lagi toh kisi ka thudda. Shaheer ko toh baqaida pankhe ki raftaar se chatachat chaante lagaye jaa rahe the. Koi kursi phenk raha tha toh kisi ne kisi ko sar per utha rakha tha. Umar chilla raha tha ke usne selena ki madad ki hai lekin filhaal use wahan koi nahi sun raha tha. Guards gusse mein the. Unhone haath lagane ki himmat kaise ki unki "beauty queen" ko.

Un dono ne ek pal ke liye palat kar dekha tha. Guards ko dekh kar selena ki aankhon mein fikr si utri thi albatta yasir sirf muskuraya tha. Guards ka andaaz hi aisa tha ke ye manzar dekh kar kisi ko bhi hansi aa sakti thi. Usne yasir ki muskurahat hansi mein badalte dekhi toh hairaan hui.

"Tumhe hansi aa rahi hai?"

Usne puch hi liya. Wo ab chehra pher kar hans raha tha.

"Haan."

"Tumhein un sab ko rokna chahiye aur tum hans rahe ho!"

"Ladkon ki ladaiyon mein kabhi unhein calm down nahi kiya karte. Ye ladka hone ke naate usoolan ke khilaaf hai."

Usne gardan pher kar dekha. Ek guard ne murad ko jakad rakha tha aur dusra use sofe per rakhe cushion se dhama dham maar raha tha. Use beiqtyaar hi hansi aayi thi. Haweli ke sehen mein aankalne ke baad wo muda. Bas lamhe bhar ke liye. Phir usne angushte shahadat (index finger) aur angothe ke dayira bana har ek zordaar seeti (whistle) maari. Guards uski seeti pehchante the. Usne haath se unhein wapas palatne ka ishara kiya tha.

Sirf das minute reh gaye hain. Ek minute bhi late hue toh hum sab ki job ek saath jayegi."

Usne kaha. Guards ek saath hi bahar ki jaanib bhaage the. Saahir ne apna hawa mein tana hua mukka multawi kar diya aur tezi se guards ke rally ke saath bahar nikla. Usne bhi selena ko saath liya aur tezi se muda. Wo uske saath kheenchti chali jaa rahi thi. Guards ab hans rahe the. Wo jo subha apne baalon, tieyon, aur coat ko saleeqe se jama kar aaye the. Ab unhein dekhne per kisi aur hi cheez ka gumaan hota tha.

Baal bikhar chuke the. Coat ke button kheencha taani mein toot kar idhar udhar gir gaye the. Tie apni jagah se hat kar bahar gir rahi thi. Balke ek ne toh tie aage coat ki jeb mein daali hui thi. Guards ab uski tie ki jaanib ishare karte hans rahe the. Selena bhi yakdam hans di thi. Wo saath chalta hua sirf use hanste hue dekh raha tha. Gaun wale muh mein ungliyan dabaye, un siyaah coat mein malboos naujawanon ko hairat zada se dekh rahe the. Un naujawanon ko kisi baat ki parwah nahi thi.

Gaadiyon mein baithne tak har ek apne gharon se chehre bahar nikaale unhein dekh raha tha. Gaadiyan ek hi andaaz se ghoomi aur ek hi raftaar se gaun ki hudood se nikli thien. Wo uske saath front seat per birajman thi. Wo ab tak guards ki haalat per hans rahi thi. Wo drive karte hue us per gaahe bagaahe nigaah daal raha tha. Kuch pal baad uski hansi simti toh khayal aaya ke usne yasir se maafi nahi maangi hai. Wo ek faisla karke nishast per uski jaanib ruq karke baithi aur phir ek lamba saans liya. Wo uske aise karne per besaakhta hi use dekhne laga tha.

"Mujhe pata hai meine tumhe istemaal karke bohot galat kiya. Uncle ne mujhe jis guard ka bataya mein use nahi jaanti thi. Mujhe nahi pata tha ke dusri jaanib tumhare jaisa koi saabit kadam insaan hoga. Mein awwal dino mein is plan ki baabat tumhe batana chahti thi lekin mujhse nahi bataya gaya. Mujhe tum se dar lag raha tha. Tumhare radde amal se. Tumhare darmyan mein kaam ko chod jaane se. Isi liye meine aur salman uncle ne tumhe batane se parhez kiya. Jab tumhe pata chala aur jin haalat mein pata chala. Aisa lagta hai ke meine tumhe kisi galat niyyat se istemaal kiya tha. Lekin aisa nahi tha. Meri niyyat kabhi kharab nahi thi. Mein tumhe kaam ke pure paise dene wali thi. Iski raqam meine salman uncle ke saath tay ki thi. Lekin aisa mumkin nahi ho saka kyunke tum baba se apne paison ki baat kar chuke the aur."

Carpe Diem (Rabia Khan)Where stories live. Discover now