Surkh haweli waisi hi thi. Sheher se dur. Unke baap ki qadeem aur kayi raqbon per phaili haweli. Car ruki. Uske saath hi kayi gaadiyan aur bhi ruki thien. Selena ko baalon se pakad kar shaheer ghaseet ta hua ander laa raha tha. Dopahar ka suraj puri tarah se tamtama raha tha. Khunki (coolness) mein bhi ghutan ka ehsaas khaasa gehra tha. Haweli ke pehle taweel sehen mein kayi mulazmeen maujood the. Agla hissa paar karne ke baad khawateen ke hujre shuru ho rahe the.
Usne aankhein ghuma kar dekha. Ghar ki auratein haweli mein maujood thien. Kya wo sab uski izzat ka tamasha dekhne aayi thien. Dono tayiyon ke chehron per apne liye zeher alood taasuraat dekh kar use laga uska dil khauf se sukad kar phail raha hai. Use samajh nahi aa raha tha ke aakhir ho kya raha tha.
Shaheer ne laa kar use lounge mein phenka tha. Wo bandhe haatho ke saath tawazun barqaraar na rakh saki aur dur jaa giri. Uska sar zeenon ki railing se takraya tha. Raheema ne aage badh kar uske labon se patti nochi thi.
"Kya. Kya chahte hain aap log?"
"Tum umar se shadi karo. Hamare bhai ne hum se ghaddari karke tumhare naam tentees feesad shares kiye aur hamari jaddi-pushti (hereditary) zameenein bhi tumhare hawale kar din. Tumhe is baat ka ab tak ilm nahi tha nahi toh tum dono hum se apna haq maangne zaroor aatin. Ab meri baat gaur se suno ladki. Tum in kaagzaat per sign insaaniyat ke saath kardo. Aur apni us maa ko bhi raazi Karo sign karne ke liye. Nahi toh hum tumhe is haweli se zinda jaane nahi denge."
Murad aankhon mein shadeed nafrat liye uske saamne painchon ke bal baitha keh raha tha. Usi peher umar ki car ruki. Wo bhaagta hua ander dakhil hua lekin shaheer ne aage badh kar use rok liya. Usne bebasi bhare gusse se unhein dekha tha.
"Mujhe. Mujhe aap logon se kuch nahi chahiye, taya." Uski aankh se aansu toot kar gira tha. Buri tarah ghaseete jaane ke baais uske zakhm mein betahasha takleef hone lagi thi. "Mein aap se kuch nahi lungi. Umar mera bhai hai. Mein usse shadi nahi kar sakti. Mein har kaaghaz per dastaqat karne ke liye tayyar hun. Mujhe jaane dein bas."
Usne rundhi awaaz mein kaha tha. Wo wahi paanch saala selena ban gayi thi jo apne taya ke saamne kisi baat ka inkaar nahi kar sakti thi. Use laga wo mazeed boli toh ro degi.
Murad ne ek pal ko use mashkook sa dekha.
"Kya waqai?"
"Ji. Taya. Aapko mere saath ye sab karne ki zarurat nahi thi. Aap mujhe mohabbat aur narmi se kehte tab bhi mein dastaqat kar deti. Aapko itna jaanwar banne ki kya zarurat thi?" Kuch kaat si thi uske aakhri jumle mein jo murad ko silga gayi thi. Usne zabt kho kar use chaanta lagaya tha. Uska hont phat gaya tha. Usne zakhmi aankhon se chehra pher kar use dekha tha.
"Agar use pata chal gaya ke aap ne mujhe maara hai. Toh wo aapki Jaan le lega, taya."
Usne kaha. Awaaz mein thandak si thi. Murad ki aankhein na samjhi se sukdin.
"Kon? Kis ki baat kar rahi ho?"
Haath peeche bandhe the aur chehre ke aitraaf mein bikhri bikhri si latein gir rahi thien. Chehre per jabaja aansuon ke nishan se the.
"Wo aapko jaan se maar dega."
Murad ne agle hi pal use ek aur thappad maara toh wo peeche ki jaanib ludkhi. Umar ne shaheer ko puri quwwat se dhakela tha. Phir selena ko utha kar apne saath khada kiya. Murad ko usne beyakeen aankhon se dekha tha.
"Jab wo keh rahi hain ke kaagzaat per sign kar dengi toh aap inhein Kyun bilawajah tashaddud ka nishaana bana rahe hain?" Wo chillaya tha. Selena uske sahare khadi thi.
"Ye sign kar degi lekin iski maa sign nahi karegi. Humein dono ki razamandi chahiye. Dono ke dastaqat chahiye. Agar tum ne isse shadi nahi ki toh majbooran mujhe hi apne kisi bete se iska nikah zabardasti karwana padega. Nikah ke baad iski maa ko blackmail karna asaan hoga. Wo humein aise hi sign nahi karke degi."
YOU ARE READING
Carpe Diem (Rabia Khan)
Storie d'amoreCarpe Diem is an Urdu novel written by Rabia Khan.