Wo armaan ke ghar chala aaya tha. Sab lounge mein hi birajman the. Use dekha toh besaakhta hi uth khade hue.
Haath ki jild phati hui thi, libaas bheega hua tha, baal maathe per bikhre the, aasteenein usne peeche ki jaanib mod rakhi thien aur coat haath mein liya hua tha. Safed dress shirt per zakhm khulne ke baais bohot sa khoon laga tha. Haneefa aur salman dono beiqtiyaar hokar uski jaanib badhe the. Wo aage nahi badh saki. Dada bhi uth kar aage badhe the.
"Yasir ye sab...! Tumhara zakhm!" Salman ki fikrmand si awaaz per usne sar hilaya tha. Uski aankhein takleef ke baais gulaabi ho rahi thien.
"Zakhm ki patti kharab ho gayi hai. Mein theek kar leta hun abhi."
"Tumhari haalat theek nahi lag rahi mujhe. Kahan gaye the tum?" Haneefa ne pucha tha.
"Ek zaruri kaam tha." Usi sanjeedgi se kaha. Wo dono behad pareshan hue the.
"Aisi haalat mein kya zaruri kaam aa pada tha! Aur agar kaam tha bhi toh kya wo kisi aur waqt nahi kiya jaa sakta tha?" Salman ki daant per wo sar jhuka kar reh gaya tha bas. Phir unhein sar hila kar dhiraj rakhne ka ishara kiya. Aur aage badh aaya. Uski kadmon mein halki si larzish thi. Selena ko ek nigaah dekhe bagair hi wo armaan ke kamre ki jaanib badh gaya tha. Peeche wo teeno fikrmandi se ek dusre ko dekh kar reh gaye the.
"Kya humein doctor ko nahi bulana chahiye?" Sardar ki bechain si awaaz ubhri thi. Un dono ne sar hilaya tha.
"Wo nahi maanega. Usne kaha hai ke wo patti khud karega toh wo khud hi karega. Sir aap so jayein. Aisa na ho ke aapki tabiyat kharab ho jaaye." Salman ke kehne per unhone ek muztarib si nigaah uske kamre per daali aur phir sar hila kar apne aarzi kamre ki jaanib badh gaye. Wo dono ab fikrmandi se selena ki jaanib dekh rahe the.
"Mujhe uske peeche jaana chahiye. Wo meri wajah se zakhmi hua hai."
Haneefa ne use aage badhne se rokna chaha toh salman ne unhein rok diya.
"Wo pehle hi uski taraf se bohot pareshan hai. Karne do uski madad." Aur wo bebasi se chup reh gaye the. Selena ne aage badh kar uske kamre ka adh khula darwaza bajaya. Wo nahi palta. Jaanta tha ke kon hoga. Wo jawab na milne per bhi aage badh aayi thi. Wo ab safed dress shirt ke button khole, zakhm per rui rakhe hue tha. Takleef ke baais daant jama rakhe the. Usne bhaari hote halaq ke saath, aage badh kar uske haath se rui li thi. Usne aankhein khol kar use dekha. Selena ki aankhein zabt ke baais gulaabi thien aur uski zakhm mein hoti shadeed jalan ke baais.
Usne use nahi roka. Maide se neeche, qadre ek taraf gehra sa zakhm tha. Uske seene per uper tak safed pattiyan bandhi thien. Wahan mehez ek zakhm nahi tha. Bas taza zakhm tha jo takleef de raha tha. Baaki ke zakhmon per patti baandhi thi. Usne un zakhmon se nazrein churayi thien phir rui ko narmi se uske zakhm per rakha. Takleef per wo phir se aankhein band kar gaya tha. Ab wo rui per dawai lagaye, uske zakhm per rakh rahi thi. Uski halki si karaah ubhri. Selena ki aankh se aansu gira. Lekin wo bilkul Khamoshi se uske zakhm per marham rakhti jaa rahi thi. Ab wo halka sa jhuk kar uske zakhm per patti laga rahi thi. Halaq mein aansu zabt karne ke baais takleef ho rahi thi. Aur phir patti Kam padne per wo palti aur first aid box se mazeed patti nikalne lagi. Jab palti toh kayi aansu ruqsaron per bilkul Khamoshi se beh rahe the. Usne haath aage badhaya lekin Yasir ne uski kalai thaam li. Wo ruk kar use dekhne lagi thi.
"Kya. Haal kar liya hai. Tum ne apni aankhon ka!" Dard ki shiddat ke baais awaaz phati phati si thi. Use jaise uske aankhein dekh kar behad afsos ho raha tha.
"Theek toh hain." Nazrein chura kar mutawarrim si awaaz mein kaha. Saath hi geeli saans bhi ander ko kheenchi. Wo use dekhta raha. Kalai ab tak uske haath mein qaid thi.
"Idhar dekho." Narmi se kaha tha. Selena ne use dekha. Uski palkein itni bheegi hui thien ke wo chand pal use bilkul chup hua dekhta raha tha.
"Kya hua hai?" Usi narmi se pucha. Wo use shikwa kuna nazron se dekhti rahi.
YOU ARE READING
Carpe Diem (Rabia Khan)
Storie d'amoreCarpe Diem is an Urdu novel written by Rabia Khan.