Chapter 59 - The Drunk Son

261 26 19
                                    

One night, Guddan wakes up to find Akshat absent from the room. She gets worried and hurries downstairs to find Akshat pacing up and down the hall.

Guddan (yawning) - Aapko neend-weend nahin aati kya........ Adhi raat ko bhooton ki tarah bhatak rahe hain yahan wahan......
(taunting tone) Yeh dole-shole banaa liye iska yeh matlab nahin ki aapko neend ki zaroorat nahin........ (almost dragging him) Chaliye sone.......

Akshat (serious tone) - Tum chalo....... Main aata hun thodi der mein........

Guddan reckons the seriousness in his tone.

Guddan (worriedly) - Koi pareshani hai? Kuch hua hai kya?

Akshat (irritatedly) - Hona kya hai, humesha ki tarah laparwahi......... Raat ke 3 baj rahe hain......... Abhi tak Rahul aur Saru Bahu ka koi ata pata nahin.......... Pata nahin kahan reh gaye.........

Guddan - Kya pata nahin? Bata ke toh gaye thhe dono ki doston ne reunion party rakhi hai........ Aa jayenge........

Akshat - Aana hota toh aa jaate..... I know Rahul, ek baar dost mil jaaye phir waqt ka khayal hi nahin rehta usko........ "Bas kuch der aur, kuch der aur" yahi kar kar ke ghadi dekhna bhul gaye honge janaab..........

Guddan (almost laughing) - Aap bhi na...... Bachhe thodi na hain....... Aaa jayenge........ Aur itne dinon baad toh dono kisi party mein gaye hain, thoda enjoy karne dijiye.......

Akshat - Bachchon ki tarah harkaten karna band kare tab na....... 3 baj rahe hain........ Aisi kaisi party chal rahi hai 3 baje tak........ Enjoy karein, zaroor enjoy karein....... Maine kab mana kiya ki enjoy na karein, par waqt kabhi khayal rakhein..... (pauses, low voice, looking away) Aur waise bhi jab tak ghar ke saare log sahi salamat apne apne kamron mein naa hon, mujhe neend nahi aati.........

Guddan smiles looking at her concerned husband.

Guddan - Agar itni hi fikar ho rahi hai toh call kar lijiye na?

Akshat - Kisiko phone uthane ki fursat ho tab na........ Laparwahi ki bhi had hoti hai......

Guddan - Acha acha aap shant ho jaiye, aate hi honge bas........

Guddan's phone rings upstairs.

Guddan - Dekha, phone bhi aa gaya....... Hum dekh ke aate hain......

As Guddan runs upstairs and picks up the call, a worried voice makes her concerned.

Saraswati - Sasumaa, AJ toh nahin hain na aapke saath...... Please unhe pata nahin chalna chahiye ki main hum call par.... Please.......

Guddan - Nahin par aap itni pareshan kyun hain. Ek minute......

Akshat (shouting loudly from downstairs) - Kiska phone hai Guddan?

Guddan (rushing to the balcony, slow voice) - Kya hai? Itni zor se kyun chilla rahe hain........ Jo log ghar mein hain, unhe toh sone dijiye....... Maaji uth jaayengi.......

Akshat asks in sign language, "who is calling you?".

Guddan (slow voice) - Uff ho...... Dheere bhi toh puchh sakte hain...... Ishara karne ki kya zaroorat hai...... Chhutki ka phone hai.....

Akshat (whispering) - Itni raat ko......

Guddan (slightly louder voice) - Woh kya hai na, usse bhi aapki tarah neend nahi aa rahi....... (intensional loud tone, going back to the room) Haan bol Chhutki........(low voice) Haan boliye Saru Bahu.......

Saraswati (worried voice) - Woh...... Woh Rahul ne kuch zyada hi sharab pi li hai.......... Aur yahi ratt lagaye baitha hai ki Papa ko nahin pata chalna chahiye........

Guddan and Akshat - Made for Each Otherजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें