Chapter 21 - The Relation

618 50 35
                                    

One morning, Kishore is leaving for work.

Guddan - Kishoreji, humein aapse kuch baat karni thi.

Kishore - Kahiye na. Kya baat hai?

Guddan - Aaj sham ko, Rahulji Saru Bahu ko aur Vardhaanji Lakshmi Bahu ko bahar lekar jaa rahe hain, shopping karne aur movie dekhne. Aap bhi Durgaji ko kahin bahar le jaiye na. Kitne din ho gaye, aap log kahin bahar nahi gaye. Aur aajkal aap dono hi apne apne kaamon mein itne busy rehte hain ki aapko saath waqt bhi nahi milta hoga. Hai na?

Kishore - Aap baat toh sahi keh rahi hain. Jabse Rahul ne apna alag se kaam shuru kiya hai, mere hisse kaa kaam badh gaya hai. Main koshish karunga aaj jaldi free hone ki.

Guddan - Koshish nahin, aap promise kijiye humse, aaj aap Durgaji ko pakka bahar ghumane leke jayenge.

Kishore (smiling) - Thik hai. Promise. (and he leaves)

In the evening, Lakshmi and Saraswati have gone out with their husbands. Guddan is working alone in the kitchen, when Durga comes rushing and holds her hand tightly.

Durga - Guddan! Tumhaari himmat kaise hui meri grihasti mein dakhal dene ki. Mere aur Kishoreji ke beech mein kuch bhi ho, tumhe kuch bolne ka koi haq nahi hai.

Guddan - Aap kya keh rahi hain Durgaji. Humein kuch samajh nahi aa raha.

Durga - Zyada bholi banne ki zaroorat nahi hai Guddan. Main achi tarah se jaanti hum, tum kya karne ki koshish kar rahi ho. Saru aur Lakshmi ko toh pehle se hi apni taraf kar chuki ho. Ab main tumhare kaaboo mein nahi aa rahi, toh tum Kishoreji ko hathiyar banakar mujhpar waar karna chahti ho. Par yaad rakhna Guddan, mera naam bhi Durga Jindal hai. Apne raaste ke kaanton ko masal ke rakh deti hun main. Aur tumhara bhi yahi haal karungi main.

Guddan - Bas Durgaji, bahut bol chuki aap. Aur yeh kya Guddan Guddan laga ke rakha hai aapne. Apni Saas se kaise baat ki jaati hai, ab yeh bhi sikhana padega aapko.

Durga - Jab tumhaare aur AJ tumhe apni patni hi nahi maante, jab AJ aur tumhare beech pati-patni ka rishta hai hi nahi, toh tumhe main apni Saas kyun maanu.

Guddan looks on, surprised.

Durga - Aise kya ghoor rahi ho. Sab pata hai mujhe. Aaj bhi tum aur AJ alag alag sote ho. Thik kaha na maine? Tumhaare chehre kaa ye udaa hua rang saaf saaf bataa raha hai, ki main sahi keh rahi hun.

Flashback Starts ----------------------------------------

One morning, just a few days before the New Year incident (Goa incident), Akshat is getting ready for an early morning meeting. Guddan is sleeping on the sofa, with blanket covering her face.

Akshat (thinking) - Abhi tak so rahi hai. Har subah toh ab tak uth jaati hai. (calling out loud, while adjusting his tie) Guddan! Uthna nai hai kya. 8 baj gaye hain. Guddan!

Guddan - Kyun subah subah chilla rahe hain. Hum abhi nahi uth payenge, humara sarr fata jaa raha hai dardd se.

Akshat - Medicine chahiye kya? Chahiye ho toh le lena. Table ke drawer mein rakhi hai, left side par.

Guddan (taking her face out of the blanket) - Hum aapki tarah har chhoti baat pe medicines nahi gatakte. Aap shanti se sone denge toh thik ho jayega.

Akshat - Acha thik hai, lekin wahan sofa pe kyun soyi ho, bed par aaramse so jao na.

Guddan (pulling the blanket over her head) - Aap jaiye na. Humein sone dijiye.

Akshat knew better than to argue. He leaves in a hurry, as he was about to be late, leaving the door slightly open. Later, while passing across their room, Durga sees Guddan sleeping on the sofa and chuckles.

Guddan and Akshat - Made for Each Otherजहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें