Guddan (nervously walking up and down her room) - Shadi ka wada toh kardia humne par ab Papa ko kya bataenge, kaise samjhaenge unhe. Mummy to maar hi dalengi humein. Uss din Chhutki ko bachane ke liye uske letters aur cards ko apna bataya tha, to sirf thappad maara tha mummy ne. Pata nahi yeh shadi ki baat pata chali toh kya karengi humare saath. (Calling bell rings) Mar gaye, kahin wo log to nahi.......
Kaushalya opens the door to find Savitri Devi and the three daughter-in-laws with a lot of gifts.
Kaushalya - Aap? Aayiye na. Baithiye. Kaise aana hua.
Savitri Devi - Main aapki beti Guddan ke liye apne bete Akshat ka rishta leke aayi hun. Yeh kuch shagun laaye thhe. Rakh do beta.
Guddan could hear these words from her room, her heatbeats went up, but Kaushalya's eyes startred to glitter with greed.
Kaushalya (thinking) - Pehli baar koi dhhang ka kaam kiya hai iss Guddan ne. Uss din bekar mein hi haat utha diya uspe. Mujhe to laga tha koi gali ka awara ladka hoga. Kya pata tha itni maaldaar party phasai hai isne.
Bhushan (startled and confused) - Yeh aap kya keh rahi hain. Yeh kaise ho sakta.......
Kaushalya - Kyun nahi ho sakta ji. (To Savitri Devi) Aaplog baithiye. Hum jara aapas mein baat karke aate hain.
Savitri Devi - Ji, aaram se baat kijiye. Hum intazaar karenge.
Kaushalya - Kitna acha rishta hai. Itne ameer log hain. Kitne mehenge gifts laaye hain.
Bhushan - Tumhe paison ke samne kabhi kuch dikhta hai.
Kaushalya - Aap ko to bas humesha meri hi buraiyan dikhti hain. Lekin koi bhi faisla karne se pehle ek baar apni laadli se puch lijiye. Uski marzi ke bina, thode hi yeh rishta aaya hoga?
Bhushan (entering Guddan's room) - Guddan beta, yeh jo bahar log rishta lekar aaye hain, sach sach batana beta, iss sab ke baare mein tumhe kuch nahi pata hai na? (Guddan is silent) Bolo beta, tumhara iss rishte se koi lena dena nahi hai na?
Guddan (mustering up courage) - Nahi Papa, ye sab humari marzi se hi ho raha hai.
Kaushalya (sighing in relief) - Dekha, meri baat toh aap sunte hi nahi hain. Apki laadli ne bhi keh diya ki usiki marzi hai.
Bhusan - Par Kaushalaya......
Kaushalya - Par war kuch nahi ji. Itna acha rishta aaya hai, aapki ladli ki marzi bhi hai. To kya problem hai aapko. Aur kya ladki ko humesha ke liye ghar mein bithake rakhna hai. Aaj nahin to kal shadi to karni hi hai. Main toh jaa rahi hun haan karne. (and she comes out of Guddan's room) Ji humein ye rishta manzoor hai.
Saraswati (whispering to Lakshmi) - Haan haan, manzoor kaise nahi hoga. 1760 papad bele honge uss Guddan ne AJ ko fasane ke liye.
Lakshmi (whispering back) - Thik keh rahi hai Saru, yeh chujiya toh badi chalak nikli. Kab haat saaf kar gayi, pata nhi nahi chala.
Durga (whispering to Saru and Lakshmi) - Ab chup karo tum dono. Yeh saari baatein baad mein bhi ho sakti hain. Dhyan toh rakha karo, kahan kya baat karni hai.
Savitri Devi - Ab zara meri hone wali bahu ko to bulaiye. Main usse apne haathon se yeh shagun dena chahti hun.
Kaushalya - Abhi lekar aati hun.
Guddan comes and touches Savitri Devi's feet.
Savitri Devi - Jiti reh beta. Mujhe to tu tabhi pasand aa gayi thi jab tune mujhe uss din mandir mein sambhala tha. Badi hi suljhi hui hai aapki beti. (to Durga, Saraswati and Lakshmi) Ab tum teeno ko kya batana padega. Chalo apni hone wali saas ka ashirwad lelo.
आप पढ़ रहे हैं
Guddan and Akshat - Made for Each Other
FanfictionBased on the show Guddan Tumse Na Ho Payega (Zee TV), this fan-fiction is a slightly different take on this show's storyline. It starts where the show starts, two exact opposites - the bubbly bundle of mistakes Guddan Gupta and the sheer perfectioni...