Chapter -7

261 19 9
                                    

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Muskan apni bicycle café ke bahar park kar ke andar gayi, uski har harkat be-his thi, jaise uska dil aur dimagh kahin aur ho

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Muskan apni bicycle café ke bahar park kar ke andar gayi, uski har harkat be-his thi, jaise uska dil aur dimagh kahin aur ho.

Uski nazar sab se pehle Rubina Aunty aur Shayra par gayi, jo counter ke paas khadi thi, unke chehre par kuch ajeeb shikan thi. Ye ajeeb tha, kyunki dono aksar garmjoshi aur hansna-mazak karte hue nazar aati thi, lekin aaj dono kuch gehri baat kar rahe the.

Rubina Aunty Muskan ki Maa ki dost thi; Aur woh Muskan ke liye bhi dost jaisi hi thi. Woh unhe apne dil ki baatein aise samajhti thi, jo kabhi uski apni maa tak ko nahi samajh payi thi. Rubina Aunty ka café sirf ek business nahi tha, balki ek aisa jagah thi jahan Muskan apni chhupi hui khafiyan aur be-shumar baatein bina kisi jhijak ke bata sakti thi. Shayra doosri taraf ek aisi behan thi jo hamesha Muskan ke saath thi—narmi se, samajhdari se. Shayra Muskan se takreeban paanch saal badi thi. Unka rishta aksar ek maze daar takraar jaise tha. Woh Muskan ke liye uski badi behen jaisi hi thi.

Aaj Cafe ke mahol mein be-shumar fikraat ka bojh tha. Muskan ki bechaini barh gayi thi jab usne dheere dheere unki taraf kadam badhaye, apni mashhoor muskurahat apne chehre par late hue woh unke aur kareeb gayi. Usne faisla kiya ke wo thoda mazaaq kar ke mahool ko halka karegi.

"Kya hua?" Usne dheemi awaz mein puchha.

"Ya Allah!" Rubina Aunty ne ghabrahat mein apna haath apni chhaati par rakha, jabke Shayra ke honton se ek halki si cheekh nikal gayi. Dono ke chahre ka rang ek pal ke liye udd gaya, lekin Muskan unki is halat ko dekhte hi hans padi. Woh zor zor se hasne lagi.

Rubina Aunty ne thoda sambhalte hue, uski taraf dekha aur bola, "Tumhari yeh harkatein na... Allah hee bachaye tumse!" Shayra bhi ab uske saath zor zor se hansne lagi.

"Theek hai na." Usne baat khatam karte hue Rubina aunty ko gale lagaya. Fir sab apni apni jagah aur kaam me mashroof ho gaye.

Cafe mein aaj kuch zyada he khamoshi thi. Muskan apne kaam mein masroof thi, jab darwaza khula aur ek ladka andar aaya. Uski umar takreeban 21 ya 22  ke aas paas thi.

Woh dheere se counter par aaya aur Muskan ki taraf dekha. Muskan ne apni routine ke mutabiq, ek muskaan ke saath uska swaagat kiya, "Aap kya lenge?"

Uss ladke ne thoda ruk ke jawab diya, "Ek cappuccino aur chocolate pastry."

Muskan ne jaldi se coffee banai aur pastry ke sath tray me rakhi. Jab woh palti to dekha woh ladka abhi bhi wahin khada tha. Muskan use wahan khada dekh chonk gayi fir hichkicha kar woh tray use de di. Woh ladka apne order ke saath jakar ek khali table par baith gaya, Uski nazar bhi Shayra par thi. Muskan ne usey ignore karte hue apne kaam ko jaari rakha. Shayra, jo thodi der pehle coffee beans ka packet dekh rahi thi, woh Muskan ke saath aa kar khadi reh gayi.
Muskan ne fir ek baar uss ladke ko dekhe jo ab bhi Shayra ko dekh raha tha.

"Woh ladka tumhe hi dekh raha hai Shayra."

Shayra ne aankhon hi aankhon mein usay chup rehne ka ishara kiya. "Muskan, kaam karo."
Shayra ne apne kaam mein ghusa rehne ki koshish ki, lekin baar baar woh uski taraf dekhti rahi thi.

Kuch der baad woh ladka counter par aaya. "Pastry acchi thi," usne muskura kar kaha,

"Shukriya," Shayra ne professional taur par jawab diya.

"Main har hafte yahan aata hoon, shayad agli baar kuch aur try karunga," usne kah kar apne paise diye aur chala gaya.

Muskan ne muskara kar kaha, "Woh toh sirf tumse milne aaya tha!"

Shayra ne bas aankhein ghoomayi aur phir apne kaam par dhyan diya.


________________________

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.


________________________

Mulazim-E-Al-WadoodWhere stories live. Discover now