Chapter 27

102 8 0
                                    

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Muskan café se bahar nikli, Woh footpath ki taraf barhi, usne Zayn ko wahan khada dekha jo ek lamppost ke saath tek lagaye khada tha, adhi roshni aur andhere mein

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Muskan café se bahar nikli, Woh footpath ki taraf barhi, usne Zayn ko wahan khada dekha jo ek lamppost ke saath tek lagaye khada tha, adhi roshni aur andhere mein. Woh kuch dinon se usse bach rahi thi, yeh soch kar ke faasla uske jazbaat ko samajhne mein madad karega.

Zayn sidha khada ho gaya jaise hi woh kareeb aayi,

"Muskan, Mujhe baat karni hai."

"Zayn, der ho gayi hai," usne dheemi si awaaz mein kaha. Usne apni nazrein hata li, Zayn ki aankhon mein dekhne ki himmat us mein nahi thi. "Yeh sahi waqt nahi hai."

"Achha, raat toh kal bhi itni hi Hui thi jab tum Zamir ke sath has kar baatein kar rahi thi, khair mujhe fark nahi padta tum kisi se bhi baat karo. Mujhe yeh jaanna zaruri hai ke tum mujhe kyun avoid kar rahi ho? Kya hua hai?" Uska lehza sakht tha. Yeh pehli baar tha jab Zayn ne usse iss tarah ki baat ki thi.

"Kuch nahi, Zayn. Kuch bhi nahi ho raha,"

"Jhoot mat bolo. Tum mujhe bilkul avoid kar rahi ho,"

"Tum mujhe Zamir ke naam ka taana kyun de rahe ho?"

"Taana nahi de raha hun. Tum uske saath has khel kar baatein kar sakti ho magar mujhe ignore kar rahi ho. Dost to Sarah ki ho na."

"Kya kaha tumne?"

"Mera woh matlab..."

"Sahi kaha. Mein sarah ki dost hun. Aur tumhari aur meri dosti sirf Sarah ki wajah se thi," Muskan ne beech mein hi kaha, uski awaaz kanp rahi thi. "Aur ab jab Sarah ka chapter tumhari zindagi se khatam ho chuka hai, toh meri zarurat bhi nahi rahi. Isliye isse khatam karte hain."

"Toh tum samajhti ho ke yeh dosti sirf Sarah ke liye thi?" Zayn ki awaaz tez thi, uski aankhein sakht ho gayi.

"Toh aur kis wajah se hoti?"

"Kya is dosti ke peeche koi aur wajah ho sakti hai?" Alfaaz saaf aur be-taasir the, lekin andar se woh apne jazbaat dabane ki koshish kar rahi thi. Uski aankhon ne kuch bhi zahir nahi kiya.

"Kya hum bina kisi maqsad ke dost nahi reh sakte?" Zayn ki awaaz unchi ho gayi.

"Kuch bhi bina maqsad ke nahi hota, Zayn. Humari mojoodgi bhi kisi wajah se judi hui hai,"

"Kab se tum itni 'mature' baatein karne lagi? Ohh tumhare kuchh naye dost ban gaye hai na? Unse sikha hoga yeh sab."

"Main hamesha se mature baatein karti thi. Tum hi hamesha immature thay," Muskan ne turant jawab diya, uska lehja sakht aur be-lag tha. "Aur ab jab is dosti ka koi maqsad nahi raha, toh iska hona bekaar hai."

"Kya yeh sab tumhare liye bilkul be-maani hai?" Zayn ki awaaz halki si toot gayi, dard aur ghussa uski baaton mein shamil ho gaye.

"Haan."

"Theek hai phir, Reh lo apni so-called maturity ke saath. Agar yeh dosti be-maani thi, toh shayad main bhi tumhare liye be-maani hi tha, hai na?"

Bekaar? Woh kaise nahi samajh sakta ke woh uske liye kya maani rakhta hai?

"Yeh hi behtar hai... hum dono ke liye,"

"Bilkul." Zayn ki awaaz barf se bhi zyada sard ho gayi, har lafz pehle se zyada talakh. Baghair kisi nazar daale, woh mura aur apni gaadi ki taraf barh gaya.

Usne Zayn ko jaane diya aur khud bhi sadak ki taraf chal padi. Raste ke dusri taraf se Zamir ne awaz di. Woh ruki. Zamir bhag kar uske paas aaya aur haanfte hue kaha,

"Mujhe tumse kuch baat karni thi," Zamir ne dheere se kaha.

"Kya?" Muskan ne mukhtasir sawal kiya.

"Main us din ke liye maafi chahta hoon..." Zamir ne kaha, lekin usse pehle ke woh apni baat mukammal karta, Muskan ne baghair kisi tasur ke jawab diya, "Koi baat nahi. Main tumhe bohot pehle maaf kar chuki thi."

"Mujhe laga tum dosti khatam kardogi." Zamir ki awaaz halki si kaanp rahi thi.

"Mein naraz nahi hun," Muskan ne narmi se kaha.

Kuch faasle par Zayn apni gaadi mein baitha un dono ko dekh raha tha. Uski aankhon mein jalan aur hasad ki ek wazeh parat jhalak rahi thi. "Tumne mujhe door dhakelne ke liye sabse behuda wajah dhoond li, hai na?" Zayn ne gadi ke dashboard par ek bracelet dekha. Woh Muskan ka tha. Woh use wapas karne le aaya tha. Usne woh bracelet uthaya aur unki taraf gaya.

"Mein chalti hun ab." Muskan ne kaha.

"Muskan." Zayn ne peechhe se awaz di. Aur uske bagal mein jaa kar ruka. Muskan use chok kar dekhne lagi.

"Tumhara bracelet meri gadi mein reh gaya tha." Zayn ne apne shabdon par zor de kar kaha. Muskan ne bracelet dekha aur le liya. Zamir un dono ko hairani se dekh raha tha.

"Mein chalti hun ab." Muskan ne kaha. Zayn ne use muskura kar dekha aur woh chali gayi. Uske jaane par woh use dekhta raha. Use dekh Zamir ne sawal kiya,

"Tum dono date kar rahe ho?"

"Date ? Nahi toh." Zayn ne muskura kar jawab diya.

"We're engaged aur jaldi shadi bhi karne wale hain." Zayn ne etimad se kaha. Zamir use hairat se dekhne laga.

"Chalo ab mein chalta hun." Keh kar woh mud gaya aur gadi mein beth kar chala gaya. Woh nahi janta tha usne itna bada jhuth kyun kaha tha. Use uss jhuth ka afsos nahi tha. Use sukoon mil raha tha.

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.
Mulazim-E-Al-WadoodWhere stories live. Discover now