Zayn haath mein moongphali ka lifafa tha, aur woh maze se chhilke uda raha tha. Chalte chalte uski nazar Muskan par padi, jo thak ke ek side par baithi thi.
"Yahan parking lot ke beech mein kyun baithi ho?" usne achanak poocha, chhilke idhar-udhar girte hue.
Muskan ne ek baar uski taraf dekha aur bina koi dilchaspi dikhaye apne mobile par kuchh dekhne lagi.
"Cheentiyaan gin rahi ho kya?" usne sharat bhare lehze mein puchha.
Muskan ne ek thandi si muskaan di aur socha "Sach mein? Kya iss gorilla ko tire dikhayi nahi de raha?"
"Tum toh Sachme bewakuf ho." Zayn ne mazak udate hue kaha.
"Bingo!" Muskan ne be-taasir lehje mein jawab diya, apne gusse ko dabaate hue.
"Shabash tum sachme pagal ho, lagi raho apni iss bewakui mein.," Zayn muh bigad kar kaha, jo Muskan aur gussa dila gaya. Uske jawab se pehle hi woh dobara bol utha, "Waise, aas paas kahin tire theek karne ki jagah nahi milegi."
"Shukriya, Captain Obvious," Muskan ka jawaab itna teekha tha ke Zayn ne ek pal ke liye uska chehra dekha aur phir maze se moongphali chabane laga.
"Kaho toh lift de doon?" usne usi lehze me poocha.
Muskan ne usay shak bhari nazar se dekha. "Tum mujhe kidnap karna chahte ho, hai na?" Usne shak ki nazar dekhte hue uski taraf dekha.
Zayn ek pal ke liye hiran reh gaya. "Tum bachi ho kya?"
"Bilkul nahi," Muskan ne chhoti si chhup li hui hichkichahat ke sath jawab diya.
"Toh phir tum ek billionaire company ki heiress ho?" usne phir adhi muskaan ke sath poocha. Muskan ne hairat se nafi mein sir hila diya.
"Ya phir Miss Universe?" uska mazaak ab khullam khulla ho chuka tha.
Muskan ne aankhein ghumayi. "Ye ajeeb sawalat kyun kar rahe ho? Dimaag theek hai tumhara?"
"Mera dimaag full speed pe chal raha hai, thank you. Tumhara lagta hai check karana padega. Mujhe kya zarurat hai tumhein kidnap karne ki? Apni mental health se dushmani hai kya mujhe?"
"Kyunkay tum badla lena chahte ho!" Muskan ka ilzam seedha tha.
"Kaash bhool sakta woh din. Yeh discussion abhi khatam karna chahta hoon," Zayn ne bekaar ke jhagdo se bachne ki koshish ki.
"Baat bhi kon kar raha hai!" Muskan ne dheeme se kaha, lekin Zayn ne sun liya.
"Main sun sakta hoon," Zayn ne ulta jawab diya.
"Wow, mubarak ho. Tumhare kaan achhi tarah se kaam kar rahe hain," Muskan ne shararat bharay lehje mein jawab diya.
"Chalo, main drop kar deta hoon," Zayn ne kaha, lekin jab usne peeche dekha toh Muskan wahi khadi thi.
"Ab kya?" Zayn ne chidchidate hue poocha.
"Meri cycle," Muskan ne apne cycle ki taraf ishaara karte hue kaha.
"Chhodo, le chalte hain. Raste mein repair kar lenge," Zayn ne be-taasir lehje mein kaha. Muskan ne ek pal ke liye socha, phir thakawat ke maare haan kar diya.
Zayn ne cycle uthai. Muskan ne car ka pichla darwaza khola. Zayn ne dekha toh bola, "Hey tum, driver samjha hai kya? Front seat mein baitho."
Muskan ka sabar ab khatam ho raha tha. "Main toh sirf madad kar rahi thi!" usne darwaza band karke gusse se aage ki taraf kadam badhaye.
"Phir band kyun kiya? Dobara kholo," Zayn kaha.
"Khud khol lo," Muskan ka jawaab seedha tha.
"Nashukri!" Zayn ne dheeme se kaha.
"Sun sakti hoon," Muskan ne jawab diya.
"Pata hai, sunane ke liye hi kaha," Zayn ka lehja ab takkar lene wala ho chuka tha.
Car mein baithne ke baad Muskan ne juice ka ek can uski taraf barhaya.
"Main tumhare straw se nahi peene wala," Zayn ne gusse karte hue kaha.
"Alag straw hai. Agar nahi chahiye toh mat lo," Muskan ne chillane ke andaaz mein kaha.
"Phir pehle bata diya karo," Zayn ne halka sa mooh banaya.
"Lo, ab lena hai ya nahi?" Muskan ne dobara poocha.
Zayn ne hichkichate haath barhaya. Muskan ne apni bag se doosra can nikala aur uske haath mein rakha.
"Thanks," Zayn ne juice lete hue kaha. Gaari chal rahi thi aur Muskan hawa mein khidki ke saath sir lagaye aankhein band kar chuki thi. Zayn ne ek repair shop dekhi aur car ek side laga di. Cycle thik hone ke baad Muskan ne use shukriya kaha aur cafe chale gayi aur Zayn ghar ki taraf.
_____________________
YOU ARE READING
Mulazim-E-Al-Wadood
RomanceIneffable Love is now Mulazim-e-Al-Wadood We meet thousands of people in this world, we get attracted to hundreds, we fall for ten and then we'll be united with the one whose name was written with our name thousands of years ago. ...