Chapter 30

173 10 2
                                    

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Zayn chup chap Cafe mein baitha tha

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Zayn chup chap Cafe mein baitha tha. Uski aankhon mein ek gehri khamoshi thi aur zehan kisi anjaan soch mein gum tha. Usne apne haath ka mujassama banaya hua tha, aur uska dil be-sada tha-jaise kisi gehri talaash mein ho.

Achanak ek naram aur maani bharpur awaaz ne uske kaano mein gayi.
"Zayn, tumhari 'coffes' tayar hai," Muskan ne uske kareeb aakar kaha.

Zayn ek dam hosh mein aaya aur apni jagah par hil gaya. Usne apne sar ko uthaya aur uski taraf dekha. Muskan ke honton par ek halki si muskaraahat thi. "Lagta hai, darr gaye," usne hansi dabate hue kaha aur wapas counter ki taraf chal di.

Magar Zayn hil kar bhi apni jagah se nahi hila. Woh bas uske chehre ko dekh raha tha, uski muskaan ko, uske chalne ka andaaz. Uski aankhon mein ek ajeeb sa sukoon tha, Uska zehan kuch soch nahi raha tha.

Wo gaari ke saath tek lagaye khada tha, apni jaib se cigarette nikal kar jalate hue, Dil mein ek bechaini thi jo uske ahsasat ko badalne par majboor kar rahi thi. "Yeh kya hai? Main aise kyun mehsoos kar raha hoon?" usne dil hi dil mein socha, magar jawab uske samajh se pare tha.

Pehla kush dhuwan hawa mein ghola, to dil ka bojh halka mehsoos hua. Magar abhi woh apne is purane aadat mein apni bechaini ka hal dhoondh raha tha.

"Tum cigarette peetay ho?" Uska sawal ek sakht lekin shafqat bhare lehje mein tha.

Zayn ne cigarette ko ungliyon mein ghoomte hue uski taraf dekha, lekin jawab mein bas ek baar halka sa sir hila diya.

Woh dheere se agay barhi. "Tumhein nahi peeni chahiye."

Uske yeh alfaaz Zayn ke dil mein ek ajeeb se tapish chhor gaye. Ajeeb tha yeh ehsaas jo uske dil ke kone mein jaag utha tha. Ab tak woh apni aadaton aur faislon pe kabhi socha nahi karta tha, magar ab... sirf ek lamhe ke liye, uska dil mana ke shayad woh sahi keh rahi hai. Aur sabse ajeeb baat yeh thi ke woh uski baat maan lena chahta tha.

Zayn ne hont se kheench kar cigarette zameen pe girai, apne jhooto ke neeche daba kar bujha di. Halka sa gala saaf karte hue, zara be-dil lehje mein bola, "Theek hai, ab se nahi piyunga." Yeh lafz jaise khud ko samjhaane ke liye zyada the, Muskan ko nahi.

" Yeh lafz jaise khud ko samjhaane ke liye zyada the, Muskan ko nahi

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Assalam o alaikum
Hey everyone!

I know, I know... I've been on a long break-an entire month! But guess what? I'm back, and the new chapter is finally up! This time, it's in Roman Urdu, and from now on, all chapters will be in this style. I feel it adds more depth and emotion to the story, and I hope you'll love it just as much (if not more!).

Thank you for your patience and for sticking around. I've missed you guys, and I'm super excited to hear what you think about this chapter! Let's keep the journey going!

Lotsss of loveee ❤️🧡💛💚💙💜🤎🖤🤍💘💝💖💗💓💞💕💟♥️❣️❤️‍🩹❤️‍🔥🫀🫶🫰

Mulazim-E-Al-WadoodWhere stories live. Discover now