Chapter -12

229 17 2
                                    

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Muskan café ke counter par khadi, cups ko dhyan se arrange kar rahi thi

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Muskan café ke counter par khadi, cups ko dhyan se arrange kar rahi thi. Bahar barish ke halki boondein gir rahi thi, aur café ke andar sirf chand log baithe hue the. Woh apne kaam mein itni masroof thi ke usay ehsaas hi nahi hua ke Zayn andar aa chuka hai.

Zayn ne andar aate hi usay dekha. Uska chehra ghussa nahi, balke kuch bechaini sa liye hue tha. Woh dheere kadmon se counter ki taraf aaya, lekin Muskan ne uski taraf dekha bhi nahi. Usne ek lambhi saans li aur kaha, "Muskan."

Muskan ne sir uthaya, lekin uske chehre par koi jazbaat nahi the. "Tum yahan kya kar rahe ho?" usne seedha sawal kiya.

"Mujhe tumse kuch baat karni hai," Zayn ne kaha, uska lehja aam se zyada sanjeeda tha.

"Mein kaam kar rahi hoon," Muskan ne thande lehje mein jawab diya.

"Yeh zaruri hai," Zayn ne mudda sidhe rakha.

Muskan ne cups ko ek taraf rakha aur counter ke us paar se usay dekha. "Kya baat hai?"

"Sarah ke baare mein hai."

Muskan ne ek pal ke liye usay dekha, phir thandi saans le kar kaha, "Haan thik hai mein janti hun tumhe usse mohabbat nahi. Mein bas tumhe uske naam se chhed rahi thi. Iss chhoti baat par bhi tum mujhse ladne aa gaye."

"Mein ladne nahi aaya," Zayn ne kaha, aur is dafa uska lehja itna narm tha ke Muskan ko ek lamha ke liye hairani hui. "Mujhe tumhari madad chahiye."

"Meri madad?" Muskan ne halki si muskan ke saath sawal kiya.

"Haan," Zayn ne kaha. "Mujhe Sarah pasand hai. Lekin mujhe samajh nahi aata ke usay kaise batau. Tum uski dost ho, tum meri madad kar sakti ho."

Muskan kuch der tak khamosh rahi, jaise soch rahi ho ke is baat ka kya jawab de. Phir usne seedhe uski aankhon mein dekha aur kaha, "Agar main tumhari madad karoon, toh tumhe meri ek shart maanni hogi."

"Kya shart?" Zayn ne foran puchha.

"Yeh ke tum mujhe na toh pareshaan karoge aur na hi mujhe neecha dikhane ki koshish karoge. Tumhare sab alfaz tameez ke honge, aur tum har baat par mujhse lado ge nahi."

Zayn ne ek pal socha, phir sir hilaya. "Theek hai. Yeh shart manzoor hai."

Muskan ne uska jawab sun kar halka sa sir hilaya. "Aur ek baat aur,"

"Kya?"

"Agar hum dost ban kar kaam karte hain, toh tum mujhe ek dost ki tarah treat karoge. Na zyada, na kam."

Zayn ke chehre par ek ajeeb si muskan aayi. "Theek hai, hum dost hai ab right?"

Muskan ne usay ghoor kar dekha, jaise uske alfaaz ka maqsad samajhne ki koshish kar rahi ho. Phir usne dheere se sir hilaya. "Haan thik hai lekin agar tum sach mein dosti nibha sakte ho, toh main tumhari madad karungi."

Zayn ne ek lamha ke liye uska chehra dekha phir kaha, "Main nibhaunga."

Kuchh der baad Zayn wahan se chala gaya aur Muskan apne kaam mein mashroof ho gayi. Kuchh din sab thik chalne laga tha. Zayn aur Sarah dono ke bich.


____________________________

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

____________________________

Mulazim-E-Al-WadoodWhere stories live. Discover now