Chapter- 2

403 23 2
                                    

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

 Conference room mein khamoshi chaayi hui thi

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Conference room mein khamoshi chaayi hui thi. Lakdi ki lambi mez ke gird employees baithe hue the, lekin koi bhi nazrein uthane ki himmat nahi kar raha tha. Zayn mez ke sare par khara tha, uski aankhon mein ghusse ki chamak thi jo wahan mojood har fard ke dil par girti mehsoos ho rahi thi.

"Yeh kya bakwaas hai?" Zayn ki garjdaar awaaz ne kamre ki khamoshi ko toad diya. Usne ek file mez par itni zor se patkhi ke kuch log chonk kar peechay hat gaye. "Yeh kaam hai jo tum log mere paas le kar aaye ho? Ghaltiyon se bhari hui, adhuri? Main ek company chala raha hoon, koi khel ka maidan nahi!"

Sab ne dabe dabe andaaz mein ek doosre ko dekha, lekin kisi mein jawab dene ki himmat nahi thi. Zayn ki tez nigahen ek junior manager par jam gayi, jo apni kursi mein simat kar baitha tha.

"Adil, maine tumse marketing ki strategic report teen din mein complete karne ko kaha tha. Abhi tak complete kyun nahi hui?"

Adil ki hichkichahat bhari awaaz bamushkil sunaayi di. "S... Sir, kuch delay ho gayi thi—"

"Delay?" Zayn ne uski baat kaat di, uski awaaz baraf ki tarah sard thi. "Yeh delay kyun hui? Tumhari nalayki ki wajah se ya tumhari be-parwai ki wajah se? Batao, masla kya hai?"

Adil ne nazrein jhuka lein, uske paas koi jawab nahi tha. Zayn ne apni nigahen ek aur employee par dalin, jo sales team ka senior member tha.

"Aur aap, Tariq ji. Aapke paas kya bahana hai? Is sehmahi mein sales neeche kyun ja rahi hain? Aur mujhe yeh mat kahiyega ke masla maeeshat ka hai. Doosri companies taraqqi kar rahi hain, aur aap mere numbers neeche gira rahe hain!"

Tariq ne bechaini se apni kursi mein pehlo badla, lekin uska itminan hil chuka tha. "Sir... hum behtri ki koshish kar rahe hain—"

"Koshish kar rahe ho?" Zayn ne talkh hansi ke saath kaha. "Ab tak yeh kaam khatam ho jana chahiye tha. Yeh company aise he kaam ki wajah se ooper nahi aayi. Agar aap log dabao bardasht nahi kar sakte, toh woh darwaza aapke liye khula hai." Usne sakhti se darwazay ki taraf ishara kiya.

Kamre mein ek baar phir khamoshi cha gayi. Zayn ne gehri saans li, uski awaaz ab bhi sakht thi.

"Mujhe na-kaami qubool nahi. Na apne liye, na apni team ke liye. Mujhe 24 ghante mein results chahiye. Agar behtri nahi hui, toh naye naukriyan dhoondhna shuru kar do."

Yeh keh kar usne darwaza khola aur tez qadam se bahar nikal gaya. Afzal bhi uske peechhe kuchh files liye bhagta hua gaya. Peechay conference room mein sirf khamoshi aur khauf baqi reh gaya.

 Peechay conference room mein sirf khamoshi aur khauf baqi reh gaya

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.


_________________________

Mulazim-E-Al-WadoodWhere stories live. Discover now