Chapter 6

1K 51 9
                                        

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Roman Urdu Version

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Roman Urdu Version

Banglore
April 6, 2012

Restaurant se uthkar woh wapas office aa gaya. Kaam mein mashroof, woh kisi aur cheez par dhyan nahi dena chahta tha.

"Zayn!" Usne jaani pehchani awaz suni.

Mahira... uske hothon par muskaan har dafa ki tarah chamak rahi thi. Zayn ke liye yeh sab dekhna ek ajeeb jazbaat paida kar raha tha. Uski moujudgi Zayn ko napasand thi. Iss liye nahi ke Mahira ek galat ladki hai magar isliye ke agar woh usme thodi si bhi dilchaspi dikhata Mahira uss ehsas ka galat matlab nikal leti. Woh janta tha Mahira use pasand karti hai. Woh kursi se khada hua aur uski taraf badha.

"Tum yahan kaise? Kya uncle ne bheja hai tumhe?" Zayn ne seedha sawal kiya.

"Har baat dad se kyun jod dete ho? Kya main sirf tumse milne nahi aa sakti?"

"Nahi." uska lehza sakht tha.

"Achha phir ek reason hai. Aao betho mein batati hoon."

Mahira ne Zayn ka haath pakda aur sofa ki taraf kheenchne lagi. Zayn ne apna haath chhudaya.

"Mahira, tumse kitni baar kaha hai? Mera haath mat pakda karo."

"Zyada naak pe gussa mat lao, Zayn. Main tumhari friend hoon, itna toh chalta hai." Kehte hue woh sofa par baithi. Zayn apne gusse ko sambhalte hue bagal wale sofa par baith gaya.

"Tum yahan kyun aayi ho? Aur agar fuzul ki baat karne aayi ho toh mujhe waqt nahi hai."

"Relax, Zayn. Main kaam ke liye aayi hoon. Dad ne kaha tha ke tumse madad lene ko."

"Kis baat ki madad?"

"Dad chahte hain ke main unka business handle karun. Unhone kaha ke tumhe experience zyada hai, tum achhe se sikha sakte ho."

"Mere paas aur bhi zaruri kaam hai."

"Accha, ek wajah aur hai. Tumhare saath lunch karne ka plan hai. Bohot din ho gaye hain. Aaj karte hain?"

Mulazim-E-Al-WadoodWhere stories live. Discover now