Muskan apne bistar par baithi hui thi, kamray ki halki roshni uske chehre par parh rahi thi. Woh beparwai se apne mobile par ungli ghumati ja rahi thi ke ek nayi ittila ne uska dhyan apni taraf kheench liya—Zayn ka message.
"Balcony par aao."
Usne pehle tou samajhne ki koshish ki, phir zara pareshan ho kar mobile ko ghoora. Uska kya matlab tha? Ghari par nigah daali—raat ka waqt tha. Kuch pal ke liye woh do dil thi, magar phir ek ajib si bechaini ne uske kadam balcony ki taraf badha diye.
Usne shawl lapeta aur dheere se balcony ka darwaza khola. Thandi hawa ne uska isteqbal kiya. Woh neeche ki taraf jhuki, aankhon se andheron ko chhanta, lekin kahin bhi Zayn nazar nahi aaya. Usne ek bar aur idhar-udhar dekha, shayad woh kahin chhup kar usse uske saath mazak kar raha ho, lekin gully sunssaan thi.
Mayoos ho kar woh palatne lagi,
"Yeh apni fazool harkaton se baaz nahi aayega," usne narazgi se kaha.
"Main yahan hoon," ek awaaz uske peechay se ubhri.
Woh hosh uda dene wali awaaz thi. Muskan ghoom kar deewaar se tek lagaye Zayn ko dekhne lagi. Uski aankhen ek lamhe ke liye phail gayin. Zayn uski balcony mein khada tha, woh muskura raha tha.
"Zayn!" usne dheemi awaaz mein kaha, uska dil tej dhadakne laga, magar yeh jazba khauf ka nahi tha—yeh kuch aur tha, kuch jo uske samajh ke daire se bahar tha.
Zayn ka ek eyebrow uthaya, jaise woh uske izhaar ka intezar kar raha ho. "Tumhe laga main tumhe itni asani se mil jaunga?"
"Mujhe laga tum mazak kar rahe ho."
Zayn ne ek kadam aage badhaya, uska lehja sanjeeda ho gaya, lekin uska faasla abhi bhi ehtiyaat ka ek hoshiyaar baaqi tha. "Main tha. Par mazak ke sath ek surprise bhi dena tha."
Muskan ka dil ajeeb sa mehsoos karne laga. Woh kuch kehna chahti thi, lekin zubaan khamosh thi.
"Raat ka waqt hai, tumhe nahi aana chahiye tha," usne aakhir kaha, halki narazgi ke sath.
"Maloom hai," Zayn ne dheemi awaaz mein kaha, "lekin kabhi kabhi... ruk nahi sakta." Usne ruk kar kaha, "Jab maloom ho tum yahan ho."
Uski baat ne Muskan ka dil kuch zyada hi tez kar diya. Woh kuch pal ke liye uski taraf dekhti rahi, phir nazren fer li. "Zayn..." woh halki awaaz mein boli, lekin uske shabdon mein shikayat ya gila nahi tha.
"Main sirf yeh yaad dilane aaya hoon," Zayn ki awaaz narm magar mazboot thi, "ke main yahan hoon, aur hamesha yahin rahunga."
Woh kuch nahi keh saki, lekin uske chehre ki muskurahat ne Zayn ko jawab de diya.
"Ab mujhe chalna chahiye," usne dheere se kaha, "lekin jaane se pehle..." woh ek kadam aage badh
kar bola, "Mien tumhare liye khaas hoon na?""Zayn!" Muskan ne kuch kehna chaha lekin uska lafz adhoora reh gaya.
"Janta hun nahi manogi iss baat ko."
Woh ghoom kar chala gaya, lekin uski mahsoosat uske sath chhod gaya. Muskan uska jaane ka manzar dekhti rahi, dil mein ek ajeeb si sukoon ke sath.
"Muskan!" Usne awaz di.
"Muskan! Utth jao!" Kiran ki taizi bhari awaaz ne usse bedar kar diya.
Woh apni aankhen khol kar idhar-udhar dekhti rahi.
Woh bas ek sapna tha.
YOU ARE READING
Mulazim-E-Al-Wadood
RomanceIneffable Love is now Mulazim-e-Al-Wadood We meet thousands of people in this world, we get attracted to hundreds, we fall for ten and then we'll be united with the one whose name was written with our name thousands of years ago. ...