Chapter 22

131 14 5
                                    

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Muskan jheel ke kinare khamoshi se baithi thi

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Muskan jheel ke kinare khamoshi se baithi thi. Usne mehsoos kiya ke koi uske qareeb aa kar baith gaya hai.

Woh chonk kar murri to Zayn ko wahan betha dekha. Uski mojoodgi ghair mutawaqqa aur kuch hadd tak bechain kar dene wali thi.

Muskan ki aankhein hairat se khul gayi. "Yeh yahan kaise pohanch gaya?" usne dil hi dil mein socha.

Zayn ne uski pareshaani bhanp li aur halka sa muskura kar aaram se peeche ki taraf jhuk gaya. "Kya hua? Hairan ho mujhe dekh kar?" usne be-takallufi se kaha.

Muskan ne usay ghura, abhi tak uski ghair mutawaqqa mojoodgi ko samajhne ki koshish kar rahi thi. Usse pehle ke woh koi jawab soch paati, Zayn ne ek chhukti hui muskaraahat ke sath kaha, "Pata hai, main shayad bohot acha lag raha hoon, lekin zyada na ghoorna. Kahin mujhe pasand na karne lago."

Yeh apni tareefon se kab thakta hai? usne socha. Shayad kabhi nahi. Agar yehi raha to apne aap se shaadi kar lega.

"Tum aur Handsome? Astaghfirullah!"

Zayn ke chehre par mazeed muskaraahat phail gayi. "Astaghfirullah? Arrey, jab kuch khubsurat dekho to mashallah ya subhanallah kehna chahiye."

"Yahan kyun aaye ho?" usne mazooh badalte hue poocha.

"Kyun na aata?" Zayn ne jhooti narazgi ke sath jawab diya. "Yeh jheel tumhari property hai kya?"

"Kaash yeh meri hoti. Phir main ek board laga deti: "ke Gorilla ka aana mana hai.'"

Zayn hans pada lekin khamosh raha. Is baar woh waqai khamosh baitha raha, jheel ke pani ko dekhte hue. Uska yeh andaaz Muskan ke liye naya tha.

"Kya hua? Aaj itni khamoshi kyun hai?" Muskan ne hairani se poocha. "Tum to hamesha bol bol kar mere kaan kha jaate ho. Aaj tumhain kya ho gaya?"

Zayn ne dheere se sar uthaya, nazrein pani par jamin rahi. "Kabhi kabhi," usne madham awaaz mein kaha, "bas khamosh rehna aur gird o nawaz ki awazon ko sunna zaroori hota hai."

Mulazim-E-Al-WadoodWhere stories live. Discover now